SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"dil kushta-e-nazar hai mahrum-e-guftugu huun samjho mire ishaare main surma-dar-gulu huun muddat se kho gayaa huun sargarm-e-justuju huun apnaa hi muddaaa huun apni hi aarzu huun surat-e-savaal huun main puchho na meraa matlab main apne muddaaa ki tasvir hu-ba-hu huun hai dil mein josh-e-hasrat rukte nahin hain aansu risti hui suraahi TuuTaa huaa subu huun zakhmon se dil kaa aalam kyaa puchhte ho kyaa hai gulzaar-e-be-khizaan huun duniyaa-e-rang-o-bu huun jalve hijaab-afgan aankhein halaak-hasrat to mahv-e-parda-daari mein vaqf-e-justuju huun paamaal yuun huaa huun pinhaan hai mujh mein aalam ek musht-e-khaak ho kar sahraa-e-aarzu huun rukh se kafan haTaa do kyaa puchhte hain puchhein parde mein khaamushi ke sargarm-e-guftugu huun kis se 'aziz' rakkhun ummid dosti ki sarkash hai nafs jab tak apnaa hi main adu huun"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Quote
"partav-e-husn kahin anjuman-afroz to ho dil-e-pur-daagh miraa maaya-e-sad-soz to ho kam se kam koi to saamaan tire aane kaa karun atlas-e-charkh to ho bistar-e-gul-doz to ho rang-e-pairaa-e-chaman-josh mein kaliyaan chaTkein khol de band-e-naqaab aaj ki nau-roz to ho dil mein paivast na ho jo vo nazar hi kyaa hai tiir tarkash mein agar ho to jigar-doz to ho na sahi sohbat-e-firdaus jahannam hi sahi mahfil-e-aish na ho anjuman-e-soz to ho kyaa natija hai 'aziz' aisi jabin-saai se but kaa sajda ho magar naasiya-afroz to ho"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Quote
"vo nigaahein kyaa kahun kyuun kar rag-e-jaan ho gaiin dil mein nashtar ban ke Dubin aur pinhaan ho gaiin thiin jo kal tak jalva-afrozi se sham-e-anjuman aaj vo shaklein charaagh-e-zer-e-daamaan ho gaiin ik nazar ghabraa ke ki apni taraf us shokh ne hastiyaan jab miT ke ajzaa-e-pareshaan ho gaiin dam rukaa thaa jis ki uljhan se mire siine mein aah phir vahi zulfein mire gham mein pareshaan ho gaiin phunk di ik ruuh dekhaa zor-e-ejaaz-e-junun jitni saansein main ne liin taar-e-garebaan ho gaiin ishq ke qisse ko ham saada samajhte the magar jab varaq ulTe to aankhein sakht hairaan ho gaiin chand tasvirein miri jo mukhtalif vaqton ki thiin baad mere zinat-e-divaar-e-zindaan ho gaiin uD ke dil ki khaak ke zarre gae jis jis taraf rafta rafta vo zaminein sab bayaabaan ho gaiin aaine mein aks hai aur aks mein jazb-e-khalish dil mein jo faansein chubhin tasvir-e-mizgaan ho gaiin us ki shaam-e-gham pe sadqe ho miri subh-e-hayaat jis ke maatam mein tiri zulfein pareshaan ho gaiin shaam-e-vaada aaiye to aap us ki fikr kyaa phir banaa dungaa agar zulfein pareshaan ho gaiin kis dil-aavaara ki mayyat ghar se nikli hai 'aziz' shahr ki aabaad raahein aaj viraan ho gaiin"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Quote
"kar chuke barbaad dil ko fikr kyaa anjaam ki ab hamein de do ye miTTi hai hamaare kaam ki Duub de de baada-e-gul-rang mein zaahid agar dekhiye ranginiyaan phir jaama-e-ehraam ki aks-e-abru dekhte hain baada-e-sar-josh mein iid hai saaqi-paraston mein hilaal-e-jaam ki ibtidaa-e-ishq hai aur bujh rahaa hai dil miraa ho chali dhimi abhi se lau charaagh-e-shaam ki aankh mein aansu hain maathe par araq hai maut kaa le khabar umr-e-ravaan apne chhalakte jaam ki ho gai baazicha-e-atfaal be-zauq-o-shuur shaairi jo thi muraadif maani-e-ilhaam ki pukhtagi samjhe hue hain jo tanaasub ko faqat chaahiye islaah un ko is khayaal-e-khaam ki hai ye naazuk fan jo shaayaan-e-tahi-maghzi nahin daur-e-majlis mein zarurat kyaa hai khaali jaam ki hai 'aziz' aaina-e-lafzi muraaaatun-nazir husn-e-maani jab nahin phir shaairi kis kaam ki"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Quote
"ye ghalat hai ai dil-e-bad-gumaan ki vahaan kisi kaa guzar nahin faqat is liye ye hijaab hai ki kisi ko taab-e-nazar nahin kaho kuchh haqiqat-e-mushtahar ki mujhe kahin ki khabar nahin ye manaazir-e-do-jahaan hain kyaa jo fareb-e-zauq-e-nazar nahin kisi aah mein nahin soz jab kisi naale mein jab asar nahin ye kamaal-e-sozish-e-dil nahin ye farogh-e-daagh-e-jigar nahin chamak uTh rahi hai jo pai-ba-pai ye tajalliyon kaa khazaana hai ye hujum-e-barq-e-tapaan nahin ye mataa-e-dard-e-jigar nahin ye hai ehtimaam-e-hijaab kyuun ye hai band-o-bast-e-naqaab kyuun tumhein aankh bhar ke main dekh luun vo nazar nahin vo jigar nahin vo rahin-e-lazzat-e-gham huun main na mili azal mein jise tarab main hi us karam kaa thaa muntazir main hi mustahiq thaa magar nahin kabhi vaqt-e-naaz-o-niyaaz hai kabhi mahv-e-zulf-e-ayaaz hai magar us pe bhi dil-e-ghaznavi karam-aashnaa-e-nazar nahin ye tayyunaat-e-nizaam the faqat ek parda-e-maasivaa khabar us ki jab se hui mujhe koi is jahaan ki khabar nahin tujhe kaar-gaah-e-fanaa bataa inhi hastiyon pe ghurur hai jo sharik-e-sud-o-ziyaan nahin jo rahin-e-naf-o-zarar nahin chamak ai charaagh-e-zamir ab ki tulu' mehr-e-kamaal ho vo lahad huun tira-o-taar main ki jahaan bayaaz-e-sahar nahin na vo soz hai na vo saaz hai na vo dil khazaana-e-raaz hai vo sharar huun jis mein dhuaan nahin vo hajar huun jis mein sharar nahin nazar us ki hai miri samt abhi miraa daaman-e-goharin na dekh abhi khun-e-dil hai rukaa huaa abhi aansuon se ye tar nahin chamak ai tajalli-e-dil-rubaa nikal ai khulaasa-e-duaa ki nazaara-e-do-jahaan faqat ye maaal-e-zauq-e-nazar nahin ye jubba-saai-e-be-mahal mujhe shab ko de rahi thi khabar na miTaa de zulmat-e-dahr jo vo nishaan-e-sajda-e-dar nahin ye taghayyuraat-e-jahaan nahin asar-e-talavvun-e-taba hai tiri ik nazar kaa karishma hai ye falak ki gardish-e-sar nahin kaho sham' se ki ye naql kyaa koi apnaa qissa-e-gham kahe kare ab fasaane ko mukhtasar ki mujhe umid-e-sahar nahin hai talaash apni faqat mujhe main milun to hongi shikaayatein mujhe ab kisi se gilaa nahin mujhe ab kisi ki khabar nahin yahi manzilein hain vo manzilein ki jahannam un se panaah le dil-e-naa-shanaas-e-rah-e-vafaa mujhe koi khauf-o-khatar nahin miri ghaflaton kaa gilaa na kar yahi nazm-e-kaun-o-fasaad hai khabar is tilism-e-numud ki mujhe ho chuki hai magar nahin sabaq us se le ki khabar mile tujhe aane vaale zamaane ki hai taghayyuraat kaa aaina ye shikasta kaasa-e-sar nahin ye hain daar teri nigaah ke kisi naa-tavaan se rukeinge kyaa dil-e-daagh daagh-e-'aziz' hai sitam-aazmaa ye sipar nahin"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Quote
"saaf baatin der se hain muntazir saaqiyaa khuz maa-safaa daa maa-kadar phir hayaat-e-chand-roza kaa maaal maut par jab zindagi hai munhasir rut badalte hi fazaa mein guunj uThaa naghma-e-yaa-ayyohas-saaqi adir aise vaadi mein nahin kyaa rahnumaa khud jahaan gum-karda manzil huun khizar mashvara rahmat se kar ai adl-e-haq kyaa sazaa jo ho khataa kaa khud muqir kyuun hai asraar-e-do-aalam ki talaash parda-e-dil mein hain tere musattir kyuun miri divaangi badnaam hai un ki aankhein khud huiin jab mushtahar al-hazar pir-e-falak ki sar-kashi dekhne mein tu hai utnaa munkasir kho chukaa aankhein magar ai barq-e-husn dil rahegaa aur rahegaa muntazir sun le faryaad-e-'aziz' jaan-ba-lab rabb-e-inni mustaghiso fal-faqra"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Quote
"bhaDak uTTheinge shoale ek din duniyaa ki mahfil mein kahaan tak jazb hongi bijliyaan sabr-aazmaa dil mein lahu rone lageinge saaz-e-ishrat chheDne vaale are ye dard aavaaz-e-shikast-e-shisha-e-dil mein ye chhinTein khuun ki kaafi hain mere bakhshavaane ko nazar aati hai jannat vusat-e-daamaan-e-qaatil mein abad tak kaukab-e-bakht-e-saaadat ban ke chamkeinge hue hain jazb jo qatre lahu ke tegh-e-qaatil mein junun-e-be-sar-o-saamaan ki zinat dekhne vaale mabaadaa farq aae ishq ki tadbir-e-manzil mein hazaaron saal soz-e-dil ne ki thi dozakh-aashaami qadam rakhte hi mere lag gai ik aag mahfil mein magar bhule nahin ho yaad ab tak 'abr-o-'haamid' ki 'aziz' aakhir vo quvvat kyuun nahin baaqi rahi dil mein"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Quote
"ek hi khat mein hai kyaa haal jo mazkur nahin dil to dil 'ishq mein saada varaq-e-tur nahin ek ham hain ki kisi baat kaa maqdur nahin ek vo hain ki kisi rang mein majbur nahin imtihaan-gaah-e-mohabbat nahin gul-zaar-e-khalil kaun aisaa hai jo zakhmon se yahaan chuur nahin naz' kaa vaqt hai baiThaa hai sirhaane koi vaqt ab vo hai ki marnaa hamein manzur nahin qaabil-e-ghaur hai ai jalva-paristaan-e-azal ye kahaani hai miri vaaqia-e-tur nahin misr kaa chaand ho aaghosh mein zindaan ke tulu' fitrat-e-husn badal jaae to kuchh duur nahin sar jhukaae dar-e-daulat se palaTne vaale be-niyaazi ki adaaein hain vo maghrur nahin jubba-saai bhi gavaaraa nahin kartaa koi uTh ke jaanaa dar-e-daulat se bhi dastur nahin 'ishq mein sarhad-e-manzil se kuchh aage honge us kaa ronaa hai koi sai bhi mashkur nahin dil mein paivast hui thi jo mire roz-e-azal hai vahi shokh-nazar saaiqa-e-tur nahin dil ko bhi di gai hai khidmat-e-dard-e-abadi sirf aankhein hi miri rone pe maa'mur nahin sar-e-mizhgaan mire aansu kaa sitaara chamkaa daar par ab asar-e-jazba-e-mansur nahin saad surkhi se kiyaa kis ne sar-e-fard-e-jamaal apne 'aalam mein tire dida-e-makhmur nahin zindagi khatm hui jab to ik aavaaz suni aa gayaa main tire nazdik bas ab duur nahin ruuh kahti hui nikli hai dam-e-naza 'aziz' un se is bazm mein milnaa hamein manzur nahin"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Quote
"jiite hain kaise aisi misaalon ko dekhiye parda uThaa ke chaahne vaalon ko dekhiye kyaa dil jigar hai chaahne vaalon ko dekhiye mere sukut apne savaalon ko dekhiye ab bhi hain aise log ki jin se sabaq mile dil murda hai to zinda misaalon ko dekhiye kyaa dekhte hain aap bahaar-e-numu abhi jab eDiyaan tak aaein to baalon ko dekhiye tabqe zamin ke hon ki auraaq-e-aasmaan qudrat ke dil-fareb risaalon ko dekhiye himmat ko dekhiye ki vahi mard-e-kaar hai faujon ko dekhiye na risaalon ko dekhiye taqlid kyuun khayaal-o-zabaan mein kisi ki ho apne khayaal apne maqaalon ko dekhiye dushman pe bhi nigaah rahe aib mein hai vo ye kyaa ki sirf chaahne vaalon ko dekhiye ho sarsari na gor-e-gharibaan pe ik nazar un ke dimaagh un ke khayaalon ko dekhiye saaqi ki chashm-e-mast kaa nazzaara kijiye sahbaa ko dekhiye na piyaalon ko dekhiye dil dekhiye ki takmila-e-shauq ho 'aziz' masjid ko dekhiye na shivaalon ko dekhiye"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Quote
"ye mashvara baham uTThe hain chaara-ju karte ki ab mariz ko achchhaa thaa qibla-ru karte zabaan ruk gai aakhir sahar ke hote hii! tamaam raat kaTi dil se guftugu karte savaad-e-shahr-e-khamoshaan kaa dekhiye manzar! sunaa na ho jo khamoshi ko guftugu karte tamaam ruuh ki lazzat isi pe thi mauquf ki zindagi mein kabhi tum se guftugu karte javaab hazrat-e-naaseh ko ham bhi kuchh dete jo guftugu ke tariqe se guftugu karte pahunch ke hashr ke maidaan mein haul kyuun hai 'aziz' abhi to pahli hi manzil hai justuju karte"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Quote
"ai dil ye hai khilaaf-e-rasm-e-vafaa-parasti tauba buton ke aage zikr-e-khudaa-parasti ik khanjar-e-qazaa hai ik nashtar-e-jafaa hai vo chashm-e-shokh jo hai mahv-e-hayaa-parasti dikhlaaungaa tamaashaa is aaine mein tum ko subh-e-azal se dil hai mahv-e-safaa-parasti zaalim ki hai ye koshish is ko kahin miTaa duun mazlum dil ko mere fikr-e-baqaa-parasti kyuun saaz-o-barg-e-hasti kartaa hai tu muhayyaa duniyaa ko hai azal se zauq-e-fanaa-parasti laai na mai-kade se vaapas 'aziz' tujh ko ye hikmat-o-tasavvuf ye auliyaa-parasti"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Quote
"jaam khaali jahaan nazar aayaa meri aankhon mein khuun utar aayaa vo bahut kam kisi ne dekhaa hai mujh ko jo kuchh yahaan nazar aayaa jhuk gae aasmaan sajde mein kaun ye apne baam par aayaa kaanp uThaa charkh hil gai duniyaa vo jahaan apni baat par aayaa us ne puchhaa mizaaj kaisaa hai dil jo umDaa huaa thaa bhar aayaa jab kabhi us ne ki nazar mujh par ek chhaalaa nayaa ubhar aayaa teri jaanib se hoshiyaar gayaa apni jaanib se be-khabar aayaa jab kiyaa qasd-e-zabt-e-aah 'aziz' dil mein chhaalaa saa ik ubhar aayaa"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Quote
"is vahm ki intihaa nahin hai sab kuchh hai magar khudaa nahin hai kyaa is kaa suraagh koi paae jis chiiz ki ibtidaa nahin hai khultaa hi nahin fareb-e-hasti kuchh bhi nahin aur kyaa nahin hai is tarah sitam vo kar rahe hain jaise meraa khudaa nahin hai tum khush ho to hai mujhe nadaamat har-chand miri khataa nahin hai dekho to nigaah-e-vaapsin ko is ek nazar mein kyaa nahin hai duniyaa kaa bharam na khol ai aah ye raaz abhi khulaa nahin hai har zarra hai shaahid-e-tajalli is husn ki intihaa nahin hai sargarm-e-talaash rahne vaale teraa bhi kahin pataa nahin hai umDaa hai jo dil 'aziz' ro lo aansu koi roktaa nahin hai"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Quote
"dekh kar har dar-o-divaar ko hairaan honaa vo miraa pahle-pahal daakhil-e-zindaan honaa qaabil-e-did hai us ghar kaa bhi viraan honaa jis ke har gosha mein makhfi thaa bayaabaan honaa ji na uTThungaa hai bekaar pashemaan honaa jaao ab ho chukaa jo kuchh thaa miri jaan honaa vaahima mujh ko dikhaataa hai junun ke saamaan nazar aataa hai mujhe ghar kaa bayaabaan honaa uf mire ujDe hue ghar ki tabaahi dekho jis ke har zarre pe chhaayaa hai bayaabaan honaa haadse donon ye aalam mein aham guzre hain haadse donon ye aalam mein aham guzre hain meraa marnaa tiri zulfon kaa pareshaan honaa al-hazar gor-e-gharibaan ki Darauni raatein aur vo un ke ghane baal pareshaan honaa raat-bhar soz-e-mohabbat ne jalaayaa mujh ko thaa muqaddar mein charaagh-e-shab-e-hijraan honaa kyuun na vahshat mein bhi paaband-e-mohabbat rahtaa thaa bayaabaan mein mujhe qaidi-e-zindaan honaa hogaa ik vaqt mein ye vaaqia-e-taarikhi yaad rakhnaa mire kaashaane kaa viraan honaa kuchh na puchho shab-e-vaada mire ghar ki raunaq allaah allaah vo saamaan se saamaan honaa josh mein le ke ik angDaai kisi kaa kahnaa tum ko aataa hi nahin chaak-garebaan honaa un ki us koshish-e-be-had kaa pata detaa hai chaarasaazon kaa mire laash pe giryaan honaa aalam-e-ishq ki fitrat mein khalal aataa hai maan luun hazrat-e-naaseh kaa gar insaan honaa surkh Dori tiri aankhon ki ilaahi tauba chaahiye thaa inhein paivast-e-rag-e-jaan honaa ho chalein aap ke bimaar ki aankhein be-nur qahr thaa subh ke taare kaa numaayaan honaa main karun zabt idhar un ko pasina aae chaahiye yuun gham-e-pinhaan ko numaayaan honaa allaah allaah ye saliqa tiraa ai shoala-e-tur kis tarah tu ne chhupaayaa hai numaayaan honaa un se kartaa hai dam-e-naza vasiyyat ye 'aziz' khalq roegi magar tum na pareshaan honaa"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Quote
"kyuun na ho shauq tire dar pe jabin-saai kaa us mein jauhar hai miri aaina-simaai kaa tuur kushta hai usi naaz-e-khud-aaraai kaa barq ki lahr hai naqsha tiri angDaai kaa ishq ik tabsira hai husn ki raanaai par husn ik falsafa hai ishq ki rusvaai kaa aaj ik khaak kaa zarra bhi nahin baaqi hai dil-e-barbaad ye haasil hai khud-aaraai kaa yaad-e-ayyaam ki thi lab pe mire mohar-e-sukut ab to maatam hai bapaa dil mein shakebaai kaa mauj-dar-mauj ravaan baada-e-sar-josh-e-shabaab aalam-e-kaif hai aalam tiri angDaai kaa hasrat-o-yaas kaa amboh magar main bekas aise majmea mein ye aalam miri tanhaai kaa tirgi shaam-e-lahad ki hai bhayaanak lekin hai ye utraa huaa jaama shab-e-tanhaai kaa jazr-o-mad husn ke dariyaa mein nazar aataa hai qaabil-e-did hai aalam tiri angDaai kaa tere didaar se mahrum rahin jab aankhein koi masraf hi nahin phir miri binaai kaa aalam-e-gor-e-gharibaan kaa ye ghamnaak sukut ik namuna hai mire dil ki shakebaai kaa niind un ki agar uD jaae to kuchh duur nahin so gayaa jaagne vaalaa shab-e-tanhaai kaa sher dilkash ho agar safha-e-kaaghaz pe 'aziz' ik muraqqaa hai kamaal-e-sukhan-aaraai kaa"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Quote
"dil hamaaraa hai ki ham maail-e-fariyaad nahin varna kyaa zulm nahin kaun si bedaad nahin husn ik shaan-e-ilaahi hai magar ai be-mehr bevafaai to koi husn-e-khudaa-daad nahin sar-e-turbat vo khamoshi pe miri kahte hain marne vaale tujhe paimaan-e-vafaa yaad nahin husn-e-aaraasta qudrat kaa atiyya hai magar kyaa miraa ishq-e-jigar-soz khudaa-daad nahin laakh paaband-e-alaaeq na rahe koi yahaan tab-e-vaarasta magar fikr se aazaad nahin baaham aain-e-vafaa rasm-e-mohabbat kaisi vaqt ab vo hai ki bandon ko khudaa yaad nahin chashm-e-makhmur vo hai kaabil-e-gharq-e-mai-e-naab daftar-e-ishq pe jab tak ki mire saad nahin puchhte kyaa ho tabaahi kaa fasaana mujh se dil-e-barbaad ki surat bhi mujhe yaad nahin zarre zarre mein hai ik aalam-e-maani pinhaan khaak-e-barbaad ko samjhe ho ki aabaad nahin aap kahte hain ki hai gor-e-gharibaan viraan aisi basti to jahaan mein koi aabaad nahin aansuon ko bhi zaraa dekh le rone vaale in sitaaron mein to duniyaa koi aabaad nahin husn-e-khud main ne kiye aaine ke sau TukDe ab na kahnaa ki nigaahein sitam-ijaad nahin kab khayaalaat pe mumkin hai kisi kaa pahra dil to aazaad rahaa main agar aazaad nahin sina-kaavi ke liye shart hai dil ki himmat naakhun-e-dast-e-junun tesha-e-farhaad nahin be-khudi manzil-e-irfaan hai zaraa hosh mein aa hai khudi kaa ye natija ki khudaa yaad nahin tabqa-e-khaak mein hai aalam-e-khaaosh-aabaad jis ko barbaad samajhte ho vo barbaad nahin dil-e-viraan ki tabaahi ki koi had hai 'aziz' main samajhtaa huun ki duniyaa abhi aabaad nahin"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Quote
"na hui ham se shab basar na hui kis se puchhein ki kyuun sahar na hui vo nazar-shokh-o-fitna-zaa hi sahi kyuun mire haal-e-zaar par na hui bazm mein ye adaa hamein samjhe sab ko dekhaa udhar nazar na hui ai miraa haal puchhne vaale tujh ko ab tak miri khabar na hui ham isi zindagi pe marte hain jo yahaan chain se basar na hui kaise kaise sitam hue tujh par kyuun mire dil tujhe khabar na hui ruuh aalam mein phunk di to kyaa meri jaanib to ik nazar na hui uf mire gham-kade ki taariki aap aae bhi to sahar na hui dil ne duniyaa nai banaa Daali aur hamein aaj tak khabar na hui mujh se rukhsat hui thi jab duniyaa tum kahaan the tumhein khabar na hui hijr ki raat kaaTne vaale kyaa karegaa agar sahar na hui khush rahein vo ye muddaaa thaa 'aziz' na hui zindagi basar na hui"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Quote
"duniyaa ko valvala dil-e-naashaad se huaa ye tuul us khilaasa-e-ijaad se huaa fasl-e-junun mein sina-o-naakhun ko mere dekh kyaa be-sutun pe tesha-farhaad se huaa rahmat ne baDh ke sard jahannam ko kar diyaa kaisaa qusur ye dil-e-naashaad se huaa khush huun main vaqt-e-naza khushaa lazzat-e-faraagh jo kuchh huaa vo aap ke irshaad se huaa ye hai haqiqat-e-adam-o-aalam-e-vajud vo khaamushi se ye miri fariyaad se huaa naa-vaaqif-e-rusum mohabbat hai koi chiiz insaan 'aziz' sheva-e-faryaad se huaa"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Quote
"husn-e-aalam-soz naa-mahdud honaa chaahiye har tajalli aaftaab-aalud honaa chaahiye husn-e-niyyat hai dalil-e-husn anjaam-e-amal sai mein bhi jalva-e-maqsud honaa chaahiye ek hi jalva hai jab hangaama-aaraa-e-shuhud phir vahi shaahid vahi mashhud honaa chaahiye husn-e-aalam-soz kaa faiz-e-tajalli aam hai ek ik zarra yahaan masjud honaa chaahiye shaana-o-aaina kyaa ai zulf-e-mushkin-e-ayaaz teri zinat ko dil-e-mahmud honaa chaahiye be-niyaazi ab khataa-kaaron ki himmat baDh gai baab-e-tauba kuchh dinon masdud honaa chaahiye kaavish-e-mizhgaan kaa paiham taqaazaa hai 'aziz' har-nafas ko tere khun-aalud honaa chaahiye"
Mirza Mohammad Hadi Aziz LakhnaviMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi