Shayari
farzi qisson jhuTi baaton se akasr
sachchaai ke qad ko naapaa kartaa huun
kyuun na 'tanvir' phir izhaar ki jurat kiije
khaamushi bhi to yahaan baais-e-rusvaai hai
کیوں نہ تنویرؔ پھر اظہار کی جرأت کیجے
خامشی بھی تو یہاں باعث رسوائی ہے
क्यूँ न 'तनवीर' फिर इज़हार की जुरअत कीजे
ख़ामुशी भी तो यहाँ बाइस-ए-रुस्वाई है

farzi qisson jhuTi baaton se akasr
sachchaai ke qad ko naapaa kartaa huun
gharon mein qaid hain basti ke shorafaa
saDak par hain fasaadi aur ghunDe
apne kaandhe pe liye phirti hai ehsaas kaa bojh
zindagi kyaa kisi maqtal ki tamannaai hai
apni surat bhi kab apni lagti hai
aainon mein khud ko dekhaa kartaa huun
fikr ki aanch mein pighle to ye maalum huaa
kitne pardon mein chhupi zaat ki sachchaai hai
tumhaare baa'd khudaa jaane kyaa huaa dil ko
kisi se rabt baDhaane kaa hausla na huaa
dil ki dhaDkan bhi hai un ko naagavaar
un se kuchh kahne ki jurat kyaa karein
zinda rahne kaa haq milegaa use
jis mein marne kaa hausla hogaa
us ne bhi kai roz se khvaahish nahin oDhi
main ne bhi kai din se iraada nahin pahnaa
tamaam umr azaabon kaa silsila to rahaa
ye kam nahin hamein jiine kaa hausla to rahaa
bhaarat ke ai saputo himmat dikhaae jaao
duniyaa ke dil pe apnaa sikka biThaae jaao