SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byBashir Mehtaab(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"suhaane sapne aae hain lubhaane sapne aae hain mujhe manzil ki daavat hai bulaane sapne aae hain miri bedaar aankhon ko sajaane sapne aae hain main ik muddat se soyaa thaa jagaane sapne aae hain mujhe paane tum aae ho ganvaane sapne aae hain ye sapne jaa nahin sakte churaane sapne aae hain ye armaan phir se toDeinge dikhaane sapne aae hain nayaa saa khel hai koi puraane sapne aae hain mujhe to aakhiri dam tak hansaane sapne aae hain ajab 'mahtaab' aankhon ke divaane sapne aae hain"
Bashir MehtaabBashir Mehtaab
Quote
"rukh tumhaaraa ho jidhar ham bhi udhar ho jaaeinge tum se bichhDeinge agar to dar-ba-dar ho jaaeinge zindagaani ke safar mein lutf hogaa tab nasib ham-khayaal-o-ham-navaa jab ham-safar ho jaaeinge aasmaanon kaa safar ham tai kareinge ek roz jab hamaare hauslon mein baal-o-par ho jaaeinge saadgi yunhi agar laade rahe to ek din sab tumhaare apne tum se be-khabar ho jaaeinge dekhnaa jis din unhein maqsad samajh mein aaegaa manzilon ki justuju mein rahguzar ho jaaeinge paude hain urdu adab ke aab-o-daana Daaliye aane vaale kal mein saae aur samar ho jaaeinge saaqi saaghar ki zarurat hi kahaan mere liye teri aankhon ke hi pyaale pur-asar ho jaaeinge vo na jaaeinge kabhi 'mahtaab' zulmat ki taraf vaqt par anjaam se vaaqif agar ho jaaeinge"
Bashir MehtaabBashir Mehtaab
Quote
"kis masti mein ab rahtaa huun khud ko khud mein DhunD rahaa huun duniyaa mein sab se hi judaa huun aakhir main kis duniyaa kaa huun main to khud ko bhuul chukaa huun tum batlaa do kaun huun kyaa huun ye bhi nahin hai yaad mujhe ab kyuun aakhir rotaa rahtaa huun ik duniyaa hai mere andar us mein hi main ghuum rahaa huun mujh ko niind hai pyaari yaa phir us ko bhi main hi pyaaraa huun vo rukh apnaa pher chuke hain main kis ko apnaa kahtaa huun in lafzon ne manzil chhini aap chalein main abhi aataa huun man to khushiyaan baanT rahaa hai main qatra qatra rotaa huun khud kaa bojh hai kitnaa khud par kitnaa khud ko jhel rahaa huun mujh ko tum 'mahtaab' na samjho shaayad main us kaa saayaa huun"
Bashir MehtaabBashir Mehtaab
Quote
"maanaa us ko gila nahin mujh se kuchh to hai jo kahaa nahin mujh se haq nahin dosti kaa aisaa koi jo ki us ko milaa nahin mujh se dil hi dil mein vo bughz rakhtaa hai jo ba-zaahir khafaa nahin mujh se kuchh to hogaa zarur is kaa sabab vo jo ab tak laDaa nahin mujh se laakh pichhaa chhuDaanaa chaahaa magar gham huaa hi judaa nahin mujh se kaise rah paaegaa vo mere baghair jo alag hi rahaa nahin mujh se jo ba-zaahir khafaa hai ai 'mahtaab' vo ba-baatin khafaa nahin mujh se"
Bashir MehtaabBashir Mehtaab
Quote
"sab ki maujudgi samajhtaa hai dil kisi ki kami samajhtaa hai ek hi shakhs se main vaaqif huun jo mujhe ajnabi samajhtaa hai go mujhe jaantaa nahin lekin vo miri shaairi samajhtaa hai vasl ke ashk hijr ke aansu vo nami ko nami samajhtaa hai vahi meri zabaan se hai vaaqif jo miri khaamushi samajhtaa hai aap ke saamne main khush huun magar mere dukh raam hi samajhtaa hai yahi urdu zabaan kaa hai jaadu ab mujhe har koi samajhtaa hai main use baat dil ki kahtaa huun vo use shaairi samajhtaa hai itnaa naadaan bhi nahin hai vo jo tumhaari hansi samajhtaa hai kaun 'mahtaab' ab tumhaaraa hai kaun dil ki lagi samajhtaa hai"
Bashir MehtaabBashir Mehtaab
Quote
"jab se mire raqib kaa rasta badal gayaa tab se mire nasib kaa naqsha badal gayaa shirin thaa kitnaa aap kaa andaaz-e-guftugu do-chaar sikke aate hi lahja badal gayaa kis ki zabaan se mujhe dekho khabar mujhe kaise mire harif kaa chehra badal gayaa un ke badalne kaa mujhe afsos kuchh nahin afsos ye hai apnaa hi saaya badal gayaa jab se baDon ki ghar se hukumat chali gai jannat-numaa makaan kaa naqsha badal gayaa raahon ki khaak chhaantaa phirtaa huun aaj tak rahbar badal gayaa kabhi rasta badal gayaa kahtaa hai us ke jaane se kuchh bhi nahin huaa 'mahtaab' jabki dil kaa vo Dhaancha badal gayaa"
Bashir MehtaabBashir Mehtaab
Quote
"chale jaanaa magar sun lo mire dil mein ye hasrat hai faqat ik baar hi kah do hamein tum se mohabbat hai ye mausam bhi suhaanaa hai tiri yaadon ke mele hain tire bin ek bhi lamha bitaa lenaa qayaamat hai buraa kahtaa hai mujh ko ye zamaana main ne maanaa hai na jaane kyuun use tujh se nahin koi shikaayat hai achaanak yuun jo mujh se bad-gumaan tu ho gayaa hamdam mujhe lagtaa hai ye mere raqibon ki sharaarat hai nahin koi khataa meri vo phir bhi zakhm dete hain main huun bimar-e-ulfat bas davaa meri mohabbat hai rahe kab tak bhalaa mahtaab tanhaai ke 'aalam mein ki ab to aa bhi jaa us ko faqat teri zarurat hai"
Bashir MehtaabBashir Mehtaab
Quote
"aaj-kal ke shabaab dekhe hain saare khaana-kharaab dekhe hain phuul jaise husain chehre bhi haae sahte azaab dekhe hain ishq ki raah mein vo luTte hue ham ne laakhon janaab dekhe hain hai ye ulfat bhi kyaa balaa saahab is mein jhukte navaab dekhe hain ek ik pal ko yaad rakhte the vo tumhaare hisaab dekhe hain tum haTaa do ye apne chehre se ham ne kaafi naqaab dekhe hain pahle mohsin the phir bane zaalim log aise itaab dekhe hain jis pe mahtaab tum rahe marte ab vo hote saraab dekhe hain"
Bashir MehtaabBashir Mehtaab
Quote
"ik lamha bhi guzaarun bhalaa kyuun kisi ke saath guzre tamaam umr miri aap hi ke saath jab haath dosti kaa baDhaayaa khushi ke saath us ne mujhe qubul kiyaa khush-dili ke saath dil se kiyaa hai yaad use main ne jab kabhi izhaar-e-hijr karti hain aankhein nami ke saath ik baar mere yaar ne aisaa kiyaa mazaaq allaah re na ho kabhi aisaa kisi ke saath is tarah munsalik huaa urdu zabaan se miltaa huun ab sabhi se baDi aajizi ke saath baaqi rahi hai dil mein ye hasrat tamaam umr 'mahtaab' kaa dayaar ho us ki gali ke saath"
Bashir MehtaabBashir Mehtaab