Shayari
ek parda saa hai fareb-e-nazar
ye bhi uTThe to dekhnaa kyaa hai
dil miraa dard ke sivaa kyaa hai
ibtidaa ye to intihaa kyaa hai
دل مرا درد کے سوا کیا ہے
ابتدا یہ تو انتہا کیا ہے
दिल मिरा दर्द के सिवा क्या है
इब्तिदा ये तो इंतिहा क्या है

ek parda saa hai fareb-e-nazar
ye bhi uTThe to dekhnaa kyaa hai
pas-e-murdan bhi musht-e-khaak mein kaisi ye vahshat hai
uThaa karti hai aandhi ban ke khaak-e-raaegaan meri
dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi
piine ko yuun to shaikh bhi tayyaar hain magar
kahte hain shart ye hai girah se na zar khule
jise samjhaa hai tu ai sang-dil mai-khvaariyaan meri
tire khalvat-kade mein hain vo shab-bedaariyaan meri
main ne har takhrib mein dekhi hai ik taamir bhi
meraa miT jaanaa bhi hai himmat-fazaa mere liye
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
sab ko bataa diyaa ki main behad udaas huun
itni si baat ko bhi khabar kar diyaa gayaa
fikr-e-fardaa gham-e-imroz gham-e-maut-o-hayaat
aadmi kyaa huaa majmua-e-aalaam huaa
raatein aish-o-ishrat ki din dukh dard musibat ke
aati aati aati hain jaate jaate jaate hain