SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"giit khvaabon ki tarah duur se chal kar aae raat aai to ujaalon ke payambar aae gham ki qindil jalaao ki bahut mumkin hai koi mehmaan sar-e-shaam mire ghar aae apne bichhDe hue suraj kaa khayaal aate hi saamne vaqt ke taarik samandar aae zehn mafluj rivaayat ki thakan chehron par haae kis shaan se mahfil mein sukhanvar aae tanz karne miri jalti hui tanhaai par aarzuon ke taraashe hue paikar aae log phirte hain yahaan harf-e-malaamat ki tarah zindagaani kaa yaqin aae to kyunkar aae dil mein is tarh ruke dard-e-vafaa ke lamhe jis tarah shahr mein changez kaa lashkar aae jis taraf majma’-e-ahbaab khaDaa thaa 'jaami' ham pe aae to usi samt se patthar aae"
Khurshid Ahmad JamiKhurshid Ahmad Jami
Quote
"vafaa ne jhuum ke jab tere giit gaae hain qadam ufuq pe andheron ke laDkhaDaae hain tire qarib pahunch kar bhi kam nahin hote gham-e-hayaat ne jo faasle baDhaae hain bahut tavil sahi raah-e-justuju lekin bahut hasin tire gesuon ke saae hain tiri nigaah mudaavaa na ban saki jin kaa tiri talaash mein aise bhi zakhm khaae hain paDaa hai 'aks jo rukhsaar-e-shola-e-mai kaa to aaine tiri yaadon ke jagmagaae hain musaafiraan-e-shab-e-gham ki raah mein 'jaami' nae charaagh miri fikr ne jalaae hain"
Khurshid Ahmad JamiKhurshid Ahmad Jami
Quote
"taa-hadd-e-nazar koi makaan hai naa makin hai dil vaqt ke maqtul fasaanon ki zamin hai auraaq-e-bahaaraan ko phir ik baar ulaT kar dekho to sahi naam hamaaraa bhi kahin hai is tarah bhaTaktaa huun akelaa hi akelaa jaise ye miraa shahr miraa shahr nahin hai jalte hain charaaghon ki tarah gham ke andhere jab se mire hamraah koi shoala-jabin hai har samt zamaane ki vahi dhuul hai lekin har shakl tire pyaar ki dil-daar-o-hasin hai chhaai hain jahaan zulf-e-moambar ki ghaTaaein shaayad mire giton kaa nayaa des vahin hai yaadon ke shabistaan se bulaataa nahin koi khvaabon ke dariche mein koi shama nahin hai tu aur bhi raahon se miri duur huaa hai tu aur bhi mujh se mire giton se qarin hai sadiyon se isi tarh bhaTakti hai khudaai sadiyon se isi tarh khudaa arsh-nashin hai haalaat ke baDhte hue pathraav mein 'jaami' kuchh aur mujhe azmat-e-hasti kaa yaqin hai"
Khurshid Ahmad JamiKhurshid Ahmad Jami
Quote
"gul-ba-daamaan na koi shoala ba-jaan hai ab ke chaar su vaqt ki raahon mein dhuaan hai ab ke shaam-e-hijraan jise haathon mein liye phirti hai kaun jaane ki vo tasvir kahaan hai ab ke zindagi raat ke phaile hue sannaaTe mein duur haTte hue qadmon kaa nishaan hai ab ke teri palkon pe koi khvaab laraztaa hogaa mere giton mein koi dard javaan hai ab ke ek ik saans pe dhokaa hai kisi aahaT kaa ek ik ghaav ujaalon ki zabaan hai ab ke sahn-e-gulshan hai bahaaron ke lahu se rangin shaakh-e-gul hai ki bas ik tegh-e-ravaan hai ab ke jo kabhi husn ke honTon pe na aayaa 'jaami' haae vo harf-e-tasalli bhi garaan hai ab ke"
Khurshid Ahmad JamiKhurshid Ahmad Jami
Quote
"suraj saron pe aag ugaltaa dikhaai de mujh ko ye shahr aaj pighaltaa dikhaai de vo saamne rakhaa hai koi khat khulaa huaa vo duur koi chaand nikaltaa dikhaai de kis ke qarib jaaiye kis ko pukaariye har shakhs apnaa ruup badaltaa dikhaai de main is nadi ko paar to kar jaaungaa magar aage koi charaagh to jaltaa dikhaai de ye reg-zaar-e-gham ye khayaalon ki tez dhuup jo zad mein aa gayaa vo pighaltaa dikhaai de ghar ho ki raasta ho ik aaseb har jagah tanhaaiyon kaa zahr ugaltaa dikhaai de aavaaz de ki raat ke unche pahaaD se khvaabon kaa paanv aaj phisaltaa dikhaai de 'jaami' miri nazar mein zamaana hai is tarah phulon ko jaise koi masaltaa dikhaai de"
Khurshid Ahmad JamiKhurshid Ahmad Jami
Quote
"mahak uTThaa yakaayak regzaar-e-dard-e-tanhaai kise ai yaad-e-jaanaan tu yahaan tak DhunDne aai baDe dilchasp vaa'de the baDe rangin dhoke the gulon ki aarzu mein zindagi sho'le uThaa laai bataao to andheron ki fasilon se pare aakhir kahaan tak qaafila guzraa kahaan tak raushni aai tumhaare baa'd jaise jaagtaa hai shab kaa sannaaTaa dar o divaar ko detaa hai koi izn-e-goyaai sunaa hai saaya-e-rukhsaar mein kuchh der Thahri thi vahin se jagmagaate khvaab le kar zindagi aai"
Khurshid Ahmad JamiKhurshid Ahmad Jami
Quote
"ho gayaa ab to khayaalon kaa safar bhi dushvaar duur tak raah mein hai khud miri shohrat kaa ghubaar apne khvaabon ko liye ghar se na baahar niklo chaar-su shahr mein hai naachte shoalon ki qataar baarhaa niind se yuun chaunk uThaa huun jaise mere bistar pe tiri yaad hui hai bedaar main samajhtaa huun ki ab sirf kutub-khaanon mein munh zamaane se chhupaae hue baiThi hai bahaar ruuh ke zakhm ubharte hain savaalon ki tarah main kahin teri khudaai se na kar duun inkaar tez-rau vaqt ki aandhi mein kahaan tak aakhir kaam aaegi umidon ki ye kachchi divaar ek sailaab-e-havaadis kaa nishaan hain 'jaami' aur kyaa hain mire likkhe hue saare ashaar"
Khurshid Ahmad JamiKhurshid Ahmad Jami
Quote
"do-ghaDi qaafila-e-dard ko Thahraayaa hai baat ye hai ki mujhe teraa khayaal aayaa hai ik nae daur ki aavaaz samajh kar mujh ko asr-e-haazir ne baDe pyaar se apnaayaa hai kitni raaton ko tire dard ki daulat bakhshi kitni raahon ko tire naam se chamkaayaa hai dil ki galiyon se guzarte hue dekhaa hai tujhe yaa kisi yaad ki divaar tale paayaa hai mausam-e-gul bhi jab aayaa hai to aate aate rahguzaaron se kaDi dhuup uThaa laayaa hai tujh ko paa kar tujhe khone ki tamanna ki hai haae kis moD pe haalaat ne pahunchaayaa hai vaqt bichhDaa hai to paighaam-e-vafaa chhoD gayaa chaand Duubaa hai to siine mein utar aayaa hai jaise uktaa ke mah-o-mehr ke hangaamon se aaj phir koi andheron mein chalaa aayaa hai us ne mujh se bhi sivaa pyaar kiyaa hai mujh se umr-bhar jis ne mujhe pyaar ko tarsaayaa hai vaqt ki tez-ravi dekh ke yuun lagtaa hai jaise maqtal se koi jaan bachaa laayaa hai zehn mein koi daricha to khulaa hai 'jaami' dasht-e-hijraan mein koi khvaab to lahraayaa hai"
Khurshid Ahmad JamiKhurshid Ahmad Jami
Quote
"taarikh ki javaan umidon ke ru-baru jalte rahe bahaar ke aivaan-e-rang-o-bu tu hi to hai ki ab mujhe pahchaantaa nahin haalaanki mere dil mein dhaDaktaa rahaa hai tu ab zindagi ke naam pe yuun chaunktaa huun main jaise nayaa khayaal hai mauzu-e-guftugu kal do-ghaDi guzaar ke zulfon ki chhaanv mein main aaj dar-ba-dar huun miraa zikr ku-ba-ku jo zahr hai salib hai khanjar ki pyaas hai vo khvaab le chalaa huun zamaane ke ru-baru raas aa gayaa hai vaqt ke zakhmon kaa raasta kyaa kijiye hasin sitaaron ki justuju ye mai-kade ki shaam bhi kitni udaas hai ahbaab kaa khulus na rindon ki haao-hu phir dil ke aas-paas koi sham’ to jale phir maang lo kisi se koi zakhm-e-aarzu ye bhi durust hai ki tujhe main bhulaa chukaa ye bhi ghalat nahin ki miri zindagi hai tu shaayad vahin se ho ke saveraa guzar gayaa bikhre hue paDe hain jahaan khvaab-e-aarzu me’yaar-e-fan kaa qarz chukaane ke vaaste 'jaami' diyaa hai main ne shab-o-roz kaa lahu"
Khurshid Ahmad JamiKhurshid Ahmad Jami
Quote
"jaagte gham bhi nahin jhumte saae bhi nahin saath apne bhi nahin aur paraae bhi nahin sina-e-saaz mein vo giit sulag uTThe hain pyaar ban kar jo lab-e-saaz pe aae bhi nahin zindagaani to kharidaar-e-sitam hai lekin tum ne baazaar salibon ke sajaae bhi nahin kuchh iraade mire giton ki thakan hain ab bhi kuchh fasaane tiri aankhon ne sunaae bhi nahin dhuup sochon ke dar-o-baam tak aa pahunchi hai aur aise mein tiri yaad ke saae bhi nahin aarzuon ke umangon ke mazaaron pe kahin gham-e-'ayyaam ne do phuul chaDhaae bhi nahin vaqt ki raah mein anjaan nazar aate hain varna ye log kuchh itne to paraae bhi nahin duur ke des ki pariyon kaa bharosa kyaa thaa ham ne khvaabon ke nae diip jalaae bhi nahin zindagaani ke hasin shahr mein aa kar 'jaami' zindagaani se kahin haath milaae bhi nahin"
Khurshid Ahmad JamiKhurshid Ahmad Jami
Quote
"zamin pe chaand utartaa dikhaai detaa hai tiraa khayaal bhi tujh saa dikhaai detaa hai jo saath le ke chalaa thaa hazaar hangaame vo shakhs aaj akelaa dikhaai detaa hai havaa chali to andheron ki aag tez hui har ek khvaab pighaltaa dikhaai detaa hai ye shahr hain ki sadaaon ke gunjte jangal naa koi jism naa chehra dikhaai detaa hai badalte jaate hain alfaaz suratein apni chalo to ye bhi tamaasha dikhaai detaa hai baDe ajiib hain ye dard-o-gham ke rishte bhi ki jis ko dekhiye apnaa dikhaai detaa hai jo ham nahin to vahaan aur koi ham jaisaa ghamon ki dhuup mein jaltaa dikhaai detaa hai nahaa rahe hain badan vaqt ke ujaalon mein dilon ke paas andheraa dikhaai detaa hai dayaar-e-shauq ho yaa dasht-e-be-karaan 'jaami' kahaan kahaan koi tanhaa dikhaai detaa hai"
Khurshid Ahmad JamiKhurshid Ahmad Jami
Quote
"kyuun chaand ko samjhe koi paighaam kisi kaa sahraa ki kaDi dhuup bhi hai naam kisi kaa TuuTi hui ik qabr ke katbe pe likhaa thaa ye chain kisi kaa hai ye aaraam kisi kaa khvaabon ke dariche mein ho jaise koi chehra yuun dard nikhartaa hai sar-e-shaam kisi kaa ghazlon pe bhi hotaa hai kisi shakl kaa dhokaa taaron ko bhi detaa huun kabhi naam kisi kaa taarikh ke phaile hue safhaat pe jaise zakhmon ki numaaish hai faqat kaam kisi kaa haathon ki lakirein hain ye viraan si raahein sukhe hue patte hain ye anjaam kisi kaa 'jaami' jo utar jaae andheron ke badan mein vo shoala-e-takhliq hai inaam kisi kaa"
Khurshid Ahmad JamiKhurshid Ahmad Jami
Quote
"tumhaare dard ko suraj kahaa hai nayaa uslub ghazlon ko diyaa hai sahar ke raaste mein sar uThaae andheron kaa vahi parbat khaDaa hai bahut kuchh jo kitaabon mein nahin thaa vo chehron ki lakiron mein paDhaa hai koi vahshat-zada zakhmi iraada tabassum ban ke lahraataa rahaa hai bataao naam bhi hai kuchh tumhaaraa miraa saaya mujhi se puchhtaa hai mujhe apnaa samajh kar zindagi ne khud apne aap ko dhokaa diyaa hai dar-o-divaar se har roz 'jaami' vahi be-rang afsaana sunaa hai"
Khurshid Ahmad JamiKhurshid Ahmad Jami