Quote
"hasin khvaab dikhaayaa dikhaa ke chhoD diyaa kisi ne apnaa banaayaa banaa ke chhoD diyaa jo us ki yaadon kaa dipak kabhi huaa raushan to aansuon se bujhaayaa bujhaa ke chhoD diyaa kiyaa na us ne mire dard ko kabhi mahsus hamesha dil ko dukhaayaa dukhaa ke chhoD diyaa bataataa kaise main hassaas ke ma'aani use so aaine ko uThaayaa uThaa ke chhoD diyaa main hausla na juTaa paayaa us ko chhune kaa naqaab rukh se haTaayaa haTaa ke chhoD diyaa kahin na us ki buraai mein ham hue shaamil nazar se jis ko giraayaa giraa ke chhoD diyaa bahut saliqe se us ne kiyaa nazar-andaaz qarib apne biThaayaa biThaa ke chhoD diyaa na un se rakkhi kabhi raushni ki ummidein diyon ko ham ne jalaayaa jalaa ke chhoD diyaa"
