Shayari
kai log morcha-band khauf ki ret mein hain karam karam
tire haath mein ye jo sang hai kisi samt us ko uchhaal bhi
T
Tanveer Monisridaa-e-sang oDh kar na so gayaa ho kaanch bhi
harim-e-zakhm laazmi hai khair-o-shar ki jaanch bhi
ردائے سنگ اوڑھ کر نہ سو گیا ہو کانچ بھی
حریم زخم لازمی ہے خیر و شر کی جانچ بھی
रिदा-ए-संग ओढ़ कर न सो गया हो काँच भी
हरीम-ए-ज़ख़्म लाज़मी है ख़ैर-ओ-शर की जाँच भी
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
nai nahin hai ye tanhaai mere hujre ki
maraz ho koi bhi hai chaaraagar se Dar jaanaa
taalluq hai na ab tark-e-taalluq
khudaa jaane ye kaisi dushmani hai