"fath kitni khub-surat hai magar kitni garaan baarhaa rad ki hai main ne daavat-e-vasl-e-butaan naghma-e-bulbul hai faryaad-e-vidaa-e-fasl-e-gul sai-e-haasil dar-haqiqat hai mataa-e-raaegaan zinda rahne ke hain imkaanaat kyaa aasaar kyaa kaun si qadrein hain baaqi kaun si sachchaaiyaan shaa'iron kaa kaam kyaa tansiq-e-ausaaf-o-lughut yaa sanaa shaahon ki yaa madh-e-saraapaa-e-butaan zahr hai fan ke liye darbaar-daari kaa mizaaj kam-tarin-e-shart-e-goyaai hai ikhlaas-e-bayaan tere haathon par lagaa hai be-gunaahon kaa lahu jaam-e-jam mein mai nahin khun-e-siyaadish hai mughaan main to piitaa huun faqat gulnaar honTon ki sharaab sabbeh-ism-e-rabbekal-aalaa rahe vird-e-zabaan khatm hain is shokh raaanaa par tarah-daari ke rang qadd-e-baalaa jis kaa hai rashk-e-qazib-e-khaizraan jhanjhanaa uThne ko hain betaab tan biinaa ke taar kaun laae taab husn-e-be-hijaab-e-mah-vashaan be-niyaaz-e-harf hai guftaar-e-chashm-e-pur-sukhan darmiyaan-e-mahramaan-e-jaan hai naa-mahram zabaan koi tanhaai kaa gosha koi kunj-e-aafiyat 'aashiq-o-maa'shuq yakjaa hon kahaan ai aasmaan ai muhibbo raah-e-ulfat mein har ik shai hai mubaah kis ne khinchaa hai khat-e-hijraan tumhaare darmiyaan titliyaan dekhi hain baiThi khushk phulon par kabhi haajatein apni karo tum khub-ruon se bayaan ham ne nindein de ke raaton se kharide ratjage ham se kam honge ukaaz-e-dahr mein baazaargaan raat-din sunte hain tasvilaat-e-arbaab-e-hasad ehtiyaaj-e-dushmanaan bhi hai hunar ko be-gumaan jaane kin auqaat mein likhtaa thaa qaanun-o-shifaa bu-ali-sinaa vo maqtul-e-mughaan sheva-butaan maut se vahshat hai logon ko mohabbat maal se baang-e-be-hangaam hai kus-e-rahil-e-kaarvaan hai qarib ai shab zaraa subh-e-qayaamat kaa tulua TuTne ko hai azal-taabaan tanaab-e-kahkashaan tum akele aae duniyaa mein akele jaaoge zindagi ik pal hai kyaa pul par banaate ho makaan khizr zinda hai magar zindaani-e-umr-e-abad ai ajal kis kaam ki aisi hayaat-e-jaavidaan main bhi huun maanind maamun ke amir-ul-kaafrin bas-ki huun vaarafta-e-fikr-o-fan-e-yunaaniyaan hai sulaimaan ki taraf vaaqif lisaan-uttair se shaair-e-zohra-nigaahaan khaalid-e-uqda-zabaan go harim-e-aagahi ki shakl bhi dekhi nahin hai ba-zom-e-khvesh daanaa-e-rumuz-e-kun-fakaan"
main baat kaun se pairaaya-e-bayaan mein karun — Abdul Aziz Khalid
"main baat kaun se pairaaya-e-bayaan mein karun jo sochtaa huun use kis zabaan mein likhun katar diye hain zamaane ne pankh khvaabon ke bharaa hai saaghar-e-hasrat mein aarzuon kaa khuun nahin hai kushta-e-khubaan kaa khun-bahaa koi ai ahl-e-shauq na khaao fareb harf-e-fusun kabhi hai chaand kaa haala naqaab-e-laala kabhi anile rang dikhaati hai zulf-e-ghaaliya-gun zamaam-e-raahila-e-dil khirad ke haath mein do ki maarti hai havas is navaah mein shab-khun ab is ko khaana-kharaabi kaho ki maamuri zamin mein saath khazaane ke dhans gayaa qaarun banu-tamim ho tum main salaama-bin-jindal bilaa-javaaz tumhaari sanaa main kaise karun parindgaan-e-bayaabaan karein vasila jise main us amiin ke khirman ke khosha-chinon mein huun shahid-e-ilm bhi huun zinda-e-mohabbat bhi ba-faiz-e-zauq-e-salim-o-tabiat-e-mauzun sharik-e-zumra-e-mehnat-kashaan hai shaa'ir bhi bahaa-e-sad-nafas-e-khun-chakaan hai ik mazmun anaaDi-pan na kaho meri saada-lauhi ko huun nau-niyaaz magar kuhna-mashq-e-jazb-o-junun balaa-e-jabr bhi hai paa-e-ikhtiyaar bhi hai qusur-vaar huun main yaa sadaa-e-kun-fayakun daraa-e-farra-e-farhang dekho rang-e-sukhan abul-kalaam nahin main abul-maaani huun"
میں بات کون سے پیرایۂ بیاں میں کروں جو سوچتا ہوں اسے کس زبان میں لکھوں کتر دئے ہیں زمانے نے پنکھ خوابوں کے بھرا ہے ساغر حسرت میں آرزوؤں کا خوں نہیں ہے کشتۂ خوباں کا خوں بہا کوئی اے اہل شوق نہ کھاؤ فریب حرف فسوں کبھی ہے چاند کا ہالہ نقاب لالہ کبھی انیلے رنگ دکھاتی ہے زلف غالیہ گوں زمام راحلۂ دل خرد کے ہاتھ میں دو کہ مارتی ہے ہوس اس نواح میں شب خوں اب اس کو خانہ خرابی کہو کہ معموری زمیں میں ساتھ خزانے کے دھنس گیا قاروں بنو تمیم ہو تم میں سلامہ بن جندل بلا جواز تمہاری ثنا میں کیسے کروں پرندگان بیاباں کریں وسیلہ جسے میں اس امین کے خرمن کے خوشہ چینوں میں ہوں شہید علم بھی ہوں زندۂ محبت بھی بہ فیض ذوق سلیم و طبیعت موزوں شریک زمرۂ محنت کشاں ہے شاعر بھی بہائے صد نفس خونچکاں ہے اک مضموں اناڑی پن نہ کہو میری سادہ لوحی کو ہوں نونیاز مگر کہنہ مشق جذب و جنوں بلائے جبر بھی ہے پائے اختیار بھی ہے قصوروار ہوں میں یا صدائے کن فیکوں درائے فرۂ فرہنگ دیکھو رنگ سخن ابوالکلام نہیں میں ابوالمعانی ہوں
मैं बात कौन से पैराया-ए-बयाँ में करूँ जो सोचता हूँ उसे किस ज़बान में लिखूँ कतर दिए हैं ज़माने ने पंख ख़्वाबों के भरा है साग़र-ए-हसरत में आरज़ूओं का ख़ूँ नहीं है कुश्ता-ए-ख़ूबाँ का ख़ूँ-बहा कोई ऐ अहल-ए-शौक़ न खाओ फ़रेब हर्फ़-ए-फ़ुसूँ कभी है चाँद का हाला नक़ाब-ए-लाला कभी अनीले रंग दिखाती है ज़ुल्फ़-ए-ग़ालिया-गूँ ज़माम-ए-राहिला-ए-दिल ख़िरद के हाथ में दो कि मारती है हवस इस नवाह में शब-ख़ूँ अब इस को ख़ाना-ख़राबी कहो कि मा'मूरी ज़मीं में साथ ख़ज़ाने के धँस गया क़ारूँ बनू-तमीम हो तुम मैं सलामा-बिन-जिंदल बिला-जवाज़ तुम्हारी सना मैं कैसे करूँ परिंदगान-ए-बयाबाँ करें वसीला जिसे मैं उस अमीन के ख़िर्मन के ख़ोशा-चीनों में हूँ शहीद-ए-इल्म भी हूँ ज़िंदा-ए-मोहब्बत भी ब-फ़ैज़-ए-ज़ौक़-ए-सलीम-ओ-तबीअ'त-ए-मौज़ूँ शरीक-ए-ज़ुमरा-ए-मेहनत-कशाँ है शा'इर भी बहा-ए-सद-नफ़स-ए-ख़ूँ-चकाँ है इक मज़मूँ अनाड़ी-पन न कहो मेरी सादा-लौही को हूँ नौ-नियाज़ मगर कुहना-मश्क़-ए-जज़्ब-ओ-जुनूँ बला-ए-जब्र भी है पा-ए-इख़्तियार भी है क़ुसूर-वार हूँ मैं या सदा-ए-कुन-फ़यकूँ दरा-ए-फ़र्रा-ए-फ़रहंग देखो रंग-ए-सुख़न अबुल-कलाम नहीं मैं अबुल-मअानी हूँ

More by Abdul Aziz Khalid
View all →"hon kyuun na munkashif asraar past-o-baalaa ke jame hain paanv zamin par sar aasmaan ko chhue jo sarnavisht mein hai us ko ho ke rahnaa hai to kis bharose pe insaan jidd-o-jahd kare ab aasmaan se sahife nahin utarte magar khulaa huaa hai dar-e-ijtihaad sab ke liye zabaan ataa kare sher un ki be-zabaani ko jo apne karb kaa izhaar kar nahin sakte bahaar-o-bahjat-o-izz-o-vaqaar us pe nisaar zabaan se maal se jaan se jo zaalimon se laDe hai aansuon mein shifaa kaisi kyaa khabar us ko bahaae makr se jo jhuT-muT ke Tasve hai bas-ki kaam ham aison kaa bhi masihaai ham aasmaan pe zinda uThaae jaaeinge"
"nakhchir huun main kashmakash-e-fikr-o-nazar kaa haq mujh se adaa ho na dar-o-bast-e-hunar kaa maghrib mujhe khinche hai to roke mujhe mashriq dhobi kaa vo kuttaa huun ki jo ghaaT na ghar kaa dabtaa huun kisi se na dabaataa huun kisi ko qaael huun musaavaat-e-bani-nau-e-bashar kaa har chiiz ki hoti hai koi aakhiri had bhi kyaa koi bigaaDegaa kisi khaak-basar kaa dil-gir to be-shak huun pe naumid nahin huun raushan hai dil-e-shab mein diyaa nur-e-sahar kaa poshida nahin mujh se koi jazr-o-mad-e-shauq mahram huun sadaa dilbar-e-angekhta-bar kaa zindaan o salaasil se sadaaqat nahin dabti hai shaan-e-kai silsila bas raqs-e-sharar kaa tasvir koi banti dikhaai nahin deti kiyaa sarfa abas ham ne kiyaa khun-e-jigar kaa kyaa shughl-e-shajar kaar hai afkaar se behtar saudaa sar-e-shorida mein gar ho na samar kaa kyuun sar-khush-e-raftaar na ho ho qaafila-e-mauj rahzan kaa hai andesha na gham zaad-e-safar kaa Daali hai sitaaron pe kamand ahl-e-zamin ne zohra kaa vo afsun na fasaana vo qamar kaa har baat hai 'khaalid' ki zamaane se niraali baashinda hai shaayad kisi duniyaa-e-digar kaa"
"taqaazaa-e-dil-o-jaan kaa kahin darmaan nahin miltaa dayaar-e-dard mein taskin kaa saamaan nahin miltaa khiraaminda hain maikhaane agarche teri aankhon mein yahaan se bhi mudaavaa-e-gham-e-pinhaan nahin miltaa tiri chashm-e-tamaashaa-mast mein ghaltaan hain afsaane magar tamhid-e-ulfat kaa koi unvaan nahin miltaa kisi shai ki kami hai tere jalvon ki navaazish mein ki ab vo vaalehaana-pan vo zauq-e-jaan nahin miltaa tire andaaz ki ghaarat-gari bhi kyaa qayaamat hai ki naqd-e-zindagi-o-gauhar-e-imaan nahin miltaa kamaal-e-iffat-e-qalb-o-nazar mafqud hai 'khaalid' ye rutba mil to jaataa hai magar aasaan nahin miltaa"
"bhulon unhein kaise kaise kaise vo lamhe jo tere saath guzre hai raah-numaa jibillat un ki be-his nahin mausami parinde ai daanish-var mafar nahin hai iqraar-e-vajud-e-kibriyaa se jaanaa koi kaarsaaz bhi hai TuuTe ban ban ke jab iraade mehraab umuud burj qausein ras mein Duube bhare bhare se bahr-e-kaafur mein talaatum bhonraa baiThaa kanval ko chuse chaak-e-ufqi harim-e-zohra rah rah ke madan tarang jhalke jhilmil jhilmil badan kaa sonaa lahraaein laTein kamar se niche kyaa chaand si suratein banaain qurbaan ai niili chhatri vaale"
"phir tire aastaan pe le aai khinch kar lazzat-e-jabin-saai pesh-o-pas ko bahaae jaataa hai teraa sailaab-e-rang-o-raanaai koi bekas duaaein detaa hai vo tiri pursish-o-paziraai phir se betaab hai dil-e-shaidaa kisi bhule hue ki yaad aai ek parda hai khud-farebi kaa ye miraa zauq-e-naghma-pairaai matlaa-e-subh-e-nau-bahaar bane us mujassam hayaa ki paidaai nazar ehsaas-e-husn se makhmur laal-e-khush-aab mein masihaai didani hai adaa-e-mahbubi saare andaaz hain zulekhaai aafat-e-aql-o-hosh hai 'khaalid' us pari-ru kaa husn-e-sahraai"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"