SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFauziya Rabab(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"thi us ke liye khvaab ki taabir koi hiir karti thi na raanjhe ko jo taskhir koi hiir hoti hai vo izzat bhi vo beTi bhi hayaa bhi kyuun pahne faqat ishq ki zanjir koi hiir is darja tumhein paas-e-zamaana hai bhalaa kyuun kyaa tum na karoge kabhi taamir koi hiir ilzaam to aataa hai faqat ishq ke sar hi raanjhan ki to karti nahin tahqir koi hiir tu bhi to kabhi soch miri zaat ke mehvar kyaa aap hi karti rahe tadbir koi hiir ab kaun sunaaegaa 'rabaab' ishq-sahifa karti jo nahin ab koi tafsir koi hiir"
Fauziya RababFauziya Rabab
Quote
"ghaayal hai teri shahzaadi shahzaade tu ne jo har baat bhulaa di shahzaade har jaanib ho ek munaadi shahzaade teri ho gai ye shahzaadi shahzaade hanste hanste roti huun phir hansti huun ishq ne kaisi mujh ko sazaa di shahzaade aaj bhi arsh ko dekhaa teraa naam liyaa aaj bhi main ne tujh ko duaa di shahzaade shaam Dhale to dard bhi apni aamad ki kar detaa hai roz munaadi shahzaade ham ne to bas pyaar kiyaa thaa paap nahin logon ne to baat baDhaa di shahzaade tujh ko chaahaa to phir TuuT ke chaahaa hai shoalon ko bhi khuub havaa di shahzaade qabr pe rote rahne se sukh paaoge tum ne kitni der lagaa di shahzaade bolo aakhir dil par kyaa kuchh bitegi tum ne jo har yaad miTaa di shahzaade jitni umr hai baaqi vo bhi tere naam jitni thi vo tujh pe luTaa di shahzaade aaj 'rabaab' ke lab par chikhi khaamoshi khaamoshi ne tujh ko sadaa di shahzaade"
Fauziya RababFauziya Rabab
Quote
"log karte hain faqat vaqt guzaari paagal baat kartaa hai yahaan kaun hamaari paagal us ne ik baar kahaa koi nahin tum jaisaa tab se main lagne lagi khud ko bhi pyaari paagal vo bhi hans hans ke kiyaa kartaa thaa baatein aur main us ki baaton mein chali aai bichaari paagal ek muddat se tiri raah mein aa baiThi hai ishq mein tere hui raaj-kumaari paagal main ne puchhaa ki koi mujh se ziyaada hai hasin aaina hans ke ye bolaa ari jaa ri paagal yuun nahin hai ki faqat nain hue hain mere dekh kar tujh ko hui saari ki saari paagal us ne puchhaa ki miri ho naan to phir main ne kahaa haan tumhaari main tumhaari main tumhaari paagal main 'rabaab' is se ziyaada tujhe ab kyaa deti zindagi main ne tire naam pe vaari paagal"
Fauziya RababFauziya Rabab
Quote
"kis ko apnaa haal sunaaein aap bataaein kaise dil ko ham samjhaaein aap bataaein aap kahein main baad mein apni kah lungi aap kahein phir bhuul na jaaein aap bataaein aap ki is uktaahaT ko ab ham kyaa samjhein kyaa ab ham milne nahin aaein aap bataaein aap binaa ab kaun hamaare naaz uThaae kis se ruThein kis ko sataaein aap bataaein aankhein rasta takne par maamur huiin hain dil se kaise yaad miTaaein aap bataaein bolein aap pe koi qayaamat guzregi kyaa aap ke jaise ham ho jaaein aap bataaein farq kahaan rah jaaegaa phir ham donon mein ham bhi gar ehsaan jataaein aap bataaein khaamoshi ne sab kuchh hi to kah Daalaa hai bolein naan ab kyaa batlaaein aap bataaein aap ne khud ko khud hi shahr mein aam kiyaa hai kyuun nahin ab ye log sataaein aap bataaein kab tak tanhaa qaul nibhaate jaaeinge ham kab tak hon majruh vafaaein aap bataaein mujh bechaari kaa kahnaa kis ginti mein hai aap bhale kuchh bhi farmaaein aap bataaein ishq paDaa hai pichhe haath hi dho kar jaise kaise apni jaan bachaaein aap bataaein kaun 'rabaab' sune ab logon ki baaton ko chhoDein jo bhi log sunaaein aap bataaein"
Fauziya RababFauziya Rabab
Quote
"tum bhi ab shahr se Dar jaate ho had karte ho dekh kar mujh ko guzar jaate ho had karte ho nain to yunhi tumhaare hain balaa ke qaatil us pe tum roz sanvar jaate ho had karte ho meri aankhon se bhi aansu nahin girne paate meri aankhon mein Thahar jaate ho had karte ho mere jazbaat mein tum bah to liyaa karte ho kaise dariyaa ho utar jaate ho had karte ho main bhi har roz tiri maan liyaa karti huun tum bhi har roz mukar jaate ho had karte ho teri khushbu ko zamaane se chhupaaun kaise tum jo chup-chaap bikhar jaate ho had karte ho tum to kahte the rabaab ab main tiri maanungaa phir bhi tum der se ghar jaate ho had karte ho"
Fauziya RababFauziya Rabab
Quote
"nazar udaas jigar be-qaraar chup khaamosh tujhe kahaa na abhi sabr yaar chup khaamosh ye manzilon ke sabhi vaahime machaaein shor magar hai kis liye har rahguzaar chup khaamosh vo umr bhar ke liye le gayaa zabaan meri kahaa thaa us ne kabhi ek baar chup khaamosh na tu na teri koi baat naa tiri aavaaz samaan hai aaj bahut sogvaar chup khaamosh abhi samaaatein ghaayal hain talkh lafzon se sadaaein bhi hain baDi taar taar chup khaamosh yahi to hai jo sataataa mujhe nahin tujh saa ye teraa dard baDaa burdbaar chup khaamosh zabaan phisal ke tiri shaan tujh se chhinegi lagaam de tu use mere yaar chup khaamosh 'rabaab' koi dilaasa na hausla maujud zabaan qufl-shuda dil dayaar chup khaamosh"
Fauziya RababFauziya Rabab
Quote
"dil mein Thahraa dard nigoDaa kuza-gar kaise moD pe tu ne chhoDaa kuza-gar main bhi khud se ruThi ruThi rahti huun jab se tu ne mukh hai moDaa kuza-gar ab to bikhre bikhre hain ajzaa mere joDaa thaa to kyun-kar toDaa kuza-gar meri hasti mein bhi teri hasti hai meraa mujh mein kuchh bhi na chhoDaa kuza-gar main ne khud mein teri yaad sajaai hai jab bhi tu ne tanhaa chhoDaa kuza-gar rag rag mein ab mahshar barpaa rahtaa hai dukh thaa pahle bhi kab thoDaa kuza-gar kis ne mujh se chehra meraa chhinaa hai kis ne meraa khuun nichoDaa kuza-gar"
Fauziya RababFauziya Rabab
Quote
"husn-e-saada kaa vaar aankhein hain bin tire be-qaraar aankhein hain meri jaanib hai jo tiraa chehra meri jaanib hazaar aankhein hain aib teraa kahaan chhupegaa ab shahr mein be-shumaar aankhein hain main ne tarz-e-vafaa thaa apnaayaa is liye ashk-baar aankhein hain paarsaai kahaan gai bolo aaj kyon daagh-daar aankhein hain ek naqsha thaa khvaab kaa khinchaa is liye taar taar aankhein hain jaise in mein sahaab rahte hon kitni zaar-o-qataar aankhein hain jin ki taabir mein mile vahshat aise khvaabon pe baar aankhein hain vo jo chehra hi paDh nahin saktin kitni jaahil ganvaar aankhein hain vo nazar aar-paar hoti hai haae kyaa dil-figaar aankhein hain khvaab dekhaa 'rabaab' ne kyunkar is liye su-e-daar aankhein hain"
Fauziya RababFauziya Rabab
Quote
"tum ho meri ziist kaa haasil shahzaade toD na denaa tum meraa dil shahzaade apne andar tum ko dekh rahi huun main aaina hai mere muqaabil shahzaade sim-o-zar par itraate the dekho ab ishq nagar mein ban gae saail shahzaade shahzaadi ne dil haaraa aur jiiti jang maal-e-ghanimat mein tum shaamil shahzaade vasl ki rut kaa ab to istiqbaal karo kuuk rahi hai baagh mein koyal shahzaade shahzaade ye duniyaa fikr mein ghaltaan hai jab se main huun tum par maail shahzaade Dagar Dagar main bhaTak rahi huun aaj talak tujh se bichhaD kar kaisi manzil shahzaade ik jaanib tu dusri jaanib teri 'rabaab' ek zamaana beach mein haail shahzaade"
Fauziya RababFauziya Rabab
Quote
"yunhi dukh ho jaaveinge kam shahzaade aa jaa sukh ke khvaab bunein ham shahzaade apne hosh ganvaa baiThi huun phir se aaj soch rahi huun tujh ko har dam shahzaade shahzaadi ke khvaab azaab na kar jaanaa ho jaaveingi aankhein pur-nam shahzaade meri ruuh mein teri yaad utarti hai haule haule maddham maddham shahzaade aisaa sakht takallum aakhir kyon bolo kyon rahte ho barham barham shahzaade kab tak tanhaa tanhaa TuTein bikhreinge ruuh mein ruuh ko hone de zam shahzaade shahzaade kuchh aur na maange shahzaadi nikle teri baanhon mein dam shahzaade rafta rafta ho gae aakhir tere naam meraa jivan mere mausam shahzaade tujh se hi maanus huaa so tu jaane jag kyaa jaane dil kaa aalam shahzaade aansu tujh ko DhunDein hain divaana-vaar shahzaadi ki aankhein hain nam shahzaade kab tak tanhaa chunti jaae zakhm 'rabaab' rakh miThe lafzon ke marham shahzaade"
Fauziya RababFauziya Rabab
Quote
"main boli tere lab par hai hansi meri vo bolaa mat baDhaao bekali meri main boli shaahzaade mol kyaa meraa vo bolaa shaahzaadi zindagi meri mein boli tirgi har-su ziyaada hai vo bolaa phailne do raushni meri main boli hijr mein kaise jiyoge tum vo bolaa ruk na jaae saans hi meri main boli khvaab kis kaa dekhte ho tum vo bolaa aankh mein dekho kabhi meri main boli kyuun bahut bechain rahte ho vo bolaa qahr hai dil ki lagi meri main boli tum sukhan ke shaahzaade ho vo bolaa tum ho jaanaan shaairi meri main boli zindagi par dukh ke saae hain vo bolaa tum 'rabaab' ab har khushi meri"
Fauziya RababFauziya Rabab
Quote
"zulf-e-mohabbat barham barham mi raqsam vajd mein hai phir chashm-e-pur-nam mi raqsam ishq ki dhun mein aankhein naghma gaati hain ghol mire jazbon mein sargam mi raqsam saaiyaan zakhm tiri hi jaanib takte hain aaj lagaa nainon se marham mi raqsam meri masti mein sarshaari teri hai mere andar tere mausam mi raqsam vahdat kaa ik jaam pilaa de aankhon se ek nazaaraa dekhun paiham mi raqsam aa saanval aa aise aan samaa mujh mein raqsaan hon do ruhein baaham mi raqsam phail gai har gaam 'rabaab' mohabbat yuun mi raqsam mi raqsam raqsam mi raqsam"
Fauziya RababFauziya Rabab
Quote
"mujh ko to kuchh aur dikhaa hai aankhon ke us paar tum batlaao aakhir kyaa hai aankhon ke us paar sapnaa koi bikhar chukaa hai aankhon ke us paar dariyaa jaise TuuT paDaa hai aankhon ke us paar likkhun teraa naam paDhun to saanval teraa naam teraa hi bas naam likhaa hai aankhon ke us paar binaai tere raston ko thaam ke baiThi hai tere ghar kaa dar bhi vaa hai aankhon ke us paar aankhon ke is paar to jaise dariyaa Thahar gayaa lekin sahraa bikhar gayaa hai aankhon ke us paar din taa'bir miri chaukhaT par laa kar rakh degaa raat ne teraa khvaab bunaa hai aankhon ke us paar rakh detaa hai haath aankhon par ghair ko jab bhi dekhun jaane aisaa kaun chhupaa hai aankhon ke us paar us ko jaataa dekh rahi hain hans hans kar ye aankhein jaane kyaa kuchh biit rahaa hai aankhon ke us paar ab tu aa kar dekhegaa to rotaa jaaegaa ham ne aisaa bain kiyaa hai aankhon ke us paar bas ik khvaab ki mayyat hai aur maatam-daari hai ham ne jaa kar dekh liyaa hai aankhon ke us paar ham ne teri aankhon mein rah kar mahsus kiyaa kitnaa dard chhupaa rakkhaa hai aankhon ke us paar ab duniyaa ke chehron mein tujh ko main kyaa dekhun dil ne tujh ko dekh liyaa hai aankhon ke us paar laakh zamaana bech aae tu laakh ho mujh se duur lekin bilkul paas khaDaa hai aankhon ke us paar kyon na har ik jaanib ab shahzaade ki surat ho ham ne us ko naqsh kiyaa hai aankhon ke us paar tujh ko to aabaad lagaa karti hain ye aankhein viraani kaa shahr basaa hai aankhon ke us paar ojhal ojhal rahne vaalaa meri aankhon se mujh se kitni baar milaa hai aankhon ke us paar aankhon se to nikal paDaa hai pal bhar mein lekin aansu kaa saamaan bachaa hai aankhon ke us paar hairaani us paar se aakhir kar baiThi hai kuuch vo kitnaa hairaan khaDaa hai aankhon ke us paar tujh ko bhi sarshaar na kar dein aankhein to kahnaa ek tilism-e-hosh-rubaa hai aankhon ke us paar patthar ho kar rah jaaeingi aankhein muund 'rabaab' ab bhi us kaa khvaab paDaa hai aankhon ke us paar"
Fauziya RababFauziya Rabab