Shayari
dekho vo bhi hain jo sab kah sakte the
dekho un ke munh par taale ab bhi hain
nahin nahin hamein ab teri justuju bhi nahin
tujhe bhi bhuul gae ham tiri khushi ke liye
نہیں نہیں ہمیں اب تیری جستجو بھی نہیں
تجھے بھی بھول گئے ہم تری خوشی کے لئے
नहीं नहीं हमें अब तेरी जुस्तुजू भी नहीं
तुझे भी भूल गए हम तिरी ख़ुशी के लिए

dekho vo bhi hain jo sab kah sakte the
dekho un ke munh par taale ab bhi hain
uTho ki jashn-e-khizaan ham manaaein ji bhar ke
bahaar aae gulistaan mein kab khudaa jaane
jo dil ne kahi lab pe kahaan aai hai dekho
ab mahfil yaaraan mein bhi tanhaai hai dekho
kahaan ke ishq-o-mohabbat kidhar ke hijr o visaal
abhi to log taraste hain zindagi ke liye
divaanon ko ab vusat-e-sahraa nahin darkaar
vahshat ke liye saaya-e-divaar bahut hai
dekhte dekhte ik ghar ke rahne vaale
apne apne khaanon mein baT jaate hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
khushi kaa ek hi lamha thaa apni zindagi mein
sakhi aise ki vo bhi dusron ke naam kar aae
tumhaari dekh kar ye khush-khiraami aab-raftaari
gayaa hai bhuul hairat siin piyaa paani ke taiin bahnaa
aaj bhi siine se aati hai tumhaari khushbu
tum ne ik baar jo siine se lagaayaa thaa mujhe
ye shahr vo hai ki koi khushi to kyaa detaa
kisi ne dil bhi dukhaayaa nahin bahut din se