Quote
"giton kaa shahr hai ki nagar soz-o-saaz kaa qalb-e-shikasta aur ye aalam gudaaz kaa chaaron taraf saji hain dukaanein khulus ki chamkaa hai kaarobaar har ik hilaa-saaz kaa vo chaahe khvaab ho ki haqiqat magar kabhi ehsaan uThaaegaa na libaas-e-majaaz kaa jis tarah chaahaa jaae hai chaahaa nahin abhi andesha jaan khaae hai ifshaa-e-raaz kaa bahrupiyaa hai koi phire hai nagar nagar qaatil kaa ruup dhaare kabhi chaarasaaz kaa yuun hanste hanste daar-e-fanaa se chalaa hai vo jaise safar nasib ho arz-e-hijaaz kaa 'aabid' ghamon ki dhuup mein jalnaa hai chaar din bas qissa mukhtasar hai ye umr-e-daraaz kaa"







