SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"chaand par yuun kaale baadal dekh kar achchhaa lagaa ik nazar dekhaa jo us ko umr bhar achchhaa lagaa misl-e-majnun reg-zaaron kaa safar achchhaa lagaa teri khaatir jiiti baazi haar kar achchhaa lagaa hanste hanste jaan le li jaan ne ik din miri jaan luTaa di main ne jis dam jaan par achchhaa lagaa teri yaadon ke sahaare ji rahaa huun aaj bhi guzre jo hamraah tere vo safar achchhaa lagaa apni qismat par karun main rashk jitnaa kam hai vo kyaa bataaun tum se mil kar kis qadar achchhaa lagaa unche mahlon ki rihaaish ho mubaarak aap ko mujh ko apne gaanv kaa miTTi kaa ghar achchhaa lagaa mujh ko apni mehnaton par hai yaqin aur naaz bhi khuun pasine se milaa hai jo samar achchhaa lagaa daad-o-tahsin ki tamanna ki nahin tu ne kabhi dekh kar 'saarim' tumhaaraa ye jigar achchhaa lagaa"
Aziqur Rahman SarimAziqur Rahman Sarim
Quote
"har samt sulagtaa hai ghurbat kaa sharar ab tak roTi ko tarastaa hai duniyaa mein bashar ab tak tum jitnaa sitam Dhaa lo lekin ye haqiqat hai mazlum ki aahon mein baaqi hai asar ab tak jis samt nazar uTThe us samt bahaaraan ho tujh saa to nahin dekhaa andaaz-e-nazar ab tak din raat mohabbat mein martaa hi rahaa jis par us ko na mili mere marne ki khabar ab tak jis raah se muD kar ham aae the aji saahib bhule se kabhi ham ne dekhaa na udhar ab tak tum meri rifaaqat mein jis raah se guzre the main bhuul nahin paayaa vo raahguzar ab tak kis tarah ki basti mein ham aa ke base 'saarim' kaandhe pe liye laasha ki ziist basar ab tak"
Aziqur Rahman SarimAziqur Rahman Sarim
Quote
"meri palkon pe khvaab rahne de kuchh na kuchh iztiraab rahne de haq-bayaani to meraa sheva hai mujh ko zer-e-itaab rahne de tujh ko fursat mile to paDh lenaa mujh ko misl-e-kitaab rahne de teri aankhein to khud nashili hain zikr-e-jaam-o-sharaab rahne de tishnagi jab miraa muqaddar hai mere haq mein saraab rahne de koi aaya hai saj ke gulshan mein aaj zikr-e-gulaab rahne de likh de vaaiz gunaah sab mujh par naam apne savaab rahne de zindagi to habaab hai 'saarim' ab mujhe tu habaab rahne de"
Aziqur Rahman SarimAziqur Rahman Sarim
Quote
"mujh pe dahliz se pheinkaa hai gul-e-tar kis ne mere allaah jagaayaa hai muqaddar kis ne meri jaanib thaa rafiqon ki rifaaqat kaa hisaar phir miri pusht pe ghonpaa hai ye khanjar kis ne husn-e-akhlaaq ke paikar the hamaare bachche un ke haathon mein thamaayaa hai ye patthar kis ne kitnaa pur-kaif hai girdaab kaa manzar dekho dil ke taalaab mein pheinkaa hai ye kankar kis ne gul-badan zohra-jabin tu hi bataa de mujh ko is mohabbat se taraashaa hai ye paikar kis ne ghaaebaana hui hogi koi nusrat 'saarim' varna tum ko yuun banaayaa hai sukhan-var kis ne"
Aziqur Rahman SarimAziqur Rahman Sarim
Quote
"kahaani yaa koi qissa nahin hai tire jaisaa koi chehra nahin hai guhar huun laal huun main yaa ki patthar kisi ne aaj tak parkhaa nahin hai salib-o-daar se sab Dar rahe hain yahaan par sach koi kahtaa nahin hai paraayon se bhalaa shikva gila kyaa mujhe apnon ne hi samjhaa nahin hai har-ik su abr-e-zulmat hai barastaa kahin rahmat ki ab barkhaa nahin hai bulandi par bahut itraa rahe ho koi bhi jaa ke vaan Thahraa nahin hai mohabbat ko vo kyaa samjhegaa 'saarim' jo is rah se kabhi guzraa nahin hai"
Aziqur Rahman SarimAziqur Rahman Sarim
Quote
"masarrat ke lamhaat kam dekhte hain zamaane ki aankhon mein gham dekhte hain ye kis ki hai aamad shagufta fazaa hai bahaaron kaa har-su karam dekhte hain miTaayaa hai jis ne mohabbat mein khud ko ham us kaa hi naqsh-e-qadam dekhte hain ukhuvvat mohabbat na hi bhaai-chaara yahaan bhaai bhaai ko kam dekhte hain sikhaae hain jis ne tabassum takallum ab un par musallat sitam dekhte hain ye mahfil sajaai thi jis ke liye kyon use hi yahaan par adam dekhte hain ye eazaaz hai kyaa mohabbat kaa 'saarim' mohabbat ki aankhon ko nam dekhte hain"
Aziqur Rahman SarimAziqur Rahman Sarim
Quote
"haath mein gar asaa nahin hotaa bahr mein raasta nahin hotaa niyyatein paak agar nahin hon to koi sajda adaa nahin hotaa chaar nazrein agar nahin hotin dard-e-dil yuun baDhaa nahin hotaa haar jaataa agar main ye baazi yaar mujh se khafaa nahin hotaa tum gar apnaa ziyaan nahin karte dusron kaa bhalaa nahin hotaa ishq ki aag gar nahin lagti is qadar dil jalaa nahin hotaa ham sanvarne ko bhi taras jaate ru-ba-ru aaina nahin hotaa bech dete zamir apnaa jo zulm mujh par ravaa nahin hotaa tum adan mein hi rahte ai 'saarim' tum se gar vo khafaa nahin hotaa"
Aziqur Rahman SarimAziqur Rahman Sarim