Shayari
kin ne kahaa aur se na mil tu
par ham se bhi kabhu milaa kar
ab teri daad na fariyaad kiyaa kartaa huun
raat din chupke paDaa yaad kiyaa kartaa huun
اب تیری داد نہ فریاد کیا کرتا ہوں
رات دن چپکے پڑا یاد کیا کرتا ہوں
अब तेरी दाद न फ़रियाद किया करता हूँ
रात दिन चुपके पड़ा याद किया करता हूँ

kin ne kahaa aur se na mil tu
par ham se bhi kabhu milaa kar
kyaa kahun kis tarah se jiitaa huun
gham ko khaataa huun aansu piitaa huun
bevafaa kuchh nahin teri taqsir
mujh ko meri vafaa hi raas nahin
apne nazdik dard-e-dil main kahaa
tere nazdik qissa-khvaani ki
tu hi behtar hai aaina ham se
ham to itne bhi ru-shanaas nahin
jis ghaDi ghurte ho ghussa se
nikle paDtaa hai pyaar aankhon mein
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
phir vahi kunj-e-qafas hai vahi sayyaad kaa ghar
chaar din aur havaa baagh ki khaa le bulbul
paron ko khol de zaalim jo band kartaa hai
qafas ko le ke main uD jaaungaa kahaan sayyaad
duur rah kar na karo baat qarib aa jaao
yaad rah jaaegi ye raat qarib aa jaao
inqilaabaat-e-dahr ki buniyaad
haq jo haqdaar tak nahin pahunchaa