Shayari
dekho vo bhi hain jo sab kah sakte the
dekho un ke munh par taale ab bhi hain
jo dil ne kahi lab pe kahaan aai hai dekho
ab mahfil yaaraan mein bhi tanhaai hai dekho
جو دل نے کہی لب پہ کہاں آئی ہے دیکھو
اب محفل یاراں میں بھی تنہائی ہے دیکھو
जो दिल ने कही लब पे कहाँ आई है देखो
अब महफ़िल याराँ में भी तन्हाई है देखो

dekho vo bhi hain jo sab kah sakte the
dekho un ke munh par taale ab bhi hain
uTho ki jashn-e-khizaan ham manaaein ji bhar ke
bahaar aae gulistaan mein kab khudaa jaane
kahaan ke ishq-o-mohabbat kidhar ke hijr o visaal
abhi to log taraste hain zindagi ke liye
divaanon ko ab vusat-e-sahraa nahin darkaar
vahshat ke liye saaya-e-divaar bahut hai
koi hangaama sar-e-bazm uThaayaa jaae
kuchh kiyaa jaae charaaghon ko bujhaayaa jaae
dekhte dekhte ik ghar ke rahne vaale
apne apne khaanon mein baT jaate hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa
dard mein lazzat bahut ashkon mein raanaai bahut
ai gham-e-hasti hamein duniyaa pasand aai bahut