Shayari
main khvaab mein bhi use khul ke pyaar kar na sakaa
ki shankh bajne lagaa aur azaan hone lagi
pahle Daali tire chehre pe bahut der nazar
'iid kaa chaand to phir baa'd mein dekhaa main ne
پہلے ڈالی ترے چہرے پہ بہت دیر نظر
عید کا چاند تو پھر بعد میں دیکھا میں نے
पहले डाली तिरे चेहरे पे बहुत देर नज़र
'ईद का चाँद तो फिर बा'द में देखा मैं ने

vo chaand hai to aks bhi paani mein aaegaa
kirdaar khud ubhar ke kahaani mein aaegaa
iid ke baa'd vo milne ke liye aae hain
iid kaa chaand nazar aane lagaa iid ke baad
na to aaftaab ki hai gharaz na talab mujhe koi chaand ki
vo charaagh mujh ko 'aziz hai miri zulmaton ko jo nuur de
ye kahkashaan ye sitaare ye chaandni ye bahaar
nigaah main na uThaaun to sab ke sab be-kaar
iid mein iid hui aish kaa saamaan dekhaa
dekh kar chaand jo munh aap kaa ai jaan dekhaa
chaandni surkh si dikhaai de
ye moharram kaa chaand hai 'asraar'