SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"parvaa nahin us ko aur mue ham kyuun aise pe mubtalaa hue ham go piise hi Daale juun hinaa vo par chhoDein na paanv bin chhue ham mizhgaan-e-daraaz us ki kar yaad siine pe gaDote hain sue ham rone se makaan-e-khaana bole bas laakh jagah se ab chue ham ik baazi-e-ishq se hain aari khele hain vagarna sab jue ham khubaan ko bin us ke dekhein kyaa khaak maaTi ke samajhte hain thue ham dam aankhon mein aa rahaa hai, lo jaan jald aao vagarna ab mue ham uTh jaane se us ke 'jurat' ai vaae maalum nahin ki kyaa hue ham"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"na garmi rakhe koi us se khudaayaa sharaarat se ji jis ne meraa jalaayaa na bechain ho koi ab us ki khaatir miraa chaahnaa jo na khaatir mein laayaa baham dekh do shakhs ho vo bhi muztar akelaa main jis ke liye tilmilaayaa phire justuju mein na ab koi us ki mujhe jis ne galiyon mein barson phiraayaa na bhule se yaad ab kare koi us ko miraa yaad karnaa bhi jis ne bhulaayaa na khush ho ab us paas baiThe se koi hamein kar ke aazurda jis ne uThaayaa kharidaar paidaa na ho koi us kaa ki dil bech kar ham ne dukh jis se paayaa tahayyur ho dekh aaina us ko jis ne hamein kar ke hairaan na mukhDaa dikhaayaa lage laag us se kisi ki na yaa-rab hamaari lagi ko na jis ne bujhaayaa kahun daastaan main gar apni aur us ki to hairaan ho sun ke apnaa paraayaa ki pahle ki izhaar khud us ne ulfat na aayaa to sau baar ghar se bulaayaa jataain vo baatein jinhein sehr kahiye dikhaayaa vo aalam ki vahshi banaayaa rakhi be-takalluf mulaaqaat chande ba-mannat mujhe paas pahron biThaayaa kisi kaa na ik harf khaatir mein guzraa use garche logon ne kyaa kyaa paDhaayaa so ab vo jhalak tak dikhaataa nahin hai gayaa main jo ghar se to dar tak na aayaa lagaavaT ye kuchh kar ke phir kyaa ghazab hai miraa lag gayaa dil to parda lagaayaa ba-taghir-e-bahr aur 'jurat' ghazal kah ki ye turfa mazmun tu ne sunaayaa"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"ham kab az-khud tire ghar yaar chale aate hain rah nahin sakte to naa-chaar chale aate hain le khabar us ki shitaabi se ki aashiq ko tire ghash pe ghash shokh sitamgaar chale aate hain main to hairaan huun matab hai ki dar-e-yaar hai ye yaan to bimaar pe bimaar chale aate hain ghar mein ghabraate hain be-yaar to ham vahshi se sar-barahna sar-e-baazaar chale aate hain khaDe rah sakte nahin dar pe to hairaan se vaan baiTh kar ham pas-e-divaar chale aate hain kis ke naalon ki ye aandhi hai ki shakl-e-par-e-kaah aaj uDte hue kohsaar chale aate hain"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"main kahaa ek adaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' dekh Tuk aankh churaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' sab se hanstaa thaa vo kal, ro ke jo main bol uThaa ham se bhi Tuk tu hansaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa dil ko main le jaaun to bolaa vo ki ''hun'' le chalaa jab main uThaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa sabr o dil o diin ne vafaa ham se na ki be-vafaa tu to vafaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa jaam-e-mai piite ho to bolaa vo ki ''hun'' jab kahaa laaun chhupaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa sohbat-e-aghyaar bari hai pyaare un se itnaa na milaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa ishq ko izhaar karun bolaa ''hun'' jab kahaa kahtaa huun jaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa samjhe hai aazaar miraa bolaa ''hun'' jab kahaa kuchh to davaa kar to lagaa kahne ''un-hun'' main kahaa ab tiri duuri se hai 'jurat' be-taab kuchh to kah paas balaa kar to lagaa kahne ''un-hun''"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"tasavvur baandhte hain us kaa jab vahshat ke maare ham to phir karte hain aap hi aap kyaa kyaa kuchh ishaare ham kahe hai yuun dil-e-muztar se us bin jaan-e-gham-dida chalo tum rafta rafta aate hain pichhe tumhaare ham kai baar us ne dekhaa aaj chashm-e-qahr se ham ko sazaa-vaar-e-uqubat to hue ai bakht baare ham na maani dil ne apni aur na ham ne baat naaseh ki hamein kah kah ke haaraa vo use kah ke haare ham vo jab aaina dekhe hai to kyaa kyaa muskuraataa hai samajh kar ye ki yaani hain qayaamat pyaare pyaare ham milaa lutf-e-sukhan kyaa khaak ham ko us ki mahfil mein ki chup baiThe rahe juun naqsh-e-divaar ik kinaare ham hue hain chaahne vaale tumhaare saikDon paidaa ye sach hai ji ki kis ginti mein hain yaan ab bichaare ham kisi mahvash ke gham ne kar diyaa naa-taaqat aisaa hi ki chhuTte dekhte hain aksar aankhon aage taare ham uThaa kar aankh to tum dekh lo yaan koi dekhe hai zaraa qurbaan hone do hamein sadqe tumhaare ham karein kyaa aah aur kis se kahein ham apni bechaini kahin chain ab tire haathon nahin paate hain pyaare ham qaraar ik jaa nazar aataa nahin hai be-qaraari mein gul-e-baazi ki surat phirte hain bas maare maare ham hamein kyaa khatra-e-jaan hai ki ham hain naam ko 'jurat' na hon phir kyuun ki maidaan-e-mohabbat mein utaare ham"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"hai ye gul ki aur us ki aab mein farq jaise paani mein aur gulaab mein farq lab-e-khubaan kahaan vo laal kahaan hai bahut sharbat aur sharaab mein farq laakh gaali kahi hai kam mat de main ginungaa na ho hisaab mein farq zaahidaa zohd tu paDhaa, main ishq hai miri aur tiri kitaab mein farq ai sharaabi gazak to kartaa hai kuchh to kar dil mein aur kabaab mein farq aankh jab se khuli na dekhaa kuchh zindagaani mein aur hubaab mein farq kuchh nahin karte tum jo shoale mein aur is ru-e-pur-itaab mein farq hai zamin aasmaan kaa yaaro zarre mein aur aaftaab mein farq kyunki 'jurat' ho shaikh tujh saa ki hai piiri aur aalam-e-shabaab mein farq"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"raat jab tak mire pahlu mein vo dildaar na thaa dil ko mujh se mujhe kuchh dil se sarokaar na thaa gird us kuche ke kis din ye gunahgaar na thaa vaae hasrat ki koi rakhna ba-divaar na thaa kal to bimaar ko thaa tere na bistar pe qaraar aaj bistar thaa faqat aur vo bimaar na thaa shukr ai baad-e-fanaa juun shajar-e-sokhta main thaa to gulshan mein vale qaabil-e-gulzaar na thaa nahin til dharne ki jaagah jo ba-afzuni-e-husn dekhaa shab us ko to ik khaal ba-rukhsaar na thaa raat kyaa baat thi batlaa tire sadqe jaaun aahein bharnaa vo tiraa khaali-az-asraar na thaa dil ko dhar nok-e-sinaan par vo ye bolaa hans ke ham ne mansur ko dekhaa ba-sar-e-daar na thaa bahs mein chashm-e-tar-o-abr ki kal thaa jo samaan kabhi is shakl se rone kaa bandhaa taar na thaa zabh ham saamne hote hi hue qaatil ke baavajude-ki koi haath mein hathiyaar na thaa baa'd murdan mire taabut pe sab rote the chashm-e-pur-aab magar ik vo sitamgaar na thaa lek kyaa munh ko chhupaataa thaa jo kahte the ye log us ko zaahir mein to marne kaa kuchh aazaar na thaa tab' kah aur ghazal, hai ye 'naziri' kaa javaab rekhta ye jo paDhaa qaabil-e-izhaar na thaa"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"guzar is hujra-e-gardun se ho kidhar apnaa qaid-khaana hai 'ajab gumbad-e-be-dar apnaa shakl rahne ki hai basti mein ye us bin apni jaise jangal mein banaataa hai koi ghar apnaa shab ki be-taabiyaan kyaa kahiye ki dekhaa jo sahar TukDe TukDe nazar aayaa hamein bistar apnaa ham-nashin us ko jo laanaa hai to laa jald ki ham thaame baiThe rahein kab tak dil-e-muztar apnaa vo gae din ki sadaa mai-kada-e-hasti mein baada-e-aish se labrez thaa saaghar apnaa taab-e-nazzaara tiri laae na khurshid zaraa haath jab tak ki na rakh le vo jabin par apnaa deinge sar 'ishq ke saude mein agarche ham ko is mein nuqsaan nazar aataa hai saraasar apnaa hai zamin khuub ghazal-dar-ghazal is ko kahiye bas ki maa'mul hai 'jurat' yahi aksar apnaa"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"ye qisson mein jo dukh uThaane bandhe hain so ulfat hi ke sab fasaane bandhe hain qafas mein suno lo asiraan-e-kohna ba-har-shaakh-e-nau aashiyaane bandhe hain khudaa jaane is ghar mein kyaa hai ki jis ke kai dar ke aage divaane bandhe hain vo aansu hain apne ki sab ki girah mein kai motiyon ke khazaane bandhe hain havaa ye dayaar-e-mohabbat ki bigDi ki sab rahne vaalon ke shaane bandhe hain mulaaqaat kyaa ho rahe Thaur bas ham ki jaane ke vaan to Thikaane bandhe hain lagein kyuun na tir-e-nigah dil jigar par ki us chashm ke ye nishaane bandhe hain falak tere haathon baDe the jo daanaa so ab un ke pallon mein daane bandhe hain ghazab saada-ruon ki hai saadgi bhi ki pheinTe ajab sufiyaane bandhe hain hui ghar mein shaadi tumhaare to aisi ki jis ke jahaan mein fasaane bandhe hain na bulvaane kaa ham ko shikva hai dekho bandhan-vaar ab tak puraane bandhe hain bakhil ab ye munim nahin kyunki 'jurat' kase jin ke khvaanon mein khaane bandhe hain"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"sab chale tere aastaan ko chhoD bad-zabaan ab to is zabaan ko chhoD mat uThaa yaar tere kuche mein aan baiThe hain do jahaan ko chhoD vaqt-e-sakhti ke aah jaati hai jaan bhi jism-e-naa-tavaan ko chhoD sohbat-e-raast kab ho kaj se baraar tiir aakhir chalaa kamaan ko chhoD dast-e-be-daad-e-baaghbaan se aah ham chale aakhir aashiyaan ko chhoD baagh se vo phiraa to murgh-e-chaman lag chale saath gulsitaan ko chhoD naa-tavaani se misl-e-naqsh-e-qadam rahe naa-chaar kaarvaan ko chhoD ham-nashin kah tamaam qissa-e-ishq aaj-kal par na daastaan ko chhoD ye miraa haal hai jo vo qaatil uTh gayaa dam ke mehmaan ko chhoD jis tarah pher halq par khanjar de koi murgh-e-nim-jaan ko chhoD kar javaani pe rahm 'jurat' ki bas gham-e-ishq is javaan ko chhoD"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"amal kuchh aisaa kiyaa adu ne ki ishq baaham lagaa chhuDaayaa ilaahi chhuT jaaein us ki nabzein milaap jis ne miraa chhuDaayaa na baiThe aaraam se vo gaahe uThaae nit dukh pe dukh khudaayaa ki jis ne naahaq uThaa ke bohtaan apnaa vaan baiThnaa chhuDaayaa ilaahi mahrum rakhiyo us ko mudaam lazzaat-e-do-jahaan se asir-e-daam-e-firaaq kar mujh ko jis ne meraa mazaa chhuDaayaa na dosti kaa use mile phal na koi marbut hove us se ki jis ne kar dushmani khudaayaa jo rabt aapas mein thaa chhuDaayaa urus-e-giti samajh ke us ko zalil hargiz na munh lagaave ilaahi aqd-e-mohabbat us se ye jis ne meraa bandhaa chhuDaayaa chhuTe garebaan us kaa gaahe na panjaa-e-ranj se khudaayaa ki daaman-e-vasl haath apne se jis ne us shokh kaa chhuDaayaa ilaahi zindaan-e-gham se paave na jite-ji vo kabhi rihaai ki jis ke bahkaae se ab us ne dil apnaa ham se phansaa chhuDaayaa lahu jo mushtaaq vasl kaa thaa chhuTaa na qadmon se us ke hargiz agarche dho dho ke us ne kitnaa ba-shakl-e-rang-e-hinaa chhuDaayaa kahe hai 'jurat' yahi ba-takraar dard-e-hijraan se haath mal mal ilaahi chhuT jaaein us ki nabzein milaap jis ne miraa chhuDaayaa"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"kuchh munh se dene kah vo bahaane se uTh gayaa harf-e-sakhaavat aah zamaane se uTh gayaa hai us ke dekhne ki havas kyaa ghazab ki aah jo tund-khu Tuk aankh uThaane se uTh gayaa puchhi jo us se main dil-e-sad-chaak ki khabar uljhaa ke apni zulf vo shaane se uTh gayaa kahiyo sabaa jo hove guzar yaar ki taraf dil sab taraf se aap ke jaane se uTh gayaa paayaa jo muztarib mujhe mahfil mein to vahin sharmaa ke kuchh vo apne-begaane se uTh gayaa hotaa thaa apne jaane se jis ko qalaq so haae ghabraa ke aaj kyaa mire aane se uTh gayaa hamdam na mujh ko qissa-e-aish-o-tarab sunaa muddat se dil kuchh aise fasaane se uTh gayaa jab tak tu aae aae ki duniyaa hi se koi le jaan tere der lagaane se uTh gayaa 'jurat' ham is zamin mein kahte hain aur sher har-chand ji sukhan ke baDhaane se uTh gayaa"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"dard apnaa main isi taur jataa rahtaa huun hasb-e-haal us ko kai sher sunaa rahtaa huun ik hi jaa rahne kaa hai ghar pa usi ghar mein aah dil ye rahtaa hai judaa aur main judaa rahtaa huun baat mein kis ki sunun aah ki ai murgh-e-chaman shor mein apne hi naalon ke sadaa rahtaa huun baare itnaa hai asar dard ke afsaane mein ek do shakhs ko har roz rulaa rahtaa huun bazm-e-khubaan mein ye sar go kaTe rone pe miraa shama-saan ashk par aankhon se bahaa rahtaa huun aah-o-naala mein agar kuchh bhi asar hai mere to main us shokh ko ik roz bulaa rahtaa huun husn aur ishq kaa kyaa zikr karun mat puchho in dinon ziist se bhi apni khafaa rahtaa huun dil lagaa jab se miraa aah tabhi se 'jurat' kitni hi aafatein har roz uThaa rahtaa huun"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"kab koi tujh saa aaina-ru yaan hai dusraa hai tu tiraa hi aks numaayaan hai dusraa puchh us ki mat khabar jise naaseh siye thaa to vo dhajjiyaan uDaa ye garebaan hai dusraa shakl un ki ye hai jo ki hain mahv-e-jamaal-e-yaar shashdar khaDaa hai ek to hairaan hai dusraa rukh us kaa dekhiyo shab-e-mahtaab mein koi goyaa zamin pe ye mah-e-taabaan hai dusraa kyaa dil jigar ki kahiye tamannaa-e-vasl mein hasrat bharaa hai ek pur-armaan hai dusraa vaadi-e-ishq mein hamein barson yuun hi kaTe ik dasht tai kiyaa ki bayaabaan hai dusraa tere khiraam-e-naaz ke sadqe ki kab koi aisaa chaman mein sarv-khiraamaan hai dusraa gham-khvaar-o-munis ab tire bimaar ke hain yuun taskin ek de to hiraasaan hai dusraa 'jurat' ghazal paDh aur ik aisi ki sab kahein kab is tarah kaa koi ghazal-khvaan hai dusraa"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"yaan us gali saa kab koi bustaan hai dusraa haan kuchh jo hai to rauza-e-rizvaan hai dusraa har dam ye do adu hain pae-jaan-e-naa-tavaan ik dard-e-ishq hai gham-e-hijraan hai dusraa hai turfa jaan-o-dil kaa dam-e-iztiraab haal rokein jo ek ko to gurezaan hai dusraa aaina jab vo dekhe to kahti hain chitvanein sach hai ki ham saa kab koi insaan hai dusraa vo ruk ke uTh chalaa to use kyunki rokiye ik dast hai ba-dil ba-garebaan hai dusraa us ghar ke dar pe jab hue ham khaak tab khulaa darvaaza aane jaane ko aur yaan hai dusraa kyaa dil jigar ki us ki gali mein kahein khabar ik mar gayaa ik aan kaa mehmaan hai dusraa rahiye hamaare dil mein ki laaeq tumhaare kab aisaa makaan ba-kishvar-e-dauraan hai dusraa Tuk suniyo zamzame mire dil ke ki baagh mein kab is tarah kaa murgh-e-khush-alhaan hai dusraa hai turfa qismat apni ki jis jaa ho ek dost vaan dekhiye to jaan kaa khvaahaan hai dusraa yaani nashist Thahri kal us dar pe thi so haae dekhaa jo aaj jaa ke to darbaan hai dusraa yaktaa hai do jahaan mein 'jurat' ali ki zaat aisaa na koi yaan na koi vaan hai dusraa"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"kab baiThte hain chain se iizaa uThaae bin lagtaa nahin hai ji kahin laggaa lagaae bin jab tak na be-qaraar hon paDtaa nahin qaraar aataa nahin hai chain hamein tilmilaae bin be-aah-o-naala munh se nikalti nahin hai baat hairaan baiThe rahte hain aansu bahaae bin zindaan lage hai ghar jo kisi kaa na hon asiir aate nahin ba-khud kahin ham aae jaae bin divaane gar na hon to pari-ru na dekhein sair bigDe hai baat haal-e-pareshaan banaae bin jumbish na dast-o-paa mein ho be-shorish-e-junun afsurda-taba rahte hain dhumein machaae bin gar ho na dard-e-ishq to be-dard ham kahaaein kuchh lutf-e-guftugu hi nahin haae-vaae bin kyaa josh-e-taba ho na mai-e-ishq gar piyein kuchh kaifiyat nahin hai ye pyaala pilaae bin gar bar mein ho na koi to pahlu-tahi rahe kyaa baiThnaa hai zaanu se zaanu bhiDaae bin koi na de dikhaai to kyaa khaak dekhiye rahte asir-e-gham hain kisi ke bulaae bin afkaar saikDon hon agar ho na fikr-e-ishq vaarastagi kahaan hai kahein ji phansaae bin qaatil se gar na miliye to 'jurat' hamaari kyaa juun gul shagufta ho na koi zakhm khaae bin"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"ulfat se ho khaak ham ko lahnaa qismat mein to hai azaab sahnaa dhyaan us ke mein ham ko sar-ba-zaanu aankhein kiye band baiThe rahnaa munh chaahiye chaahne ko yuun ji kyaa tum ne kahaa ye phir to kahnaa allaah-re saadgi kaa aalam darkaar nahin kuchh us ko gahna kar band na ashk-e-chashm-e-tar ko behtar naasur kaa hai bahnaa qaaem rahe kyaa imaarat-e-dil buniyaad mein to paDaa hai Dhahnaa shab ghar jo rahaa mire vo mehmaan thaa subh ye kis adaa se kahnaa taaqat na rahi badan mein he he qurbaan kiyaa thaa yaan kaa rahnaa dil ne bhi diyaa na saath 'jurat' kyaa dosh kisi ko diije lahnaa"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"ba-chaman ab vo kiyaa chaahe hai mai-nosh guzaar jald ai paik-e-sabaa gul ke ye kar gosh-guzaar nahin maalum kahaan jaate hain juun nashsha-e-mai jidhar in rozon mein ham karte hain madhosh guzaar bazm mein mujh ko jo dekhaa to ye jhunjhlaa ke kahaa aisi mahfil mein kare hai miri paa-posh guzaar sar-nigun kucha-e-rusvaai mein hain aaj talak sau kharaabi se jo is dar pe kiyaa dosh guzaar aashiq us parda-nashin ke hain ki gar saamne se kabhi guzre hai to kartaa hai vo ru-posh guzaar chand roza hai ye mai-khaana-e-hasti yaan to umr ghaflat mein na ai be-khirad-o-hosh guzaar aa phansaa ishva-o-andaaz-o-adaa mein yuun dil rahzanon mein kare juun raah-faraamosh guzaar ham-safar hain to ye hasrat hai ki kiije koson ik savaari mein hue us se ham-aaghosh guzaar qadr-daan koi sukhan kaa na rahaa ai 'jurat' kunj-e-tanhaai mein auqaat tu khaamosh guzaar"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"dil ko ai ishq su-e-zulf-e-siyah-faam na bhej rahzanon mein tu musaafir ko sar-e-shaam na bhej dekh ho jaaungaa ghairon ke gale kaa main haar haar phulon ke tu ai shokh-gul-andaam na bhej bhar nazar surat-e-gul dekh to lein ai be-dard haae sayyaad abhi ham ko tah-e-daam na bhej jab vo bheje hai mujhe mai to kahein hain yuun ghair ye bahak jaaegaa bas aur ise jaam na bhej bhejun us paas jo qaasid ko dobaara to kahe baaz aayaa, nahin lene kaa main inaam na bhej kucha-e-yaar mein pahunche hain to bas rahne de jite-ji yaan se kahin gardish-e-ayyaam na bhej dam-ba-dam bheje hai quliyaan hi ko kyaa munh se lagaa lab se bhi lab ko milaa bosa-ba-paighaam na bhej baad muddat ke tujhe paayaa hai tanhaa ba-khudaa aaj tu kaam ko yaan se but-e-khud-kaam na bhej de kabhi bosa-e-chashm-o-lab-e-jaan-bakhsh bhi jaan sirf saughaat hamein bosa-ba-paighaam na bhej gaaliyaan to hain mohabbat ki ibaarat pyaare kab main kahtaa huun ki likh kar mujhe dushnaam na bhej par ye dhaDkaa hai ki jaave na kahin khat pakDaa kar ke sar-naame pe tahrir miraa naam na bhej 'jurat' ab tujh se vo ruThaa to manaa kyunki main laaun tu hi phir dene lagegaa mujhe ilzaam na bhej"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"dar tak ab chhoD diyaa ghar se nikal kar aanaa yaa vo raaton ko sadaa bhes badal kar aanaa hamdamo ye koi ronaa hai ki tufaan hai aah dekhiyo chashm se dariyaa kaa ubal kar aanaa qasd jab jaane kaa kartaa huun main us shokh ke paas tegh-e-abru ye kahe hai ki sambhal kar aanaa haasil us kuche mein jaane se hamein hai aur kyaa ulTe ghar apne magar khaak mein ral kar aanaa vaan se avval dil-e-be-taab tu kab aataa hai aur aanaa bhi to sau jaa pe machal kar aanaa hamdamo meri sifaarish ko to jaate ho vale kahin vaan jaa ke na kuchh aur khalal kar aanaa Duube yuun bahr-e-mohabbat mein ki ab jite-ji apnaa dushvaar hai uupar ko uchhal kar aanaa ku-e-qaatil mein dam-e-naza koi le jaao jaa ke us jaa hamein uqda hai ye hal kar aanaa us kaa be-vajh nahin hai ye chaman se baahar gul mire saamne haathon mein masal kar aanaa bazm-e-khubaan mein agarche koi parchaae hazaar par tire paas hamein vaan se bhi Tal kar aanaa ji chalaa tan se mire jald ze-raah-e-ashfaaq ghar se do chaar qadam aise mein chal kar aanaa 'jurat' us ki kahun kyaa tujh se tarah-daari main jaanaa jab uTh ke tab ik ruup badal kar aanaa"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"dekhiyo us ki zaraa aankh dikhaane kaa mazaa chitvanon mein hai bharaa saare zamaane kaa mazaa kis maze se hai ayaan duzdi-e-dil hai zaalim luun charaa kyunki tire aankh churaane kaa mazaa lazzat-e-vasl koi puchhe to pi jaataa huun kah ke honTon hi mein honTon ke milaane kaa mazaa kyaa tire mai-kash-e-ulfat kaa ye kaifiyyat hai dard-e-dil kar ke bayaan rone rulaane kaa mazaa dast-bar-dil ho uThaataa huun ajab lazzat-e-dard yaad kar hijr mein vo haath baDhaane kaa mazaa jo khamoshi mein hai lazzat nahin goyaai mein be-khudi saa hai kahaan aap mein aane kaa mazaa us ke laDne ke bhi sadqe ki nazar aataa hai ain ranjish mein ajab aankh laDaane kaa mazaa khvaab-o-khur se tire bimaar ko kyaa kaam ki hai lazzat-e-khvaab na kuchh is ko na khaane kaa mazaa yaad aataa hai to jaataa huun khudaa jaane kahaan vo lagaavaT ki nigaahon mein bulaane kaa mazaa kyaa kahun vasl ki shab le ke balaaein us ki kyaa uThaataa huun main zaanu pe biThaane kaa mazaa main to phir aap mein rahtaa nahin dil se puchho aage phir bheinch ke chhaati se lagaane kaa mazaa dar pe us parda-nashin ke ho to baa-saut-e-buland sher us vaqt hai 'jurat' se paDhaane kaa mazaa"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh
Quote
"kis jaa na be-qaraari se main khasta-tan gayaa par dekhne kaa us ke kahin Dhab na ban gayaa kis kis tarah ki ki khafagi dil ne mujh se aah ruThaa kisi kaa yaar kisi se jo man gayaa yaaro jahaan mein ab kahin dekhi vafaa ki chaal jaane do ye na zikr karo vo chalan gayaa sausan zabaan nikaale jo nikli to zer-e-khaak kyaa jaaniye ki kaun ye tishna-dahan gayaa ai ishq sach to ye hai ki shirin ne kuchh na ki hasrat kaa koh dil pe liye kohkan gayaa bas naasehaa ye tir-e-malaamat kahaan talak baaton se teri aah kalejaa to chhan gayaa kal us sanam ke kuche se niklaa jo shaikh-e-vaqt kahte the sab idhar se ajab barhaman gayaa paidaa ye hijr-e-yaar mein vahshat hui ki aah is dil kaa vasl mein bhi na divaana-pan gayaa hairaan hai tujh ko dekh ke 'jurat' miri to aql do chaar din mein kyaa ye tiraa haal ban gayaa"
Jurat Qalandar BakhshJurat Qalandar Bakhsh