Shayari
der se aa rahi hai yaad tiri
kyaa tujhe yaad aa rahaa huun main
bahaar aae to khud hi laala o nargis bataa deinge
khizaan ke daur mein dilkash gulistaanon pe kyaa guzri
بہار آئے تو خود ہی لالہ و نرگس بتا دیں گے
خزاں کے دور میں دل کش گلستانوں پہ کیا گزری
बहार आए तो ख़ुद ही लाला ओ नर्गिस बता देंगे
ख़िज़ाँ के दौर में दिलकश गुलिस्तानों पे क्या गुज़री

der se aa rahi hai yaad tiri
kyaa tujhe yaad aa rahaa huun main
ahl-e-himmat ko balaaon pe hansi aati hai
nang-e-hasti hai musibat mein pareshaan honaa
dil ki basti ajiib basti hai
ye ujaDne ke baa'd basti hai
tamiz-e-khvaab-o-haqiqat hai shart-e-bedaari
khayaal-e-azmat-e-maazi ko chhoD haal ko dekh
khudaa shaahid hai mere bhulne vaale ba-juz tere
mujhe takhliq-e-aalam raaegaan maalum hoti hai
jaane vaale kabhi nahin aate
jaane vaalon ki yaad aati hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ye sach hai rang badaltaa thaa vo har ik lamha
magar vahi to bahut kaamyaab chehraa thaa
ik manzar mein ik dhundle se aks mein chhup ke ro lein
ham kis khvaab mein aankhein mundein kis mein aankhein kholein
kyaa jaaniye kyaa soch ke afsurda huaa dil
main ne to koi baat puraani nahin likkhi