Shayari
ahl-e-himmat ko balaaon pe hansi aati hai
nang-e-hasti hai musibat mein pareshaan honaa
der se aa rahi hai yaad tiri
kyaa tujhe yaad aa rahaa huun main
دیر سے آ رہی ہے یاد تری
کیا تجھے یاد آ رہا ہوں میں
देर से आ रही है याद तिरी
क्या तुझे याद आ रहा हूँ मैं

ahl-e-himmat ko balaaon pe hansi aati hai
nang-e-hasti hai musibat mein pareshaan honaa
dil ki basti ajiib basti hai
ye ujaDne ke baa'd basti hai
tamiz-e-khvaab-o-haqiqat hai shart-e-bedaari
khayaal-e-azmat-e-maazi ko chhoD haal ko dekh
bahaar aae to khud hi laala o nargis bataa deinge
khizaan ke daur mein dilkash gulistaanon pe kyaa guzri
khudaa shaahid hai mere bhulne vaale ba-juz tere
mujhe takhliq-e-aalam raaegaan maalum hoti hai
jaane vaale kabhi nahin aate
jaane vaalon ki yaad aati hai
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
yaad rakhnaa bhi ik ibaadat hai
kyuun na ham un kaa haafiza ho jaaein
sunaa hai vo mire baare mein sochtaa hai bahut
khabar to hai hi magar mo'tabar zyaada nahin