Shayari
ham ye to nahin kahte ki ham tujh se baDe hain
lekin ye bahut hai ki tire saath khaDe hain
aaj pi lene de saaqi mujhe ji lene de
kal miri raat khudaa jaane kahaan guzregi
آج پی لینے دے ساقی مجھے جی لینے دے
کل مری رات خدا جانے کہاں گزرے گی
आज पी लेने दे साक़ी मुझे जी लेने दे
कल मिरी रात ख़ुदा जाने कहाँ गुज़रेगी

ham ye to nahin kahte ki ham tujh se baDe hain
lekin ye bahut hai ki tire saath khaDe hain
tahrir se varna miri kyaa ho nahin saktaa
ik tu hai jo lafzon mein adaa ho nahin saktaa
raat to vaqt ki paaband hai Dhal jaaegi
dekhnaa ye hai charaaghon kaa safar kitnaa hai
bhare makaan kaa bhi apnaa nasha hai kyaa jaane
sharaab-khaane mein raatein guzaarne vaalaa
shartein lagaai jaati nahin dosti ke saath
kiije mujhe qubul miri har kami ke saath
hamaare ghar kaa pataa puchhne se kyaa haasil
udaasiyon ki koi shahriyat nahin hoti
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
rang aa jaate muTThi mein jugnu ban kar
khushbu kaa paikar hotaa to achchhaa thaa
aaj mujhe apni aankhon se us ke qurb ki khushbu aai
meri nazar se us ne shaayad apne-aap ko dekhaa hogaa
teri ik baat nikaali thi ki raat
kitne hi baaton ke pahlu nikle