Shayari
kab khulegaa ki falak paar se aage kyaa hai
kis ko maalum ki divaar se aage kyaa hai
jis ne insaan se mohabbat hi nahin ki 'taabish'
us ko kyaa ilm ki pindaar se aage kyaa hai
جس نے انساں سے محبت ہی نہیں کی تابشؔ
اس کو کیا علم کہ پندار سے آگے کیا ہے
जिस ने इंसाँ से मोहब्बत ही नहीं की 'ताबिश'
उस को क्या इल्म कि पिंदार से आगे क्या है

kab khulegaa ki falak paar se aage kyaa hai
kis ko maalum ki divaar se aage kyaa hai
utar gayaa hai rag-o-pai mein zaaiqa us kaa
ajiib shahad saa kal raat us zabaan mein thaa
yaqin se jo gumaan kaa faasla hai
zamin se aasmaan kaa faasla hai
ajab yaqin saa us shakhs ke gumaan mein thaa
vo baat karte hue bhi nai uDaan mein thaa
zamaane se alag thi meri duniyaa
main us ki dauD mein shaamil nahin thaa
kai paDaav the manzil ki raah mein 'taabish'
mire nasib mein lekin safar kuchh aur se the
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
aahon se soz-e-ishq miTaayaa na jaaegaa
phunkon se ye charaagh bujhaayaa na jaaegaa