Shayari
in do ke sivaa koi falak se na huaa paar
yaa tiir miri aah kaa yaa us ki nazar kaa
dariyaa-e-mohabbat se 'muhib' le hi ke chhoDi
mujh ashk ne aakhir dur-e-naayaab ki miraas
دریائے محبت سے محبؔ لے ہی کے چھوڑی
مجھ اشک نے آخر در نایاب کی میراث
दरिया-ए-मोहब्बत से 'मुहिब' ले ही के छोड़ी
मुझ अश्क ने आख़िर दुर-ए-नायाब की मीरास

in do ke sivaa koi falak se na huaa paar
yaa tiir miri aah kaa yaa us ki nazar kaa
tum gaao apne raag ko us paas vaaizo
mushtaaq jo gadhaa ho tumhaare alaap kaa
kaabe mein vahi khud hai vahi dair mein hai aap
hindu kaho yaa us ko musalmaan vahi hai
khat kaa ye javaab aayaa ki qaasid gayaa ji se
sar ek taraf loTe hai aur ek taraf dhaD
barahman dair ko raahi huaa aur shaikh kaabe ko
nikal kar us doraahe se main ku-e-yaar mein aayaa
jab nashe mein ham ne kuchh miThe ki khvaahish us se ki
tursh ho bolaa ki kyuun be tu bhi is laaeq huaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
bhali kyuun lage ham ko khushiyon ki dastak
abhi ham mohabbat kaa gham kar rahe hain