SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFiraq Gorakhpuri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"daur-e-aaghaaz-e-jafaa dil kaa sahaaraa niklaa hausla kuchh na hamaaraa na tumhaaraa niklaa teraa naam aate hi sakte kaa thaa 'aalam mujh par jaane kis tarah ye mazkur dobaaraa niklaa hosh jaataa hai jigar jaataa hai dil jaataa hai parde hi parde mein kyaa teraa ishaaraa niklaa hai tire kashf-o-karaamaat ki duniyaa qaail tujh se ai dil na magar kaam hamaaraa niklaa kitne saffaak sar-e-qatl-gah-e-aalam the laakhon mein bas vahi allaah kaa pyaaraa niklaa ibrat-angez hai kyaa us ki javaan-margi bhi haae vo dil jo hamaaraa na tumhaaraa niklaa 'ishq ki lau se farishton ke bhi par jalte hain rashk-e-khurshid-e-qayaamat ye sharaaraa niklaa sar-ba-sar be-sar-o-saamaan jise samjhe the vo dil rashk-e-jamshed-o-kai-o-khusrau-o-daaraa niklaa rone vaale hue chup hijr ki duniyaa badli sham' be-nur hui subh kaa taaraa niklaa ungliyaan uTThin 'firaaq'-e-vatan-aavaara par aaj jis samt se vo dard kaa maaraa niklaa"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"sunaa to hai ki kabhi be-niyaaz-e-gham thi hayaat dilaai yaad nigaahon ne teri kab ki baat zamaan makaan hai faqat madd-o-jazr-e-josh-e-hayaat bas ek mauj ki hain jhalkiyaan qaraar-o-sabaat hayaat ban gai thi jin mein ek khvaab-e-hayaat are davaam-o-abad the vahi to kuchh lamhaat hayaat-e-dozakhiyaan bhi tamaam mubham hai azaab bhi na mayassar huaa kahaan ki najaat tiri nigaah ki subhein nigaah ki shaamein harim-e-raaz ye duniyaa jahaan na dan hain na raat bas ik sharaab-e-kuhan ke karishme hain saaqi nae zamaane nai mastiyaan nai barsaat kisi pe zulm buraa hai magar ye kahtaa huun ki aadmi pe ho ehsaan aadmi haihaat sukut-e-raaz vahi hai jo daastaan ban jaae nigaah-e-naaz vahi jo nikaale baat mein baat gham-o-nishaat mohabbat ki chhoD de laalach har ik se uThte nahin ye azaab ye barkaat tamaam aks hai duniyaa tamaam aks adam kahaan tak aaina-dar-aaina hayaat-o-mamaat fazaa mein mahki hui chaandni ki naghma-e-raaz ki utrein sina-e-shaair mein jis tarah naghmaat bas ek raaz-e-tasalsul bas ik tasalsul-e-raaz kahaan pahunch ke hui khatm bahs-e-zaat-o-sifaat chamakte dard khile chehre muskuraate ashk sajaai jaaegi ab tarz-e-nau se bazm-e-hayaat jise sab ahl-e-jahaan zindagi samajhte hain kabhi kabhi to mile aisi zindagi se najaat agar khudaa bhi mile to na le ki o naadaan hai tu hi kaaba-e-din tu hi qibla-e-haajaat tamaam khastagi-o-maandgi hai aalam-e-hijr thake thake se ye taare thaki thaki si ye raat tiri ghazal to nai ruuh phunk deti hai 'firaaq' der se chhuTi hui hai nabz-e-hayaat"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"hijr-o-visaal-e-yaar kaa parda uThaa diyaa khud baDh ke ishq ne mujhe meraa pataa diyaa gard-o-ghubaar-e-hasti-e-faani uDaa diyaa ai kimiyaa-e-ishq mujhe kyaa banaa diyaa vo saamne hai aur nazar se chhupaa diyaa ai ishq-e-be-hijaab mujhe kyaa dikhaa diyaa vo shaan-e-khaamushi ki bahaarein hain muntazir vo rang-e-guftugu ki gulistaan banaa diyaa dam le rahi thiin husn ki jab sehr-kaariyaan in vaqfa-haa-e-kufr ko imaan banaa diyaa maalum kuchh mujhi ko hain un ki ravaaniyaan jin qatra-haa-e-ashk ko dariyaa banaa dayaa ik barq-e-be-qaraar thi tamkin-e-husn bhi jis vaqt ishq ko gham-e-sabr-aazmaa diyaa saaqi mujhe bhi yaad hain vo tishna-kaamiyaan jin ko harif-e-saaghar-o-minaa banaa diyaa maalum hai haqiqat-e-gham-haa-e-rozgaar duniyaa ko tere dard ne duniyaa banaa diyaa ai shokhi-e-nigaah-e-karam muddaton ke baad khvaab-e-giraan-e-gham se mujhe kyuun jagaa diyaa kuchh shorishein taghaaful-e-pinhaan mein thiin jinhein hangaama-zaar-e-hashr-e-tamannaa banaa diyaa baDhtaa hi jaa rahaa hai jamaal-e-nazar-fareb husn-e-nazar ko husn-e-khud-aaraa banaa diyaa phir dekhnaa nigaah laDi kis se ishq ki gar husn ne hijaab-e-taghaaful uThaa diyaa jab khuun ho chukaa dil-e-hasti-e-etibaar kuchh dard bach rahe jinhein insaan banaa diyaa gum-karda-e-vafur-e-gham-e-intizaar huun tu kyaa chhupaa ki mujh ko mujhi se chhupaa diyaa raat ab harif-e-subh-e-qayaamat hi kyuun na ho jo kuchh bhi ho us aankh ko ab to jagaa diyaa ab main huun aur lutf-o-karam ke takallufaat ye kyuun hijaab-e-ranjish-e-be-jaa banaa diyaa thi yuun to shaam-e-hijr magar pichhli raat ko vo dard uThaa 'firaaq' ki main muskuraa diyaa"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"haath aae to vahi daaman-e-jaanaan ho jaae chhuT jaae to vahi apnaa garebaan ho jaae ishq ab bhi hai vo mahram-e-be-gaana-numaa husn yuun laakh chhupe laakh numaayaan ho jaae hosh-o-ghaflat se bahut duur hai kaifiyyat-e-ishq us ki har be-khabari manzil-e-irfaan ho jaae yaad aati hai jab apni to taDap jaataa huun meri hasti tiraa bhulaa havaa paimaan ho jaae aankh vo hai jo tiri jalva-gah-e-naaz bane dil vahi hai jo saraapaa tiraa armaan ho jaae paak-baazaan-e-mohabbat mein jo bebaaki hai husn gar us ko samajh le to pashemaan ho jaae sahl ho kar hui dushvaar mohabbat teri use mushkil jo banaa lein to kuchh aasaan ho jaae ishq phir ishq hai jis ruup mein jis bhes mein ho ishrat-e-vasl bane yaa gham-e-hijraan ho jaae kuchh mudaavaa bhi ho majruh dilon kaa ai dost marham-e-zakhm tiraa jaur-pashemaan ho jaae ye bhi sach hai koi ulfat mein pareshaan kyuun ho ye bhi sach hai koi kyunkar na pareshaan ho jaae ishq ko arz-e-tamannaa mein bhi laakhon pas-o-pesh husn ke vaaste inkaar bhi aasaan ho jaae jhilmilaati hai sar-e-bazm-e-jahaan sham-e-khudi jo ye bujh jaae charaagh-e-rah-e-irfaan ho jaae sar-e-shorida diyaa dasht-o-bayaabaan bhi diye ye miri khubi-e-qismat ki vo zindaan ho jaae uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai 'firaaq' kabhi laa-hal kabhi mushkil kabhi aasaan ho jaae"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"tum ho jahaan ke shaayad main bhi vahaan rahaa huun kuchh tum bhi bhulte ho kuchh main bhi bhultaa huun miTtaa bhi jaa rahaa huun puuraa bhi ho rahaa huun main kis ki aarzu huun main kis kaa muddaaa huun manzil ki yuun to mujh ko koi khabar nahin hai dil mein kisi taraf ko kuchh sochtaa chalaa huun leti hain ulTi saansein jab shaam-e-gham fazaaein us dam fanaa-baqaa ki main nabz dekhtaa huun huun vo shuaa-e-fardaa jo aankh mal rahi hai vo surmagin ufuq par main thartharaa rahaa huun jis se shajar-hajar mein ik ruuh dauD jaae vo saaz-e-sarmadi main ghazlon mein chheDtaa huun"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"har uqda-e-taqdir jahaan khol rahi hai haan dhyaan se sunnaa ye sadi bol rahi hai angDaaiyaan leti hai tamannaa tiri dil mein shishe mein pari naaz ke par taul rahi hai rah rah ke khanak jaati hai saaqi ye shab-e-maah ik jaam pilaa khunki-e-shab bol rahi hai dil tang hai shab ko kafan-e-nur pinhaa ke vo subh jo ghunchon ki girah khol rahi hai shabnam ki damak hai ki shab-e-maah ki devi moti sar-e-gulzaar-e-jahaan rol rahi hai rakhti hai mashiyyat had-e-parvaaz jahaan bhi insaan ki himmat vahin par tol rahi hai pahlu mein shab-e-taar ke hai kaun si duniyaa jis ke liye aaghosh sahar khol rahi hai har aan vo rag rag mein chaTakti hui kaliyaan us shokh ki ik ek adaa bol rahi hai"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"mai-kade mein aaj ik duniyaa ko izn-e-aam thaa daur-e-jaam-e-be-khudi begaana-e-ayyaam thaa ruuh larzaan aankh mahv-e-did dil naakaam thaa ishq kaa aaghaaz bhi shaaista-e-anjaam thaa rafta rafta ishq ko tasvir-e-gham kar hi diyaa husn bhi kitnaa kharaab-e-gardish-e-ayyaam thaa gham-kade mein dahr ke yuun to andheraa thaa magar ishq kaa daagh-e-siyah-bakhti charaagh-e-shaam thaa teri duzdida-nigaahi yuun to naa-mahsus thi haan magar daftar kaa daftar husn kaa paighaam thaa shaaq ahl-e-shauq par thiin us ki ismat-daariyaan sach hai lekin husn dar-parda bahut bad-naam thaa mahv the gulzaar-e-rangaa-rang ke naqsh-o-nigaar vahshatein thi dil ke sannaaTe the dasht-e-shaam thaa be-khataa thaa husn har jaur-o-jafaa ke baad bhi ishq ke sar taa-abad ilzaam hi ilzaam thaa yuun garebaan-chaak duniyaa mein nahin hotaa koi har khulaa gulshan shahid-e-gardish-e-ayyaam thaa dekh husn-e-sharmagin dar-parda kyaa laayaa hai rang ishq rusvaa-e-jahaan badnaam hi badnaam thaa raunaq-e-bazm-e-jahaan thaa go dil-e-gham-ghin 'firaaq' sard thaa afsurda thaa mahrum thaa naakaam thaa"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"jaur-o-be-mehri-e-ighmaaz pe kyaa rotaa hai mehrbaan bhi koi ho jaaegaa jaldi kyaa hai kho diyaa tum ko to ham puchhte phirte hain yahi jis ki taqdir bigaD jaae vo kartaa kyaa hai dil kaa ik kaam jo hotaa nahin ik muddat se tum zaraa haath lagaa do to huaa rakkhaa hai nigah-e-shokh mein aur dil mein hain choTein kyaa kyaa aaj tak ham na samajh paae ki jhagDaa kyaa hai ishq se tauba bhi hai husn se shikve bhi hazaar kahiye to hazrat-e-dil aap kaa manshaa kyaa hai zinat-e-dosh tiraa naama-e-aamaal na ho teri dastaar se vaaiz ye laTaktaa kyaa hai haan abhi vaqt kaa aaina dikhaae kyaa kyaa dekhte jaao zamaana abhi dekhaa kyaa hai na yagaane hain na begaane tiri mahfil mein na koi ghair yahaan hai na koi apnaa hai nigah-e-mast ko jumbish na hui go sar-e-bazm kuchh to is jaam-e-labaa-lab se abhi chhalkaa hai raat-din phirti hai palkon ke jo saae saae dil miraa us nigah-e-naaz kaa divaanaa hai ham judaai se bhi kuchh kaam to le hi leinge be-niyaazaana taalluq hi chhuTaa achchhaa hai un se baDh-chaDh ke to ai dost hain yaadein in ki naaz-o-andaaz-o-adaa mein tiri rakkhaa kyaa hai aisi baaton se badalti hai kahin fitrat-e-husn jaan bhi de de agar koi to kyaa hotaa hai tiri aankhon ko bhi inkaar tiri zulf ko bhi kis ne ye ishq ko divaana banaa rakkhaa hai dil tiraa jaan tiri aah tiri ashk tire jo hai ai dost vo teraa hai hamaaraa kyaa hai dar-e-daulat pe duaaein si suni hain main ne dekhiye aaj faqiron kaa kidhar pheraa hai tujh ko ho jaaeinge shaitaan ke darshan vaaiz Daal kar munh ko garebaan mein kabhi dekhaa hai ham kahe dete hain chaalon mein na aao un ki sarvat-o-jaah ke ishvon se bacho dhokaa hai yahi gar aankh mein rah jaae to hai chingaari qatra-e-ashk jo bah jaae to ik dariyaa hai zulf-e-shab-gun ke sivaa nargis-e-jaadu ke sivaa dil ko kuchh aur balaaon ne bhi aa gheraa hai lab-e-ejaaz ki saugand ye jhankaar thi kyaa teri khaamoshi ke maanind abhi kuchh TuuTaa hai daar par gaah nazar gaah su-e-shahr-e-nigaar kuchh sunein ham bhi to ai ishq iraada kyaa hai aa ki ghurbat-kada-e-dahr mein ji bahlaaein ai dil us jalva-gah-e-naaz mein kyaa rakkhaa hai zakhm hi zakhm huun main subh ki maanind 'firaaq' raat bhar hijr ki lazzat se mazaa luuTaa hai"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"kaar-gar ishq mein ab tak gham-e-pinhaan na huaa main abhi be-khabar-e-kulfat-e-hijraan na huaa maana-e-dasht-navardi mujhe zindaan na huaa dar-o-divaar se kuchh hosh kaa saamaan na huaa baagh mein baad-e-sabaa bhejne vaale har subh ham asiraan-e-qafas par kabhi ehsaan na huaa nigah-e-naaz hai aur ahl-e-havas ke dil mein haae vo tiir jo paivast-e-rag-e-jaan na huaa dasht-e-ghurbat mein pareshaan nahin dil tang nahin abhi divaana tiraa qaabil-e-zindaan na huaa ham ne dekhaa hai vo andaaz-e-junun bhi jo kabhi chaak-dil chaak-jigar chaak-garebaan na huaa rang ko hasrat-e-parvaaz abhi baaqi hai aalam-e-nikhat-exbarbaad-e-gulistaan na huaa daar se uThtaa hai ik naara-e-mastaana hanuz haae vo dard jo sharminda-e-darmaan na huaa haan bujhaa de dil-e-sozaan ko magar tu jaane bazm-e-hasti mein jo ye sokhta-saamaan na huaa khubiyaan tujh mein hain ai ishq zamaane bhar ki ye to kuchh daavaa-e-hamtaai-e-khubaan na huaa husn-e-gulzaar se dil chaak huaa jaataa hai josh-e-gul chaaraagar-e-tangi-e-daamaan na huaa sarhadein jalva-gah-e-naaz se jis ki na milein vo to ik khel huaa chaak-e-garebaan na huaa kahti hai vasl ki shab vo nigah-e-khvaab-aalud khatm abhi qissa-e-betaabi-e-hijraan na huaa aaj tak subh-e-azal se vahi sannaaTaa hai ishq kaa ghar kabhi sharminda-e-mehmaan na huaa zindagi kyaa vo tire gham se jo dil-tang nahin kyaa vo shiraaza-e-hasti jo pareshaan na huaa ahl-e-zindaan kaa ye majmaa hai subut is kaa 'firaaq' ki bikhar kar bhi ye shiraaza pareshaan na huaa"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"dete hain jaam-e-shahaadat mujhe maa'lum na thaa hai ye aain-e-mohabbat mujhe maa'lum na thaa matlab-e-chashm-e-muravvat mujhe maa'lum na thaa tujh ko mujh se thi shikaayat mujhe maa'lum na thaa chashm-e-khaamosh ki baabat mujhe maa'lum na thaa ye bhi hai harf-o-hikaayat mujhe maa'lum na thaa 'ishq bas mein hai mashiyyat ke aqida thaa miraa us ke bas mein hai mashiyyat mujhe maa'lum na thaa haft-khvaan jis ne kiye tai sar-e-raah-e-taslim TuuT jaati hai vo himmat mujhe maa'lum na thaa aaj har qatra-e-mai ban gayaa ik chingaari thi ye saaqi ki sharaarat mujhe maa'lum na thaa nigah-e-mast ne talvaar uThaa li sar-e-bazm yuun badal jaati hai niyyat mujhe maa'lum na thaa gham-e-hasti se jo bezaar rahaa main ik 'umr tujh se bhi thi use nisbat mujhe maa'lum na thaa 'ishq bhi ahl-e-tariqat mein hai aisaa thaa khayaal 'ishq hai pir-e-tariqat mujhe maa'lum na thaa puchh mat sharh-e-karam-haa-e-azizaan hamdam un mein itni thi sharaafat mujhe maa'lum na thaa jab se dekhaa hai tujhe mujh se hai meri an-ban husn kaa rang-e-siyaasat mujhe maa'lum na thaa shakl insaan ki ho chaal bhi insaan ki ho yuun bhi aati hai qayaamat mujhe maa'lum na thaa sar-e-maamura-e-aalam ye dil-e-khaana-kharaab miT gayaa teri badaulat mujhe maa'lum na thaa parda-e-arz-e-vafaa mein bhi rahaa huun kartaa tujh se main apni hi ghibat mujhe maa'lum na thaa naqd-e-jaan kyaa hai zamaane mein mohabbat hamdam nahin milti kisi qimat mujhe maa'lum na thaa ho gayaa aaj rafiqon se gale mil ke judaa apnaa khud ishq-e-sadaaqat mujhe maa'lum na thaa dard dil kyaa hai khulaa aaj tire laDne par tujh se itni thi mohabbat mujhe maa'lum na thaa dam nikal jaae magar dil na lagaae koi 'ishq ki ye thi vasiyyat mujhe maa'lum na thaa husn vaalon ko bahut sahl samajh rakkhaa thaa tujh pe aaegi tabi'at mujhe maa'lum na thaa kitni khallaaq hai ye nisti-e-ishq 'firaaq' us se hasti hai 'ibaarat mujhe maa'lum na thaa"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"kuchh bhi ayaan nihaan na thaa koi zamaan makaan na thaa der thi ik nigaah ki phir ye jahaan jahaan na thaa saaz vo qatre qatre mein soz vo zarre zarre mein yaad tiri kise na thi dard tiraa kahaan na thaa ishq ki aazmaaishein aur fazaaon mein huiin paanv tale zamin na thi sar pe ye aasmaan na thaa ishq harim-e-husn mein apne sahaare rah gayaa sabr kaa bhi pata na thaa hosh kaa bhi nishaan na thaa ek ko ek ki khabar manzil-e-ishq mein na thi koi bhi ahl-e-kaarvaan shaamil-e-kaarvaan na thaa ishq ne apni jaan ko rog kai lagaa liye hijr-o-visaal umid-o-bim kaun balaa-e-jaan na thaa khalvatiyaan-e-raaz se haal-e-visaal-e-yaar puchh husn bhi be-naqaab thaa ishq bhi darmiyaan na thaa daur-e-hayaat mahz thaa is ke harim-e-raaz mein kaif-o-asar kaa zikr kyaa ziist kaa bhi nishaan na thaa shikva-e-dar-guzar kyuun hai ki husn ishq se itnaa to bad-gumaan na thaa itnaa to sar-garaan na thaa"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"ye nikhaton ki narm-ravi ye havaa ye raat yaad aa rahe hain ishq ko TuuTe taalluqaat maayusiyon ki god mein dam toDtaa hai ishq ab bhi koi banaa le to bigDi nahin hai baat kuchh aur bhi to ho in ishaaraat ke sivaa ye sab to ai nigaah-e-karam baat baat baat ik umr kaT gai hai tire intizaar mein aise bhi hain ki kaT na saki jin se ek raat ham ahl-e-intizaar ke aahaT pe kaan the ThanDi havaa thi gham thaa tiraa Dhal chali thi raat yuun to bachi bachi si uThi vo nigaah-e-naaz duniyaa-e-dil mein ho hi gai koi vaardaat jin kaa suraagh paa na saki gham ki ruuh bhi naadaan hue hain ishq mein aise bhi saanehaat har sai o har amal mein mohabbat kaa haath hai taamir-e-zindagi ke samajh kuchh muharrikaat us jaa tiri nigaah mujhe le gai jahaan leti ho jaise saans ye be-jaan kaaenaat kyaa niind aae us ko jise jaagnaa na aae jo din ko din kare vo kare raat ko bhi raat dariyaa ke madd-o-jazr bhi paani ke khel hain hasti hi ke karishme hain kyaa maut kyaa hayaat ahl-e-razaa mein shaan-e-baghaavat bhi ho zaraa itni bhi zindagi na ho paaband-e-rasmiyaat ham ahl-e-gham ne rang-e-zamaana badal diyaa koshish to ki sabhi ne magar ban paDe ki baat paidaa kare zamin nai aasmaan nayaa itnaa to le koi asar-e-daur-kaaenaat shaair huun gahri niind mein hain jo haqiqatein chaunkaa rahe hain un ko bhi mere tavahhumaat mujh ko to gham ne fursat-e-gham bhi na di 'firaaq' de fursat-e-hayaat na jaise gham-e-hayaat"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"be-Thikaane hai dil-e-gham-gin Thikaane ki kaho shaam-e-hijraan dosto kuchh is ke aane ki kaho haan na puchho ik giraftaar-e-qafas ki zindagi ham-safiraan-e-chaman kuchh aashiyaane ki kaho uD gayaa hai manzil-e-dushvaar mein gham kaa samand gesu-e-pur-pech-o-kham ke taaziyaane ki kaho baat banti aur baaton se nazar aati nahin us nigaah-e-naaz ki baatein banaane ki kaho daastaan vo thi jise dil bujhte bujhte kah gayaa sham-e-bazm-e-zindagi ke jhilmilaane ki kaho kuchh dil-e-marhum ki baatein karo ai ahl-e-ilm jis se viraane the aabaad us divaane ki kaho daastaan-e-zindagi bhi kis qadar dilchasp hai jo azal se chhiD gayaa hai us fasaane ki kaho ye fusun-e-nim-e-shab ye khvaab-saamaan khaamushi saamri fan aankh ke jaadu jagaane ki kaho koi kyaa khaaegaa yuun sachchi qasam jhuTi qasam us nigaah-e-naaz ki saugandh khaane ki kaho shaam hi se gosh-bar-aavaaz hai bazm-e-sukhan kuchh 'firaaq' apni sunaao kuchh zamaane ki kaho"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"bahut pahle se un qadmon ki aahaT jaan lete hain tujhe ai zindagi ham duur se pahchaan lete hain miri nazrein bhi aise qaatilon kaa jaan o imaan hain nigaahein milte hi jo jaan aur imaan lete hain jise kahti hai duniyaa kaamyaabi vaae naa-daani use kin qimaton par kaamyaab insaan lete hain nigaah-e-baada-gun yuun to tiri baaton kaa kyaa kahnaa tiri har baat lekin ehtiyaatan chhaan lete hain tabiat apni ghabraati hai jab sunsaan raaton mein ham aise mein tiri yaadon ki chaadar taan lete hain khud apnaa faisla bhi ishq mein kaafi nahin hotaa use bhi kaise kar guzrein jo dil mein Thaan lete hain hayaat-e-ishq kaa ik ik nafas jaam-e-shahaadat hai vo jaan-e-naaz-bardaaraan koi aasaan lete hain ham-aahangi mein bhi ik chaashni hai ikhtilaafon ki miri baatein ba-unvaan-e-digar vo maan lete hain tiri maqbuliyat ki vajh vaahid teri ramziyyat ki us ko maante hi kab hain jis ko jaan lete hain ab is ko kufr maanein yaa bulandi-e-nazar jaanein khudaa-e-do-jahaan ko de ke ham insaan lete hain jise surat bataate hain pata deti hai sirat kaa ibaarat dekh kar jis tarah maani jaan lete hain tujhe ghaaTaa na hone deinge kaarobaar-e-ulfat mein ham apne sar tiraa ai dost har ehsaan lete hain hamaari har nazar tujh se nai saugandh khaati hai to teri har nazar se ham nayaa paimaan lete hain rafiq-e-zindagi thi ab anis-e-vaqt-e-aakhir hai tiraa ai maut ham ye dusraa ehsaan lete hain zamaana vaardaat-e-qalb sunne ko tarastaa hai isi se to sar aankhon par miraa divaan lete hain 'firaaq' aksar badal kar bhes miltaa hai koi kaafir kabhi ham jaan lete hain kabhi pahchaan lete hain"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"tuur thaa kaaba thaa dil thaa jalva-zaar-e-yaar thaa ishq sab kuchh thaa magar phir aalam-e-asraar thaa nashsha-e-sad-jaam kaif-e-intizaar-e-yaar thaa hijr mein Thahraa huaa dil saaghar-e-sarshaar thaa alvidaaa ai bazm-e-anjum hijr ki shab al-firaaq taa-ba-daur-e-zindagaani intizaar-e-yaar thaa ek adaa se be-niyaaz-e-qurb-o-duri kar diyaa maavraa-e-vasl-o-hijraan husn kaa iqraar thaa jauhar-e-aaina-e-aalam bane aansu mire yuun to sach ye hai ki ronaa ishq mein bekaar thaa shokhi-e-raftaar vajh-e-hasti-e-barbaad thi zindagi kyaa thi ghubaar-e-rahguzaar-e-yaar thaa ulfat-e-derina kaa jab zikr ishaaron mein kiyaa muskuraa kar mujh se puchhaa tum ko kis se pyaar thaa dil-dukhe roe hain shaayad is jagah ai ku-e-dost khaak kaa itnaa chamak jaanaa zaraa dushvaar thaa zarra zarra aaina thaa khud-numaai kaa 'firaaq' sar-ba-sar sahraa-e-aalam jalva-zaar-e-yaar thaa"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"bastiyaan DhunDh rahi hain unhein viraanon mein vahshatein baDh gaiin had se tire divaanon mein nigah-e-naaz na divaanon na farzaanon mein jaankaar ek vahi hai magar an-jaanon mein bazm-e-mai be-khud-o-be-taab na kyuun ho saaqi mauj-e-baada hai ki dard uThtaa hai paimaanon mein main to main chaunk uThi hai ye fazaa-e-khaamosh ye sadaa kab ki suni aati hai phir kaanon mein sair kar ujDe dilon ki jo tabiat hai udaas ji bahal jaate hain aksar inhin viraanon mein vusatein bhi hain nihaan tangi-e-dil mein ghaafil ji bahal jaate hain aksar inhin maidaanon mein jaan imaan-e-junun silsila jumbaan-e-junun kuchh kashish-haa-e-nihaan jazb hain viraanon mein khanda-e-subh-e-azal tirgi-e-shaam-e-abad donon aalam hain chhalakte hue paimaanon mein dekh jab aalam-e-hu ko to nayaa aalam hai bastiyaan bhi nazar aane lagin viraanon mein jis jagah baiTh gae aag lagaa kar uTThe garmiyaan hain kuchh abhi sokhta-saamaanon mein vahshatein bhi nazar aati hain sar-e-parda-e-naaz daamanon mein hai ye aalam na garebaanon mein ek rangini-e-zaahir hai gulistaan mein agar ek shaadaabi-e-pinhaan hai bayaabaanon mein jauhar-e-ghuncha-o-gul mein hai ik andaaz-e-junun kuchh bayaabaan nazar aae hain garebaanon mein ab vo rang-e-chaman-o-khanda-e-gul bhi na rahe ab vo aasaar-e-junun bhi nahin divaanon mein ab vo saaqi ki bhi aankhein na rahin rindon mein ab vo saaghar bhi chhalakte nahin mai-khaanon mein ab vo ik soz-e-nihaani bhi dilon mein na rahaa ab vo jalve bhi nahin ishq ke kaashaanon mein ab na vo raat jab ummidein bhi kuchh thiin tujh se ab na vo baat gham-e-hijr ke afsaanon mein ab tiraa kaam hai bas ahl-e-vafaa kaa paanaa ab tiraa naam hai bas ishq ke gham-khaanon mein taa-ba-kai vaada-e-mauhum ki tafsil 'firaaq' shab-e-furqat kahin kaTti hai in afsaanon mein"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"jahaan-e-ghuncha-e-dil kaa faqat chaTaknaa thaa usi ki bu-e-pareshaan vajud-e-duniyaa thaa ye kah ke kal koi be-ikhtiyaar rotaa thaa vo ik nigaah sahi kyuun kisi ko dekhaa thaa tanaabein kucha-e-qaatil ki khinchti jaati thiin shahid-e-tegh-e-adaa mein bhi zor kitnaa thaa bas ik jhalak nazar aai uDe kalim ke hosh bas ik nigaah hui khaak tur-e-sinaa thaa har ik ke haath faqat ghaflatein thiin hosh-numaa ki apne aap se begaana-vaar jiinaa thaa yahi huaa ki fareb-e-umid-o-yaas miTe vo paa gae tire haathon hamein jo paanaa thaa chaman mein ghuncha-e-gul khilkhilaa ke murjhaae yahi vo the jinhein hans hans ke jaan denaa thaa nigaah-e-mehr mein jis ki hain sad payaam-e-fanaa usi kaa aalam-e-ijaad-o-naaz bejaa thaa jahaan tu jalva-numaa thaa larazti thi duniyaa tire jamaal se kaisaa jalaal paidaa thaa hayaat-o-marg ke kuchh raaz khul gae honge fasaana-e-shab-e-gham varna dosto kyaa thaa shab-e-adam kaa fasaana gudaaz sham-e-hayaat sivaae kaif-e-fanaa meraa maajraa kyaa thaa kuchh aisi baat na thi teraa duur ho jaanaa ye aur baat ki rah rah ke dard uThtaa thaa na puchh sud-o-ziyaan kaarobaar-e-ulfat ke vagarna yuun to na paanaa thaa kuchh na khotaa thaa lagaavTein vo tire husn-e-be-niyaaz ki aah main teri bazm se jab naa-umid uTThaa thaa tujhe ham ai dil-e-dard-aashnaa kahaan DhunDein ham apne hosh mein kab the koi jab uTThaa thaa adam kaa raaz sadaa-e-shikast saaz-e-hayaat hijaab-e-zist bhi kitnaa latif pardaa thaa ye iztiraab-o-sukun bhi thi ik fareb-e-hayaat ki apne haal se begaana-vaar jiinaa thaa kahaan pe chuuk hui tere be-qaraaron se zamaana dusri karvaT badalne vaalaa thaa ye koi yaad hai ye bhi hai koi mahviyyat tire khayaal mein tujh ko bhi bhuul jaanaa thaa kahaan ki choT ubhar aai husn-e-taabaan mein dam-e-nazaara vo rukh dard saa chamaktaa thaa na puchh ramz-o-kinaayaat chashm-e-saaqi ke bas ek hashr-e-khamosh anjuman mein barpaa thaa chaman chaman thi gul-e-daagh-e-ishq se hasti usi ki nikhat-e-barbaad kaa zamaana thaa vo thaa miraa dil-e-khun-gashta jis ke miTne se bahaar-e-baagha-e-jinaan thi vajud-e-duniyaa thaa qasam hai baada-kasho chashm-e-mast-e-saaqi ki bataao haath se kyaa jaam-e-mai sanbhaltaa thaa visaal us se main chaahun kahaan ye dil meraa ye ro rahaa huun ki kyuun us ko main ne dekhaa thaa umiid yaas bani yaas phir umiid bani us ik nazar mein fareb-e-nigaah kitnaa thaa ye soz-o-saaz-e-nihaan thaa vo soz-o-saaz-e-ayaan visaal-o-hijr mein bas farq thaa to itnaa thaa shikast-e-saaz-e-chaman thi bahaar-e-laala-o-gul khizaan machalti thi ghuncha jahaan chaTaktaa thaa har ek saans hai tajdid-e-yaad-e-ayyaami guzar gayaa vo zamaana jise guzarnaa thaa na koi vaada na koi yaqin na koi umiid magar hamein to tiraa intizaar karnaa thaa kisi ke sabr ne be-sabr kar diyaa sab ko 'firaaq' nazaa mein karvaT koi badaltaa thaa"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"vaqt-e-ghurub aaj karaamaat ho gai zulfon ko us ne khol diyaa raat ho gai kal tak to us mein aisi karaamat na thi koi vo aankh aaj qibla-e-haajaat ho gai ai soz-e-ishq tu ne mujhe kyaa banaa diyaa meri har ek saans munaajaat ho gai ochhi nigaah Daal ke ik samt rakh diyaa dil kyaa diyaa gharib ki saughaat ho gai kuchh yaad aa gai thi vo zulf-e-shikan-shikan hasti tamaam chashma-e-zulmaat ho gai ahl-e-vatan se duur judaai mein yaar ki sabr aa gayaa 'firaaq' karaamaat ho gai"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"zer-o-bam se saaz-e-khilqat ke jahaan bantaa gayaa ye zamin banti gai ye aasmaan bantaa gayaa daastaan-e-jaur-e-behad khuun se likhtaa rahaa qatra qatra ashk-e-gham kaa be-karaan bantaa gayaa ishq-e-tanhaa se huiin aabaad kitni manzilein ik musaafir kaarvaan-dar-kaarvaan bantaa gayaa main tire jis gham ko apnaa jaantaa thaa vo bhi to zeb-e-unvaan-e-hadis-e-digaraan bantaa gayaa baat nikle baat se jaise vo thaa teraa bayaan naam teraa daastaan-dar-daastaan bantaa gayaa ham ko hai maalum sab rudaad-e-ilm-o-falsafa haan har imaan-o-yaqin vahm-o-gumaan bantaa gayaa main kitaab-e-dil mein apnaa haal-e-gham likhtaa rahaa har varaq ik baab-e-taarikh-e-jahaan bantaa gayaa bas usi ki tarjumaani hai mire ashaar mein jo sukut-e-raaz rangin daastaan bantaa gayaa main ne saunpaa thaa tujhe ik kaam saari umr mein vo bigaDtaa hi gayaa ai dil kahaan bantaa gayaa vaardaat-e-dil ko dil hi mein jagah dete rahe har hisaab-e-gham hisaab-e-dostaan bantaa gayaa meri ghuTTi mein paDi thi ho ke hal urdu zabaan jo bhi main kahtaa gayaa husn-e-bayaan bantaa gayaa vaqt ke haathon yahaan kyaa kyaa khazaane luT gae ek teraa gham ki ganj-e-shaaigaan bantaa gayaa sar-zamin-e-hind par aqvaam-e-aalam ke 'firaaq' qaafile baste gae hindostaan bantaa gayaa"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"koi paighaam-e-mohabbat lab-e-ejaaz to de maut ki aankh bhi khul jaaegi aavaaz to de maqsad-e-ishq ham-aahangi-e-juzv-o-kul hai dard hi dard sahi dil bu-e-dam-saaz to de chashm-e-makhmur ke unvaan-e-nazar kuchh to khulein dil-e-ranjur dhaDakne kaa kuchh andaaz to de ik zaraa ho nasha-e-husn mein andaaz-e-khumaar ik jhalak 'ishq ke anjaam ki aaghaaz to de jo chhupaae na chhupe aur bataae na bane dil-e-aashiq ko in aankhon se koi raaz to de muntazir itni kabhi thi na fazaa-e-aafaaq chheDne hi ko huun pur-dard ghazal saaz to de ham asiraan-e-qafas aag lagaa sakte hain fursat-e-naghma kabhi hasrat-e-parvaaz to de 'ishq ik baar mashiyyat ko badal saktaa hai indiya apnaa magar kuchh nigah-e-naaz to de qurb o didaar to maa'lum kisi kaa phir bhi kuchh pata saa falak-e-tafraqa-pardaaz to de manzilein gard ki maanind uDi jaati hain ablaq-e-dahr kuchh andaaz-e-tag-o-taaz to de kaan se ham to 'firaaq' aankh kaa lete hain kaam aaj chhup kar koi aavaaz par aavaaz to de"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"nigaah-e-naaz ne parde uThaae hain kyaa kyaa hijaab ahl-e-mohabbat ko aae hain kyaa kyaa jahaan mein thi bas ik afvaah tere jalvon ki charaagh-e-dair-o-haram jhilmilaae hain kyaa kyaa do-chaar barq-e-tajalli se rahne vaalon ne fareb narm-nigaahi ke khaae hain kyaa kyaa dilon pe karte hue aaj aati jaati choT tiri nigaah ne pahlu bachaae hain kyaa kyaa nisaar nargis-e-mai-gun ki aaj paimaane labon tak aae hue thartharaae hain kyaa kyaa vo ik zaraa si jhalak barq-e-kam-nigaahi ki jigar ke zakhm-e-nihaan muskuraae hain kyaa kyaa charaagh-e-tur jale aaina-dar-aaina hijaab barq-e-adaa ne uThaae hain kyaa kyaa ba-qadr-e-zauq-e-nazar did-e-husn kyaa ho magar nigaah-e-shauq mein jalve samaae hain kyaa kyaa kahin charaagh kahin gul kahin dil-e-barbaad khiraam-e-naaz ne fitne uThaae hain kyaa kyaa taghaaful aur baDhaa us ghazaal-e-raanaa kaa fusun-e-gham ne bhi jaadu jagaae hain kyaa kyaa hazaar fitna-e-bedaar khvaab-e-rangin mein chaman mein ghuncha-e-gul-rang laae hain kyaa kyaa tire khulus-e-nihaan kaa to aah kyaa kahnaa suluk uchaTTe bhi dil mein samaae hain kyaa kyaa nazar bachaa ke tire ishva-haa-e-pinhaan ne dilon mein dard-e-mohabbat uThaae hain kyaa kyaa payaam-e-husn payaam-e-junun payaam-e-fanaa tiri nigah ne fasaane sunaae hain kyaa kyaa tamaam husn ke jalve tamaam mahrumi bharam nigaah ne apne ganvaae hain kyaa kyaa 'firaaq' raah-e-vafaa mein subuk-ravi teri baDe-baDon ke qadam Dagmagaae hain kyaa kyaa"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"rasm-o-raah-e-dahr kyaa josh-e-mohabbat bhi to ho TuuT jaati hai har ik zanjir vahshat bhi to ho zindagi kyaa maut kyaa do karvaTein hain 'ishq ki sone vaale chaunk uTTheinge qayaamat bhi to ho ''harche baadaa-baad'' ke naaron se duniyaa kaanp uThi 'ishq ke itnaa koi bargashta qismat bhi to ho kaar-zaar-e-dahr mein har kaif har masti bajaa kuchh sharik-e-be-khudi rindaana-e-jurat bhi to ho kam nahin ahl-e-havas ki bhi khayaal-aaraaiyaan ye fanaa ki had se bhi baDh jaaein himmat bhi to ho kuchh ishaaraat-e-nihaan hon to nigaah-e-naaz ke bhaanp leinge ham ye mahfil rashk-e-khalvat bhi to ho ab to kuchh ahl-e-razaa bhi ho chale maayus se har jafaa-e-naa-ravaa ki kuchh nihaayat bhi to ho har nafas se aae bu-e-aatish-e-sayyaal-e-ishq aag vo dil mein lahu mein vo haraarat bhi to ho ye tire jalve ye chashm-e-shauq ki hairaaniyaan barq-e-husn-e-yaar nazzaare ki fursat bhi to ho gardish-e-dauraan mein ik din aa rahegaa hosh bhi khatm ai chashm-e-siyah ye daur-e-ghaflat bhi to ho har dil-e-afsurda se chingaariyaan uD jaaeingi kuchh tiri maa'sum aankhon mein sharaarat bhi to ho ab vo itnaa bhi nahin begaana-e-vajh-e-malaal pursish-e-gham us ko aati hai zarurat bhi to ho ek si hain ab to husn-o-'ishq ki majburiyaan ham hon yaa tum ho vo ahd-e-baa-faraaghat bhi to ho dekh kar rang-e-mizaaj-e-yaar kyaa kahiye 'firaaq' is mein kuchh gunjaaish-e-shukr-o-shikaayat bhi to ho"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"ab daur-e-aasmaan hai na daur-e-hayaat hai ai dard-e-hijr tu hi bataa kitni raat hai har kaaenaat se ye alag kaaenaat hai hairat-saraa-e-ishq mein din hai na raat hai jiinaa jo aa gayaa to ajal bhi hayaat hai aur yuun to umr-e-khizr bhi kyaa be-sabaat hai kyuun intihaa-e-hosh ko kahte hain be-khudi khurshid hi ki aakhiri manzil to raat hai hasti ko jis ne zalzala-saamaan banaa diyaa vo dil qaraar paae muqaddar ki baat hai ye mushagaafiyaan hain giraan tab-e-ishq par kis ko dimaagh-e-kaavish-e-zaat-o-sifaat hai toDaa hai laa-makaan ki hadon ko bhi ishq ne zindaan-e-aql teri to kyaa kaaenaat hai gardun sharaar-e-barq-e-dil-e-be-qaraar dekh jin se ye teri taaron bhari raat raat hai gum ho ke har jagah hain za-khud raftagaan-e-ishq un ki bhi ahl-e-kashf-o-karaamaat zaat hai hasti ba-juz fanaa-e-musalsal ke kuchh nahin phir kis liye ye fikr-e-qaraar-o-sabaat hai us jaan-e-dosti kaa khulus-e-nihaan na puchh jis kaa sitam bhi ghairat-e-sad-iltifaat hai yuun to hazaar dard se rote hain bad-nasib tum dil dukhaao vaqt-e-musibat to baat hai unvaan ghaflaton ke hain qurbat ho yaa visaal bas fursat-e-hayaat 'firaaq' ek raat hai"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri