Shayari
ek parda saa hai fareb-e-nazar
ye bhi uTThe to dekhnaa kyaa hai
dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi
دل حریص ہی اپنا نہ ہو سکا قانع
وگرنہ تیرے کرم میں تو کچھ کمی نہ رہی
दिल-ए-हरीस ही अपना न हो सका क़ाने
वगरना तेरे करम में तो कुछ कमी न रही

ek parda saa hai fareb-e-nazar
ye bhi uTThe to dekhnaa kyaa hai
pas-e-murdan bhi musht-e-khaak mein kaisi ye vahshat hai
uThaa karti hai aandhi ban ke khaak-e-raaegaan meri
piine ko yuun to shaikh bhi tayyaar hain magar
kahte hain shart ye hai girah se na zar khule
jise samjhaa hai tu ai sang-dil mai-khvaariyaan meri
tire khalvat-kade mein hain vo shab-bedaariyaan meri
dil miraa dard ke sivaa kyaa hai
ibtidaa ye to intihaa kyaa hai
main ne har takhrib mein dekhi hai ik taamir bhi
meraa miT jaanaa bhi hai himmat-fazaa mere liye
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
itnaa hairaan na ho meri anaa par pyaare
ishq mein bhi kai khuddaar nikal aate hain
mujh se kab us ko mohabbat thi magar mere baad
us ne jis shakhs ko chaahaa vo mire jaisaa thaa
is se pahle ki ye aazaar gavaara kar lein
aa miri jaan mohabbat se kinaara kar lein
tamaam ishq ki mohlat hai is aankhon mein
aur ek lamha-e-imkaan bhi ziyaada nahin