Shayari
yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
lagtaa hai itnaa vaqt mire Dubne mein kyuun
andaaza mujh ko khvaab ki gahraai se huaa
لگتا ہے اتنا وقت مرے ڈوبنے میں کیوں
اندازہ مجھ کو خواب کی گہرائی سے ہوا
lagtā hai itnā vaqt mire Dūbne meñ kyuuñ
andāza mujh ko ḳhvāb kī gahrā.ī se huā

yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
yuun bhi hotaa hai ki yak dam koi achchhaa lag jaae
baat kuchh bhi na ho aur dil mein tamaashaa lag jaae
kyaa khabar jis kaa yahaan itnaa uDaate hain mazaaq
khud hamein bhi kabhi is rang mein Dhalnaa paD jaae
apni marzi se bhi ham ne kaam kar Daale hain kuchh
lafz ko laDvaa diyaa hai beshtar maani ke saath
haath pair aap hi main maar rahaa huun filhaal
Dubte ko abhi tinke kaa sahaaraa kam hai
raaste hain khule hue saare
phir bhi ye zindagi ruki hui hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
muddat ke baad khvaab mein aayaa thaa meraa baap
aur us ne mujh se itnaa kahaa khush rahaa karo
koi baat khvaab-o-khayaal ki jo karo to vaqt kaTegaa ab
hamein mausamon ke mizaaj par koi e'tibaar kahaan rahaa
rahaa khvaab mein un se shab bhar visaal
mire bakht jaage main soyaa kiyaa
tum apne khvaab bachaa kar rakkho ki kal duniyaa
tumhaari aankh mein jhaanke to zindagi dekhe