Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
fariyaad ai tasavvur-e-abru-e-dil-fareb
qible ki samt bhuul gayaa huun namaaz mein
فریاد اے تصور ابروئے دل فریب
قبلہ کی سمت بھول گیا ہوں نماز میں
क्या मुसीबत है कि जिस दिन से छुटी मय-नोशी
दिल जलाने के लिए रोज़ घटा आती है

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabein
ik shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain
aataa rahaa huun yaad main us ko tamaam umr
is zaaviye se ishq mein naakaam kab huaa
kuchh yaadgaar-e-shahr-e-sitamgar hi le chalein
aae hain is gali mein to patthar hi le chalein
denaa vo us kaa saaghar-e-mai yaad hai 'nizaam'
munh pher kar idhar ko udhar ko baDhaa ke haath