SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"main rang-e-aasmaan kar ke sunahri chhoD detaa huun vatan ki khaak le kar ek muTThi chhoD detaa huun ye kyaa kam hai ki haqq-e-khud-parasti chhoD detaa huun tumhaaraa naam aataa hai to kursi chhoD detaa huun main roz-e-jashn ki tafsil likh kar rakh to letaa huun magar us jashn ki taarikh khaali chhoD detaa huun bahut mushkil hai mujh se mai-parasti kaise chuTegi magar haan aaj se firqa-parasti chhoD detaa huun khud apne haath se rasm-e-vidaai kar to di par ab koi baaraat aati hai to basti chhoD detaa huun tumhaare vasl kaa jis din koi imkaan hotaa hai main us din roza rakhtaa huun buraai chhoD detaa huun hukumat mil gai to un kaa kucha chhuT jaaegaa isi nuqte pe aa kar baadshaahi chhoD detaa huun mubaarak ho tujhe sad-aafrin ai shaan-e-mahrumi tire pahlu mein aa ke ghar-grihasti chhoD detaa huun"
Ahmad Kamal ParwaziAhmad Kamal Parwazi
Quote
"tanhaai se bachaav ki surat nahin karun mar jaaun kyaa kisi se mohabbat nahin karun su-e-falak havaai safar hai to kyaa huaa Dar jaaun maahtaab ki surat nahin karun aankhein hain yaa sharaab ke saaghar bhare hue pi jaaun kyaa khayaal-e-shariat nahin karun qabze mein un ke shahr-e-tilismaat hi sahi kho jaaun kyaa khudaa ki ibaadat nahin karun jab tai huaa ki raushni parvardigaar hai pahlu bachaaun us ki itaaat nahin karun bazm-e-sukhan-taraaz mein naakaam hon to kyaa chillaaun apne fan ki hifaazat nahin karun vo aa gayaa 'kamaal' ki qimat ke aas-paas bik jaaun apne sach ki hifaazat nahin karun"
Ahmad Kamal ParwaziAhmad Kamal Parwazi
Quote
"is andhe qaid-khaane mein kahin rauzan nahin hotaa bikhar jaate tabiat mein agar bachpan nahin hotaa tujhe kyaa ilm ke har choT pe taare nikalte hain vo aadam hi nahin jis kaa koi dushman nahin hotaa unhein bhi ham ne sayyaaron se vaapas aate dekhaa hai jahaan bas ishq hotaa hai koi indhan nahin hotaa hamaari naa-muraadi mein vafaadaari bhi shaamil hai agar kuchh aur hote to ye pairaahan nahin hotaa bahut mamnun huun phir bhi andhere kam nahin hote agar tum mere ghar hote to vo raushan nahin hotaa"
Ahmad Kamal ParwaziAhmad Kamal Parwazi
Quote
"tumhaari vaapsi hone kaa andaaza na ho jaae kahin bikhri hui miTTi tar-o-taaza na ho jaae farishton tum ne be aavaaz andeshe nahin dekhe yahi divaar aage baDh ke darvaaza na ho jaae baDi khvaahish hai phir se zindagi hamvaar karne ki magar us se kahin mismaar shiraaza na ho jaae abhi tak to natija bhi pas-e-divaar hai jaanaan tiri is mahviyat se kal kaa andaaza na ho jaae shabaahat pe adaakaari asar-andaaz hoti hai abhi tak to ye chehraa hai kahin ghaaza na ho jaae"
Ahmad Kamal ParwaziAhmad Kamal Parwazi
Quote
"baraae-zeb us ko gauhar-o-akhtar nahin lagtaa vo khud ik chaand hai aur chaand ko zevar nahin lagtaa khudaayaa yuun bhi ho ki us ke haathon qatl ho jaaun vahi ik aisaa qaatil hai jo pesha-var nahin lagtaa agar aariz-parasti kaa amal ik jurm bantaa hai sazaa bhi kaaT leinge kaaTne se Dar nahin lagtaa mohabbat tiir hai aur tiir baatin chhed detaa hai magar niyyat ghalat ho to nishaane par nahin lagtaa rais-e-shahr ho kar bhi vo itnaa jhuk ke miltaa hai ki us ke saamne koi bhi qad-aavar nahin lagtaa"
Ahmad Kamal ParwaziAhmad Kamal Parwazi
Quote
"tamaam bhiiD se aage nikal ke dekhte hain tamaash-bin vo chehra uchhal ke dekhte hain nazaakaton kaa ye aalam ki ru-numaai ki rasm gulaab baagh se baahar nikal ke dekhte hain tu laa-javaab hai sab ittifaaq rakhte hain magar ye shahr ke faanus jal ke dekhte hain ise main apne shabistaan mein chhu ke dekhtaa huun vo chaand jis ko samundar uchhal ke dekhte hain jo kho gayaa hai kahin zindagi ke mele mein kabhi kabhi use aansu nikal ke dekhte hain jo roz daaman-e-sad-chaak siite rahte hain tumhein vo iid pe kapDe badal ke dekhte hain"
Ahmad Kamal ParwaziAhmad Kamal Parwazi
Quote
"ye garm ret ye sahraa nibhaa ke chalnaa hai safar tavil hai paani bachaa ke chalnaa hai bas is khayaal se ghabraa ke chhaT gae sab log ye shart thi ki qataarein banaa ke chalnaa hai vo aae aur zamin raund kar chale bhi gae hamein bhi apnaa khasaara bhulaa ke chalnaa hai kuchh aise farz bhi zimme hain zimme-daaron par jinhein hamaare dilon ko dukhaa ke chalnaa hai shanaasaa zehnon pe taane asar nahin karte tu ajnabi hai tujhe zahr khaa ke chalnaa hai vo dida-var ho ki shaaer ki maskhara koi yahaan sabhi ko tamaasha dikhaa ke chalnaa hai vo apne husn ki khairaat dene vaale hain tamaam jism ko kaasa banaa ke chalnaa hai"
Ahmad Kamal ParwaziAhmad Kamal Parwazi
Quote
"kanvaare aansuon se raat ghaael hoti rahti hai sitaare jhaDte rahte hain rehearsal hoti rahti hai siyaasi mashq kar ke tum to dilli lauT jaate ho yahaan sahme hue logon mein halchal hoti rahti hai vahaan rakkhe hue mohre baraabar marte rahte hain idhar kheli hui baazi mukammal hoti rahti hai main sab kuchh bhuul ke jaane ki koshish kartaa rahtaa huun magar guzri hui vo raat paagal hoti rahti hai na jaane kyaa kharaabi aa gai hai mere lahje mein na jaane kyuun miri aavaaz bojhal hoti rahti hai"
Ahmad Kamal ParwaziAhmad Kamal Parwazi