Shayari
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
ik shajar aisaa mohabbat kaa lagaayaa jaae
jis kaa ham-saae ke aangan mein bhi saayaa jaae
اک شجر ایسا محبت کا لگایا جائے
جس کا ہمسائے کے آنگن میں بھی سایا جائے
इक शजर ऐसा मोहब्बत का लगाया जाए
जिस का हम-साए के आँगन में भी साया जाए

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tum miraa naam-o-nasab puchh rahe ho sab se
ishq ho jaae to shajara nahin dekhaa jaataa
aarzu-e-dil-e-betaab mukammal kar de
khvaahish-e-did-e-sanam chashm mein bal khaati hai
ji chaahtaa hai us but-e-kaafir ke ishq mein
tasbih toD Daaliye zunnaar dekh kar