SHAWORDS

kah bhi duun haal-e-dil agar shaayad — Ameeta Parsuram Meeta

"kah bhi duun haal-e-dil agar shaayad un pe ho jaae kuchh asar shaayad ab zamaana hai bevafaai kaa siikh lein ham bhi ye hunar shaayad baad muddat ke ye khayaal aayaa raas aayaa nahin safar shaayad ham hi ab tak samajh nahin paae kuchh to kahti hai vo nazar shaayad vaise to faasla nahin koi kashmakash hai agar magar shaayad har nazaare mein us kaa hi jalva tum ko aataa nahin nazar shaayad ajnabi ajnabi se chehre hain ye nahin hai miraa nagar shaayad niind taari hai aasmaanon par yaa duaa mein nahin asar shaayad ab koi aarzu nahin baaqi khatm hotaa hai ye safar shaayad mauj-dar-mauj ek nashsha thaa ab vo dariyaa gayaa utar shaayad zindagi ab tujhe sanvaare kyaa koshishein saari be-asar shaayad ik jahaan ajnabi rahaa 'mitaa' ik jahaan mujh se baa-khabar shaayad"
Urdu

کہہ بھی دوں حال دل اگر شاید ان پہ ہو جائے کچھ اثر شاید اب زمانہ ہے بے وفائی کا سیکھ لیں ہم بھی یہ ہنر شاید بعد مدت کے یہ خیال آیا راس آیا نہیں سفر شاید ہم ہی اب تک سمجھ نہیں پائے کچھ تو کہتی ہے وہ نظر شاید ویسے تو فاصلہ نہیں کوئی کشمکش ہے اگر مگر شاید ہر نظارے میں اس کا ہی جلوہ تم کو آتا نہیں نظر شاید اجنبی اجنبی سے چہرے ہیں یہ نہیں ہے مرا نگر شاید نیند طاری ہے آسمانوں پر یا دعا میں نہیں اثر شاید اب کوئی آرزو نہیں باقی ختم ہوتا ہے یہ سفر شاید موج در موج ایک نشہ تھا اب وہ دریا گیا اتر شاید زندگی اب تجھے سنوارے کیا کوششیں ساری بے اثر شاید اک جہاں اجنبی رہا میتاؔ اک جہاں مجھ سے باخبر شاید

Hindi

कह भी दूँ हाल-ए-दिल अगर शायद उन पे हो जाए कुछ असर शायद अब ज़माना है बेवफ़ाई का सीख लें हम भी ये हुनर शायद बा'द मुद्दत के ये ख़याल आया रास आया नहीं सफ़र शायद हम ही अब तक समझ नहीं पाए कुछ तो कहती है वो नज़र शायद वैसे तो फ़ासला नहीं कोई कश्मकश है अगर मगर शायद हर नज़ारे में उस का ही जल्वा तुम को आता नहीं नज़र शायद अजनबी अजनबी से चेहरे हैं ये नहीं है मिरा नगर शायद नींद तारी है आसमानों पर या दुआ में नहीं असर शायद अब कोई आरज़ू नहीं बाक़ी ख़त्म होता है ये सफ़र शायद मौज-दर-मौज एक नश्शा था अब वो दरिया गया उतर शायद ज़िंदगी अब तुझे सँवारे क्या कोशिशें सारी बे-असर शायद इक जहाँ अजनबी रहा 'मीता' इक जहाँ मुझ से बा-ख़बर शायद

kah bhī duuñ hāl-e-dil agar shāyad
Ameeta Parsuram Meeta
Ameeta Parsuram Meeta
Ameeta Parsuram Meeta
poet100 quotes

More by Ameeta Parsuram Meeta

View all →
Quote
"zabaan kar ke muqaffal tum sadaaein chaahte ho sazaa dete ho pahle phir du'aaein chaahte ho ghuTan hai dard hai dil mein chhupi tanhaai hai sisakti hai mohabbat tum adaaein chaahte ho kiyaa barbaad qudrat ko kuchal Daalaa magar ab mahakti si fazaaein aur ghaTaaein chaahte ho simaT kar zaat mein apni qafas mein qaid ho kar tumhein parvaaz ki zid hai havaaein chaahte ho suno khud-gharziyon ki koi to ho intihaa naa jafaa kar ke hamin se tum vafaaein chaahte ho zamin aur aasmaan aae na tum ko raas 'mitaa' nahin hairat ki ab tum bhi khalaaein chaahte ho"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"nihaan si chaadar ki silvaTon mein na jaane kitni hikaayatein hain kahin to qisse visaal ke hain kahin sisakti nadaamatein hain jidhar bhi dekho hai nafraton kaa 'adaavaton kaa vahi tamaashaa kuduratein hain riqaabatein hain mohabbaton mein tijaaratein hain hain yaad ab bhi vo gul-mohar ke do peD mere hi ghar ke baahar magar jahaan tak nazar hai jaati ab unchi unchi 'imaaratein hain bahut hasin thaa vo ek lamha nazar nazar se gale mili jab nazar nazar mein sukhan kahe jab vo kitni pyaari samaa'atein hain"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"ik daf'a uljhe to uljhe hi rahe pyaar ke saude mein ghaaTe hi rahe dekh kar vo bas tamaashaai rahaa aur ham daldal mein dhanste hi rahe vo haqiqat ki taraf baDhtaa rahaa us ke sapne sirf sapne hi rahe vaqt dariyaa ki tarah bahtaa rahaa be-'amal bas haath malte hi rahe jaise jaise raushni baDhti gai sab ke chehre phike paDte hi rahe shaakh se TuuTe the jo patte kabhi abr bhi barsaa to sukhe hi rahe rahmaton ki baarishein hoti rahin aur zamin vaale ki pyaase hi rahe 'ishq ne barzakh mein rakkhaa yuun ki ham un ke ho paae na khud ke hi rahe vaqt kaa suraj jagaataa hi rahaa vo magar aankhon ko munde hi rahe rahbari par naaz thaa jin ko kabhi dil ki raahon mein vo bhaTke hi rahe chehra paDhnaa mujh ko aataa thaa magar chehre ke pichhe bhi chehre hi rahe"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb