Shayari
har mulaaqaat pe siine se lagaane vaale
kitne pyaare hain mujhe chhoD ke jaane vaale
itnaa hairaan na ho meri anaa par pyaare
ishq mein bhi kai khuddaar nikal aate hain
اتنا حیران نہ ہو میری انا پر پیارے
عشق میں بھی کئی خوددار نکل آتے ہیں
इतना हैरान न हो मेरी अना पर प्यारे
इश्क़ में भी कई ख़ुद्दार निकल आते हैं

har mulaaqaat pe siine se lagaane vaale
kitne pyaare hain mujhe chhoD ke jaane vaale
ik lamha-e-firaaq pe vaaraa gayaa mujhe
kaisi hasin shaam mein maaraa gayaa mujhe
ik roz khel khel mein ham us ke ho gae
aur phir tamaam umr kisi ke nahin hue
us hijr pe tohmat ki jise vasl ki zid ho
us dard pe laanat ki jo ashaar mein aa jaae
ik din tiri gali mein mujhe le gai havaa
aur phir tamaam umr mujhe DhunDhti rahi
vo ek haath baDhaaegaa tujh ko paa legaa
so dekh sabr kaa elaan bhi ziyaada nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
husn aur ishq hain donon kaafir
donon mein ik jhagDaa saa hai
ham bhi kisi shirin ke liye khaana-badar the
farhaad rah-e-ishq mein tanhaa to na niklaa
khulus-e-niyat-e-rahbar pe munhasir hai 'azim'
maqaam-e-ishq bahut duur bhi hai paas bhi hai
tujh se kuchh aur ta'alluq bhi zaruri hai miraa
ye mohabbat to kisi vaqt bhi mar sakti hai