Quote
"shajar-e-umid bhi jal gayaa vo vafaa ki shaakh bhi jal gai mire dil kaa naqsha badal gayaa miri subh raat mein Dhal gai vahi zindagi jo bahar-nafas jo bahar-qadam mire saath thi kabhi meraa saath bhi chhoD kar miri manzilein bhi badal gai na vo aarzu hai na justuju na koi tasavvur-e-rang-o-bu liye dil mein daagh-e-gham-e-khizaan main chaman se duur nikal gai tiri chaal puuri na ho saki tiraa vaar khaali chalaa gayaa zaraa dekh gardish-e-aasmaan ki main girte girte sanbhal gai tiri chaahaton se sanvar gae ye mire jamaal ke aaine main gulaab ban ke mahak uThi main shafaq ke rang mein Dhal gai ye tilism-e-mausam-e-gul nahin ki ye mo'jiza hai bahaar kaa vo kali jo shaakh se gir gai vo sabaa ki god mein pal gai vahi saaat-e-gham-e-aarzu jo hamesha dil mein basi rahi hai khudaa kaa shukr ki 'aafrin' vo hamaare sar se to Tal gai"







