Shayari
baahar se chaTTaan ki tarah huun
andar ki fazaa mein tharthari hai
baahar gali mein chalte hue log thak gae
tanhaaiyon kaa shor thaa khaali makaan mein
باہر گلی میں چلتے ہوئے لوگ تھک گئے
تنہائیوں کا شور تھا خالی مکان میں
bāhar galī meñ chalte hue log thak ga.e
tanhā.iyoñ kā shor thā ḳhālī makān meñ

baahar se chaTTaan ki tarah huun
andar ki fazaa mein tharthari hai
vo maqaamaat-e-muqaddas vo tire gumbad o qaus
aur miraa aise nishaanaat kaa zaaer honaa
mujh se chhuDvaae mire saare usuul us ne 'zafar'
kitnaa chaalaak thaa maaraa mujhe tanhaa kar ke
dar-e-umid se ho kar nikalne lagtaa huun
to yaas rauzan-e-zindaan se aankh maarti hai
aasmaan par koi tasvir banaataa huun 'zafar'
ki rahe ek taraf aur lage chaaron taraf
jaisi ab hai aisi haalat mein nahin rah saktaa
main hamesha to mohabbat mein nahin rah saktaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa
baarish ke baa'd raat saDak aaina si thi
ik paanv paaniyon pe paDaa chaand hil gayaa
nur-e-sahar kahaan hai agar shaam-e-gham gai
kab iltifaat thaa ki jo khu-e-sitam gai