Shayari
ham haar to jaate hi ki dushman ke hamaare
sau pair the sau haath the ik sar hi nahin thaa
S
Suhail Ahmed ZaidipeD unchaa hai magar zer-e-zamin kitnaa hai
lab pe hai naam-e-khudaa dil mein yaqin kitnaa hai
پیڑ اونچا ہے مگر زیر زمیں کتنا ہے
لب پہ ہے نام خدا دل میں یقیں کتنا ہے
पेड़ ऊँचा है मगर ज़ेर-ए-ज़मीं कितना है
लब पे है नाम-ए-ख़ुदा दिल में यक़ीं कितना है
ham haar to jaate hi ki dushman ke hamaare
sau pair the sau haath the ik sar hi nahin thaa
ham ne to muund liin aankhein hi tiri diid ke baad
bul-havas jaante hain koi hasin kitnaa hai
dekho to har ik shakhs ke haathon mein hain patthar
puchho to kahin shahr banaane ke liye hai
har subh apne ghar mein usi vaqt jaagnaa
aazaad log bhi to giraftaar se rahe
do paanv hain jo haar ke ruk jaate hain
ik sar hai jo divaar se Takraataa hai
kabhi to lagtaa hai gumraah kar gai mujh ko
sukhan-vari kabhi paighambari si lagti hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
na jaane kis ke qadam chumne ki hasrat mein
tamaam raaste dil ki tarah dhaDak rahe the
sher kaa tiir kisi kaa ho agar dil ko lagaa
kahne vaale ko bahut dil se duaa di ham ne
haal-e-dil kyuun kar karein apnaa bayaan achchhi tarah
ru-ba-ru un ke nahin chalti zabaan achchhi tarah