Shayari
ham ye to nahin kahte ki ham tujh se baDe hain
lekin ye bahut hai ki tire saath khaDe hain
musalsal haadson se bas mujhe itni shikaayat hai
ki ye aansu bahaane ki bhi to mohlat nahin dete
مسلسل حادثوں سے بس مجھے اتنی شکایت ہے
کہ یہ آنسو بہانے کی بھی تو مہلت نہیں دیتے
मुसलसल हादसों से बस मुझे इतनी शिकायत है
कि ये आँसू बहाने की भी तो मोहलत नहीं देते

ham ye to nahin kahte ki ham tujh se baDe hain
lekin ye bahut hai ki tire saath khaDe hain
tahrir se varna miri kyaa ho nahin saktaa
ik tu hai jo lafzon mein adaa ho nahin saktaa
raat to vaqt ki paaband hai Dhal jaaegi
dekhnaa ye hai charaaghon kaa safar kitnaa hai
bhare makaan kaa bhi apnaa nasha hai kyaa jaane
sharaab-khaane mein raatein guzaarne vaalaa
shartein lagaai jaati nahin dosti ke saath
kiije mujhe qubul miri har kami ke saath
hamaare ghar kaa pataa puchhne se kyaa haasil
udaasiyon ki koi shahriyat nahin hoti
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
dard-e-dil baanTtaa aayaa hai zamaane ko jo ab tak 'anjum'
kuchh huaa yuun ki vahi dard se do-chaar huaa chaahtaa hai
pi jaate hain zahr-e-gham-e-hasti ho ki mai ho
ham saa bhi zamaane mein balaa-nosh na hogaa