SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAhmad Azeem(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"misaal-e-barg-e-shikasta havaa ki zad par hai koi charaagh akelaa havaa ki zad par hai amaan DhunD rahaa hai khulaa huaa paani mohabbaton kaa jazira havaa ki zad par hai karaahti hain kisi ke firaaq mein shaamein dil aisaa ek shagufa havaa ki zad par hai manaaein khair kaho saahilon se aaj ki raat subuk-khiraam saa dariyaa havaa ki zad par hai vafur-e-ranj-e-tamanna se bujhtaa jaataa hai ki aaj meraa hi chehra havaa ki zad par hai fazaa mein ghulne lagin ghanTiyon ki aavaazein kahin pe koi kalisaa havaa ki zad par hai labon pe Duub rahi hain darud ki chikhein du'aa kaa band daricha havaa ki zad par hai miTi miTi nazar aati hain aayatein yaarab aqidaton kaa sahifa havaa ki zad par hai"
Ahmad AzeemAhmad Azeem
Quote
"dil is hujum-e-shahr mein tanhaa kahein jise aisaa nahin koi ki shanaasaa kahein jise aankhon mein chubh rahi hai koi mauj mauj reg vahshat badan mein phailtaa sahraa kahein jise bheje hain us ne phuul bahut se gulaab ke tajdid-e-dosti kaa taqaazaa kahein jise pheinkaa hai us ne ek tabassum ba-tarz-e-gul saari sitamgari kaa izaala kahein jise dekhaa hai us ne aaj dam-e-vasl aaina aankhon mein mehr-taab jhalaktaa kahein jise puchhaa hai us ne aaj saf-e-kushtagaan kaa haal har harf harf-e-zist kaa muzhda kahein jise"
Ahmad AzeemAhmad Azeem
Quote
"misaal-e-barg-e-shikasta havaa ki zad par hai koi charaagh akelaa havaa ki zad par hai amaan DhunD rahaa hai khulaa huaa paani mohabbaton kaa jazira havaa ki zad par hai karaahti hain kisi ke firaaq mein shaamein dil aisaa ek shagufa havaa ki zad par hai manaaein khair kaho saahilon se aaj ki raat subuk-khiraam saa dariyaa havaa ki zad par hai vafur-e-ranj-e-tamanna se bujhtaa jaataa hai ki aaj meraa hi chehra havaa ki zad par hai fazaa mein ghulne lagin ghanTiyon ki aavaazein kahin pe koi kalisaa havaa ki zad par hai labon pe Duub rahi hain darud ki chikhein duaa kaa band daricha havaa ki zad par hai miTi miTi nazar aati hain aayatein yaa rab aqidaton kaa sahifa havaa ki zad par hai"
Ahmad AzeemAhmad Azeem
Quote
"sabza havaa se avvalin barsaat mein khulaa vo shakhs mujh se pahli mulaaqaat mein khulaa ruh-o-dil-o-badan ke taqaaze saraab the ye bhi azaab kashmakash-e-zaat mein khulaa saare badan pe zakhm numaayaan the din chaDhe shab bhar rahaa thaa koi meri ghaat mein khulaa miTne the saare rang dhanak ke nigaah se tahrir ye bhi dukh thaa mire haat mein khulaa kaisaa vo dost thaa ki khuli dushmani bhi ki khanjar chhupaa ke rakh diyaa saughaat mein khulaa aae to naa-muraad na jaae havaa-e-gham darvaaza ham ne chhoD diyaa raat mein khulaa"
Ahmad AzeemAhmad Azeem
Quote
"khilaaf thaa na zamaana na vaqt aisaa thaa jo sochiye to yahi hai naa bakht aisaa thaa bahaar-rut mein bhi shaakhon ke haath khaali the khile na phuul ki mausam hi sakht aisaa thaa diye hain zakhm kuchh aise ki bhar sakein na kabhi ye aur baat ki vo gul-ba-dast aisaa thaa shuaa-e-mehr hi aai na chaandni utri main kyaa kahun ki mire dil kaa dasht aisaa thaa fazaa-e-shaam ki rangin kar gayaa hai qabaa ghurub-e-mehr gulaabon ke tasht aisaa thaa koi charaagh darichon pe rakh ke kyaa kartaa har ek samt havaaon kaa gasht aisaa thaa vo chaandni to na thi chaandni ke TukDe the ki maahtaab miraa lakht lakht aisaa thaa kisi safar mein bhi bojhal hue na mere qadam kahin bhi baiTh gayaa saaz-o-rakht aisaa thaa palaT ke aae na phir kaarvaan-e-ahl-e-vafaa mohabbaton ki masaafat kaa dasht aisaa thaa amaan baanT rahaa thaa musaafiron mein 'azim' ghaneri chhaanv luTaataa darakht aisaa thaa"
Ahmad AzeemAhmad Azeem