Shayari
turaab-e-paa-e-hasinaan-e-lakhnau hai ye
ye khaaksaar hai 'akhtar' ko naqsh-e-paa kahiye
yaad mein apne yaar-e-jaani ki
ham ne mar mar ke zindagaani ki
یاد میں اپنے یار جانی کی
ہم نے مر مر کے زندگانی کی
याद में अपने यार-ए-जानी की
हम ने मर मर के ज़िंदगानी की

turaab-e-paa-e-hasinaan-e-lakhnau hai ye
ye khaaksaar hai 'akhtar' ko naqsh-e-paa kahiye
mujhi ko vaaizaa pand-o-nasihat
kabhi us ko bhi samjhaayaa to hotaa
dar-o-divaar pe hasrat se nazar karte hain
khush raho ahl-e-vatan ham to safar karte hain
be-muravvat ho bevafaa ho tum
apne matlab ke aashnaa ho tum
yahi tashvish shab-o-roz hai bangaale mein
lucknow phir kabhi dikhlaae muqaddar meraa
ulfat ne tiri ham ko to rakkhaa na kahin kaa
dariyaa kaa na jangal kaa samaa kaa na zamin kaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
samajh liyaa thaa tujhe dost ham ne dhoke mein
so aaj se tujhe baar-e-digar samajhte hain
sab doston se mujh ko ziyaada 'aziz hai
aisaa bhi ek shakhs mire dushmanon mein hai
meri to jaan hi nikal gai jab
dost kah kar mujhe pukaaraa gayaa
vo raatein kaif mein Duubi vo teri pyaar ki baatein
nikal paDte hain aansu jab kabhi ham yaad karte hain
har taraf ziist ki raahon mein kaDi dhuup hai dost
bas tiri yaad ke saae hain panaahon ki tarah