Shayari
hamein to yaad nahin koi lamha-e-ishrat
kabhi tumhin ne kisi din hansaa diyaa hogaa
S
Syed Basit Hussain Mahir Lakhnavidil ki har baat kah gae aansu
gir ke aankhon se rah gae aansu
دل کی ہر بات کہہ گئے آنسو
گر کے آنکھوں سے رہ گئے آنسو
दिल की हर बात कह गए आँसू
गिर के आँखों से रह गए आँसू
hamein to yaad nahin koi lamha-e-ishrat
kabhi tumhin ne kisi din hansaa diyaa hogaa
dekh kar kaali ghaTaa ahl-e-qafas
aur kyaa karte taDap kar rah gae
phirti hai to phir jaae badalti hai to badle
duniyaa ki nazar hai miri qismat to nahin hai
tark-e-ulfat se mohabbat kaa likhaa miT na sakaa
vahi afsurdagi-e-shaam-o-sahar aaj bhi hai
kamar baandho muqaddar ke sahaare baiThne vaalo
shikast-e-razm se raahon kaa pech-o-kham na badlegaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
yaarab tu us ke dil se sadaa rakhiyo gham ko duur
jis ne kisi ke dil ko kabhi shaadmaan kiyaa
auron se puchhiye to haqiqat pata chale
tanhaai mein to zaat kaa irfaan ho chukaa