SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAbbas Qamar(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"saudaa baraae zindagi aasaan kar diyaa jo bik nahin rahaa thaa use daan kar diyaa puuri ghazal kaa lutf uThaa hi nahin sake matle' ne is qadar hamein hairaan kar diyaa mahfil mein koi husn kaa misra' agar milaa itne sunaae she'r ki divaan kar diyaa paani pahan ke dauD lagaa di gali gali dariyaa ne khel khel mein nuqsaan kar diyaa ham toDne gae the nasihat ki boTiyaan order janaab-e-shaikh ne jalpaan kar diyaa mushkil mein paD gae tire chakkar mein khud magar khush hain ki raasta tiraa aasaan kar diyaa sachchaaiyon ne khvaab ke sab kheme Dhaa diye aur 'aashiqon ko be-sar-o-saamaan kar diyaa"
Abbas QamarAbbas Qamar
Quote
"jahaan saare havaa banne ki koshish kar rahe the vahaan bhi ham diyaa banne ki koshish kar rahe the hamein zor-e-tasavvur bhi ganvaanaa paD gayaa ham tasavvur mein khudaa banne ki koshish kar rahe the zamin par aa gire jab aasmaan se khvaab mere zamin ne puchhaa kyaa banne ki koshish kar rahe the unhein aankhon ne bedardi se be-ghar kar diyaa hai ye aansu qahqaha banne ki koshish kar rahe the hamein dushvaariyon mein muskuraane ki talab thi ham ik tasvir saa banne ki koshish kar rahe the"
Abbas QamarAbbas Qamar
Quote
"haalat-e-haal se begaana banaa rakkhaa hai khud ko maazi kaa nihaan-khaana banaa rakkhaa hai khauf-e-dozakh ne hi ijaad kiyaa hai sajda Dar ne insaan ko divaana banaa rakkhaa hai mimbar-e-ishq se taqrir ki khvaahish hai hamein dil ko is vaaste maulaanaa banaa rakkhaa hai maatam-e-shauq bapaa karte hain har shaam yahaan jism ko ham ne azaan-khaana banaa rakkhaa hai vaqt-e-rukhsat hai mire chaahne vaalon ne bhi ab saans ko vaqt kaa paimaana banaa rakkhaa hai jaante hain vo parinda hai nahin Thahregaa ham ne us dil ko magar daanaa banaa rakkhaa hai"
Abbas QamarAbbas Qamar
Quote
"be-khayaali ki ridaa duur talak taani hai ab to ye bhi nahin lagtaa ki pareshaani hai sard mausam mein bhaDak uTThi hai tanhaai ki aag jo baDhaa deti hai mushkil vahi aasaani hai aab-e-girya se hai didaar ki surat paidaa dekhiye ghaur se aankh aankh nahin paani hai main to ehsaas ki tasvir banaa baiThaa huun raunaq-e-bazm-e-tasavvur miri hairaani hai ye jo duniyaa hai ye duniyaa ki banaai hui hai aadmi kyaa hai nazariyaat ki shaitaani hai ye ghazal sun ke kaheinge ‘qamar-abbaas-qamar' yaar 'abbaas-qamar' tum ne 'ajab Thaani hai"
Abbas QamarAbbas Qamar
Quote
"ham aise sar-phire duniyaa ko kab darkaar hote hain agar hote bhi hain be-intihaa dushvaar hote hain khamoshi kah rahi hai ab ye do-aabaa ravaan hogaa havaa chup ho to baarish ke shadid aasaar hote hain zaraa si baat hai is kaa tamaashaa kyaa banaaein ham iraade TuTte hain hausle mismaar hote hain shikaayat zindagi se kyuun karein ham khud hi tham jaaein jo kam-raftaar hote hain vo kam-raftaar hote hain gale mein zindagi ke rismaan-e-vaqt hai to kyaa parinde qaid mein hon to bahut hushyaar hote hain jahaan vaale muqayyad hain abhi tak ahd-e-tifli mein yahaan ab bhi khilaune raunaq-e-baazaar hote hain gulu-e-khushk un ko bhejtaa hai de ke mashkiza kuchh aansu tishna-kaamon ke alam-bardaar hote hain badan un ko kabhi baahar nikalne hi nahin detaa 'qamar-abbas' to baa-qaaedaa tayyaar hote hain"
Abbas QamarAbbas Qamar
Quote
"is musibat se nikalne kaa vasila kar de kho gayaa hai jo miraa mujh ko vahi laa kar de ab main kaise tujhe samjhaaun ki uljhan kyaa hai khol de saans ki girhein mujhe Dhilaa kar de kyaa pata kaun saa rang oDh ke aa jaae bahaar aur tiraa haath mire saamne piilaa kar de ek chuTki ki tiri naaf mein paD jaaein bhanvar ek bosa ki tire gaal ko giilaa kar de ruuh ki aanch baDhaa tez kar ehsaas ki lau jism ko 'ishq-o-mohabbat kaa patilaa kar de isti'aara koi mil jaae mujhe Thos aisaa jo tire husn kaa mazmun lachilaa kar de"
Abbas QamarAbbas Qamar