Shayari
kal jahaan divaar hi divaar thi
ab vahaan dar hai jabin hai ishq hai
hijr thaa baar-e-amaanat ki tarah
so ye gham aakhiri hichki se uThaa
ہجر تھا بار امانت کی طرح
سو یہ غم آخری ہچکی سے اٹھا
हिज्र था बार-ए-अमानत की तरह
सो ये ग़म आख़िरी हिचकी से उठा

kal jahaan divaar hi divaar thi
ab vahaan dar hai jabin hai ishq hai
yahin aanaa hai bhaTakti hui aavaazon ko
yaani kuchh baat to hai koh-e-nidaa mein aisi
ab zamaane mein mohabbat hai tamaashe ki tarah
is tamaashe se bahaltaa nahin tu bhi main bhi
daaman bachaa rahe the ki chehra bhi jal gayaa
kis aag se guzar ke tiri raushni mein aae
badan mein dil thaa muallaq khalaa mein nazrein thiin
magar kahin kahin siine mein dard zinda thaa
lafz ki qaid se rihaa ho jaa
aa miri aankh se adaa ho jaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kuchh zamaane ki ravish ne sakht mujh ko kar diyaa
aur kuchh bedard main us ko bhulaane se huaa
tu chalaa gayaa hai to shahr phir vahi dasht-e-gham hai mire liye
vahi main huun aur miri zindagi mire aansuon mein bhari hui