SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAhmar Gorakhpuri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"numaaish-e-rukh-e-rangin-e-yaar rahne de mujhe na chheD gul-e-nau-bahaar rahne de asir-e-panja-e-gesu-e-yaar rahne de mire nasib mujhe be-qaraar rahne de fareb-khurda-e-rang-e-bahaar rahne de jo daagh-daar hai dil daagh-daar rahne de abhi na hosh mein laa ai mire nasib Thahar karam-numaai-e-daamaan-e-yaar rahne de abhi javaan hain vo ai ghurur-e-husn bataa samand-e-naaz pe un ko savaar rahne de uThaa na ab mujhe uTh uTh ke mere dard-e-jigar paDaa huaa huun sar-e-ku-e-yaar rahne de khiraam-e-naaz ke sadqe tire o mast-e-shabaab miTe huon ke nishaan-e-mazaar rahne de kuchh un ke dil pe asar ho chalaa hai ai gham-e-ishq miri mizha ko abhi ashk-baar rahne de tiri vafaaein bhi to be-hisaab hain 'ahmar' kisi ke zulm-o-sitam kaa shumaar rahne de"
A
Ahmar Gorakhpuri
Quote
"chaman mein phulon kaa daamaan-e-taar-taar bhi dekh bahaar dekh chukaa haasil-e-bahaar bhi dekh asir-e-subh-e-tarab shaam-e-sogvaar bhi dekh guzarte lamhon kaa ik aur shaahkaar bhi dekh mah-o-nujum ke jalvon se khelne vaale fazaa mein phailaa huaa rang-e-intishaar bhi dekh tire khayaal se aage tiri nazar se pare jo pal rahe hain vo lamhaat-e-khalfishaar bhi dekh nikal ke marmarin mahlon ke sard-khaanon se tapaa tapaa saa gharibon kaa reg-zaar bhi dekh bahaar ghuncha-o-gul se nazar haTaa ke zaraa sisakti qaum ke zakhmon kaa laala-zaar bhi dekh ba-naam-e-amn liye aslahon ke daaman se jo uTh rahaa hai vo tufaan-e-shoala-baar bhi dekh lahu lahu hai jahaan jism-e-aashti 'ahmar' sitam-rasidon kaa vo khun-chakaan dayaar bhi dekh"
A
Ahmar Gorakhpuri
Quote
"khel kar silsila-e-gardish-e-ayyaam ke saath zindagi ham ne guzaari baDe aaraam ke saath sun rahaa huun dil-e-barbaad ke afsaane mein aap kaa naam bhi aaya hai mire naam ke saath shukr-sad-shukr ki muddat pe tujhe shikva-taraaz yaad to aaya koi saikDon ilzaam ke saath kam-nigaahi se tiri bazm-e-tarab mein saaqi dekh aankhein na chhalak jaaein kahin jaam ke saath teri yaadon mein guzarte hue lamhon ki thakan lutf-e-aaghaaz bhi laai gham-e-anjaam ke saath baDhtaa jaataa hai ujaalon pe andheron kaa asar subh badnaam na ho jaae kahin shaam ke saath is zamaane mein gale milte hue dekhaa hai ravish-e-khaas ko ham ne ravish-e-aam ke saath ham bhi khele hain lab-e-shaahid-e-mai se 'ahmar' jura-kash ham bhi rahe hain kabhi 'khayyaam' ke saath"
A
Ahmar Gorakhpuri
Quote
"rahte nahin qaabu mein sar-e-raahguzar paanv rakhte hain idhar paanv to paDte hain udhar paanv kaandhon pe liye umr kaa bosida janaaza jaataa hai udhar jism bhi jaate hain jidhar paanv maahaul hi aaina-e-har-ahd-e-navi hai jhule hi mein aa jaate hain bachche ke nazar paanv baDh jaate hain kuchh aur bhi manzil ke taqaaze kho dete hain jab hausla-e-azm-e-safar paanv paamaal hue hain kai sahraaon ke siine yunhi nahin aate hain nazar khaak-basar paanv har chand baDhi jaati hai lamhon ki masaafat thakte nahin baDhte hue sadiyon ke magar paanv milti nahin gar zehn ko idraak ki aankhein rakhte hi nahin farsh pe mahrum-e-basar paanv shahron ki tijori kabhi deti nahin roTi kheton mein pahunchte nahin dahqaan ke agar paanv sidhi sahi lekin rah-e-ikhlaas pe 'ahmar' paDte hain zamaane ke ba-andaaz-e-digar paanv"
A
Ahmar Gorakhpuri
Quote
"aish-aagaah gham-shanaas rahaa ji kabhi khush kabhi udaas rahaa vaqt ne anginat libaas diye phir bhi insaan be-libaas rahaa us se puchho khushi ke ehsaasaat muddaton jo ghamon ke paas rahaa main vo sahraa-e-be-saraab huun jo apne hi lab ki ban ke pyaas rahaa qalb-e-nau mein ba-faiz-e-vahm-o-gumaan har yaqin surat-e-qayaas rahaa haadson ke hujum mein pis kar gham kaa har lamha bad-havaas rahaa qatl lamhon kaa ho rahaa thaa magar vaqt be-khauf-o-be-hiraas rahaa meraa afsaana-e-hayaat 'ahmar' ban ke har gham kaa iqtibaas rahaa"
A
Ahmar Gorakhpuri
Quote
"thi khvaab mein bhi jalva-numaai tamaam raat niind aai bhi to niind na aai tamaam raat samjhaa na dil ne ahd-shikan tujh ko taa-sahar kartaa rahaa adu ki buraai tamaam raat tum se to khair vaada-khilaafi hui hui kam-bakht maut bhi to na aai tamaam raat hichki bataa rahi thi ki us bevafaa ko bhi meri hi tarah niind na aai tamaam raat khalvat-gah-e-talab mein ujaalaa na ho sakaa lau shama-e-aarzu ki baDhaai tamaam raat jab ho sakaa na koi mudaavaa-e-soz-e-ishq ashkon ne gham ki aag bujhaai tamaam raat rah rah ke dard uThtaa rahaa aur chashm-e-shauq apne hi aansuon mein nahaai tamaam raat 'ahmar' milaa thaa jis se hamein dard-e-aashiqi dete rahe usi ki duhaai tamaam raat"
A
Ahmar Gorakhpuri
Quote
"naghma-haa-e-asar-andaaz kahaan se laaun soz mein Duubaa huaa saaz kahaan se laaun be-kasi hamdam-o-hamraaz kahaan se laaun gham mein Duubi hui aavaaz kahaan se laaun ishq ne jis ke liye qais kaa jaama pahnaa husn-e-khud-bin ke vo andaaz kahaan se laaun uf vo duzdida nigaahon ke hasin nazzaare uf vo tere ghalat-andaaz kahaan se laaun maut hai mere liye talkhi-e-anjaam-e-hayaat tujh ko ai lazzat-e-aaghaaz kahaan se laaun sunne vaalon ko jo khud-rafta kare ai 'ahmar' apne sheron mein vo eajaaz kahaan se laaun"
A
Ahmar Gorakhpuri
Quote
"ujaalaa tira-shabi se dabaa dabaa saa lagaa charaagh jaltaa huaa bhi bujhaa bujhaa saa lagaa talaash-e-amn mein laai jahaan-jahaan parvaaz khuli fazaa thi magar dam ghuTaa ghuTaa saa lagaa vafaa ki raah mein apnaa har ek naqsh-e-qadam havaa-e-kam-nigahi se miTaa miTaa saa lagaa nigaah-e-shauq-e-tajassus jidhar jidhar bhi gai rukh-e-hayaat kaa parda uThaa uThaa saa lagaa jo dekhaa ghaur se aaina-e-siyah-bakhti khud apne jism kaa saaya judaa judaa saa lagaa zamaana chaDhti hui dhuup dekhtaa hai magar yahaan to subh kaa suraj Dhalaa Dhalaa saa lagaa tamaam umr bhigotaa rahaa miri palkein vo ek lamha jo dil ko bhalaa bhalaa saa lagaa yahi vo dasht-e-junun-khez hai jahaan 'ahmar' har ek qaafla-e-gham luTaa luTaa saa lagaa"
A
Ahmar Gorakhpuri
Quote
"sargarm-e-safar to huun lekin manzil kaa nishaan maalum nahin uThne ko to uTThe hain ye qadam jaanaa hai kahaan maalum nahin shaadaabi-e-gulshan kaa manzar hai zehn mein to mahfuz magar kab shaakh jali kab phuul luTe kab aai khizaan maalum nahin kaDkan bhi fazaa mein jaari hai kaunde bhi lapakte jaate hain lahraa ke giregi kis kis par ye barq-e-tapaan maalum nahin ham dasht-nashin hain gulshan ki rangin fazaaein kyaa jaanein kaanTon ki to basti dekhi hai phulon kaa jahaan maalum nahin pyaasaa hai miri hi tarah magar pyaas apni bujhaane ki khaatir jaataa hai kahaan dhire dhire ye abr-e-ravaan maalum nahin har saans ke naazuk vaqfa par dam le ke ye chalti hai 'ahmar' Thahregi magar kis manzil par ye umr-e-ravaan maalum nahin"
A
Ahmar Gorakhpuri
Quote
"mahrumi-e-hayaat kahin hai kahin nahin gham ki udaas raat kahin hai kahin nahin roz-e-azal se marhala-e-marg-o-zist hai apni hi ek zaat kahin hai kahin nahin afsurdagi-o-zinda-dili ke hujum mein ye puuri kaaenaat kahin hai kahin nahin pesh-e-nazar hai vusat-e-arz-o-samaa magar qaid-e-taayyunaat kahin hai kahin nahin har-chand dil vajud-e-vafaa par hai mutmain lekin vo ek baat kahin hai kahin nahin 'ahmar' hai yuun to sab pe kisi ki nazar magar vo chashm-e-iltifaat kahin hai kahin nahin"
A
Ahmar Gorakhpuri