Shayari
nazar bhar ke jo dekh sakte hain tujh ko
main un ki nazar dekhnaa chaahtaa huun
gham-e-mohabbat mein dil ke daaghon se ru-kash-e-laala-zaar huun main
fazaa bahaarin hai jis ke jalvon se vo harif-e-bahaar huun main
غم محبت میں دل کے داغوں سے روکش لالہ زار ہوں میں
فضا بہاریں ہے جس کے جلووں سے وہ حریف بہار ہوں میں
ग़म-ए-मोहब्बत में दिल के दाग़ों से रू-कश-ए-लाला-ज़ार हूँ मैं
फ़ज़ा बहारीं है जिस के जल्वों से वो हरीफ़-ए-बहार हूँ मैं

nazar bhar ke jo dekh sakte hain tujh ko
main un ki nazar dekhnaa chaahtaa huun
aah us ki be-kasi tu na jis ke saath ho
haae us ki bandagi jis kaa tu khudaa nahin
bardaasht dard-e-ishq ki dushvaar ho gai
ab zindagi bhi jaan kaa aazaar ho gai
uf vo nazar ki sab ke liye dil-navaaz hai
meri taraf uThi to talvaar ho gai
khudaa mujh ko tujh se hi mahrum kar de
jo kuchh aur tere sivaa chaahtaa huun
kahin rusvaa na hon ranginiyaan dard-e-mohabbat ki
miraa itnaa khayaal ai dida-e-khun-baar kar lenaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
main zindagi ke sabhi gham bhulaae baiThaa huun
tumhaare ishq se kitni mujhe sahulat hai
gham to gham hi raheinge 'zubair'
gham ke unvaan badal jaaeinge