Quote
"asar na kam ho kabhi naala-e-rasaa teraa rahe baDhaa huaa har aan hausla teraa paDhi hai aariz-o-kaakul ki daastaan main ne sunaa hai main ne fasaana zaraa zaraa teraa ai ashk-e-shauq tujhi se hai zindagi dil ki fuzun hai chashma-e-haivaan se martaba teraa tamaam raah hai faiz-e-qadam se nuraani hai maahtaab zamin par ki naqsh-e-paa teraa qadam ko tez kar is se ziyaada ai 'betaab' nikal gayaa hai bahut duur qaafila teraa"
B
Betab Azimabadi






