Shayari
falak bedaad kartaa hai jo jaur ijaad karte hain
ghazab shaagird Dhaataa hai sitam ustaad karte hain
W
Waseem Khairabadiuse bahisht ke zindaan mein bhej denaa tum
gunaahgaar-e-mohabbat ko ye sazaa denaa
اسے بہشت کے زنداں میں بھیج دینا تم
گناہ گار محبت کو یہ سزا دینا
उसे बहिश्त के ज़िंदाँ में भेज देना तुम
गुनाहगार-ए-मोहब्बत को ये सज़ा देना
falak bedaad kartaa hai jo jaur ijaad karte hain
ghazab shaagird Dhaataa hai sitam ustaad karte hain
aasmaanon par bhi hain charche husn-e-aalamgir ke
chaand ne bhi rang uDaae chaand si tasvir ke
jurm itne kar chalaa huun hashr tak likkheinge roz
kaatib-e-aamaal paaeinge na fursat kaam se
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dil mein ab kuchh bhi nahin un ki mohabbat ke sivaa
sab fasaane hain haqiqat mein haqiqat ke sivaa
mohabbat lafz to saada saa hai lekin 'aziz' is ko
mataa-e-dil samajhte the mataa-e-dil samajhte hain
ye khazaane kaa koi saanp banaa hotaa hai
aadmi ishq mein duniyaa se buraa hotaa hai