SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKausar Mazhari(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"manzar-e-chashm jo pur-aab huaa jaataa hai chaman-e-dil miraa shaadaab huaa jaataa hai vahi qatra jo kabhi kunj-e-sar-e-chashm mein thaa ab jo phailaa hai to sailaab huaa jaataa hai ek ehsaas thaa jo gham se dabaa rahtaa thaa saaz-e-gham kaa vahi mizraab huaa jaataa hai us ki palkon pe jo chamkaa thaa sitaara koi dekhte dekhte mahtaab huaa jaataa hai vo jo shirin-dahan is shahr mein aayaa hai mire us kaa bolaa huaa shahdaab huaa jaataa hai mujh ko maalum hai girdaab-e-nazar kaa dhokaa jo bhi ahmaq hai vo betaab huaa jaataa hai"
Kausar MazhariKausar Mazhari
Quote
"khelnaa dil ko paDaa har lamha mauj-e-aab se main kahaan niklaa kabhi huun hitaa-e-girdaab se hai farogh-e-tirgi se sab ke chehre par itaab dast-basta maangte hain nuur sab mahtaab se dard kyaa uTThaa ki naghma ban gayaa ehsaas bhi yunhi koi chheD de baaje ko jon mizraab se daulat-e-khvaab-e-pareshaan bhi nashaat-angez hai khil uThaa hai chehra-e-gham dekh mere khvaab se sozish-e-qalb-o-nazar ke vaaste kuchh to karo kuchh to ThanDak le ke aao gulshan-e-shaadaab se aap ko shaayad ye andaaza na ho mujh ko to hai kis qadar raahat mili hai halqa-e-ahbaab se"
Kausar MazhariKausar Mazhari
Quote
"ye to achchhaa hai ki dukh-dard sunaane lag jaao har kisi ko na magar zakhm dikhaane lag jaao niil ke paaniyo raste mein na haail honaa kyaa pata zarb-e-kalimi se Thikaane lag jaao kitni mushkil se to aae ho zaraa Thahro bhi sahl andaaz mein is tarah na jaane lag jaao saamne aao to jaise ki gul-e-tar koi aur tanhaai mein phir ashk bahaane lag jaao mausam-e-dil jo kabhi zard saa hone lag jaae apnaa dil khuun karo phuul ugaane lag jaao aql samjhaae to kuchh laaj rakho us ki bhi jab junun tez ho to khaak uDaane lag jaao kabhi tanhaai mein baiTho to faqat rote raho phir achaanak hi kabhi hansne-hansaane lag jaao bojh dil par hai nadaamat kaa to aisaa kar lo mere siine se kisi aur bahaane lag jaao"
Kausar MazhariKausar Mazhari
Quote
"jaane kis khvaab-e-pareshaan kaa hai chakkar saaraa bikhraa bikhraa huaa rahtaa hai miraa ghar saaraa mutmain ham the bahut jiit hamaari hogi kaise phir aa gayaa narghe mein ye lashkar saaraa baada-e-gham se hai sarshaar miraa baatin bhi aur isi gham se ujaalaa hai ye baahar saaraa main ne maangi thi duaa TuuT ke barse baadal ab jo barsaa hai to barsaa hai ye chhappar saaraa mausam-e-abr ki to baat yunhi aai thi kyuun sharaabor huaa aap kaa paikar saaraa main ne sochaa ki sataaegi bahut pyaas mujhe pi gayaa jhonk mein bas aa ke samundar saaraa"
Kausar MazhariKausar Mazhari
Quote
"kaun si duniyaa mein huun kis ki nigahbaani mein huun zindagi hai sakht mushkil phir bhi aasaani mein huun chaand hai paani mein yaa bhule hue chehre kaa aks saahil-e-dariyaa pe dekho main bhi hairaani mein huun qatra-e-shabnam ke bhi ehsaan yaad aane lage honT sukhe jaa rahe hain jab se main paani mein huun bhuli-bisri yaad ik aai hai mere dil ke paas main bhi goyaa aaj kal is dil ki darbaani mein huun ai khizaan kuchh der ko ye fasl-e-gul jiine to de aaj-kal masruf main bhi chaak-daamaani mein huun"
Kausar MazhariKausar Mazhari
Quote
"ye chehra hai gul hai ye gulshan hai kyaa hai saveraa hai shabnam hai darpan hai kyaa hai chali hai ye khushbu tire gesuon se tiri yaad hai teraa daaman hai kyaa hai kiran husn ki chhan ke aane lagi hai ye parda hai aanchal hai chilman hai kyaa hai nazar jhuk rahi hai khamoshi hai lab par hayaa hai adaa hai ki an-ban hai kyaa hai ye sharm aur tabassum ye aankhon mein kaajal adaa hai kali hai ki bachpan hai kyaa hai akele mein ye phuTti naghmagi si ye aahaT hai koyal hai dhaDkan hai kyaa hai nami hai fazaaon mein 'kausar' ji kahiye ye gesu hai baadal hai saavan hai kyaa hai"
Kausar MazhariKausar Mazhari
Quote
"ab ye bachche nahin bahlaave mein aane vaale kal bhi aae the idhar khel dikhaane vaale ek muddat se khamoshi kaa hai pahra har-su jaane kis or gae shor machaane vaale hu kaa aalam jo thaa pahle vo hai qaaem ab bhi ghumte thak gae basti ko jagaane vaale ishq ki aag ne jalvaon ko javaan rakkhaa hai log baaqi hain abhi naaz uThaane vaale us kaa har tir-e-nazar dil mein utar jaataa hai yuun to dekhe hain bahut ham ne nishaane vaale jis ko karnaa thaa yahaan kaam vo to kar bhi gae rat-jagaa karte rahe Dhol bajaane vaale ab to sahraa mein samundar kaa sakun dar aayaa jab se anqaa hue hain khaak uDaane vaale"
Kausar MazhariKausar Mazhari