Shayari
ghazab to ye hai muqaabil khaDaa hai vo mere
ki jis se meraa ta'alluq hai khuun ke rishte kaa
T
Tab Aslammain kis liye tujhe ilzaam-e-bevafaai duun
ki main to aap hi patthar huun apne raste kaa
میں کس لیے تجھے الزام بے وفائی دوں
کہ میں تو آپ ہی پتھر ہوں اپنے رستے کا
मैं किस लिए तुझे इल्ज़ाम-ए-बेवफ़ाई दूँ
कि मैं तो आप ही पत्थर हूँ अपने रस्ते का
nahin shikva mujhe kuchh bevafaai kaa tiri hargiz
gilaa tab ho agar tu ne kisi se bhi nibhaai ho
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
fariyaad ai tasavvur-e-abru-e-dil-fareb
qible ki samt bhuul gayaa huun namaaz mein
ab zamaana hai bevafaai kaa
siikh lein ham bhi ye hunar shaayad
sar jhukaaoge to patthar devtaa ho jaaegaa
itnaa mat chaaho use vo bevafaa ho jaaegaa