SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKrishna Mohan(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"hayaat ik silsila hai aashufta-jaaniyon kaa milaa mujhe khuub ye sila jaan-fishaaniyon kaa fareb-deh hai junun baqaa ki nishaaniyon kaa ye ‘aalam-e-aab-o-gil hai ijlaas faaniyon kaa nigaah-afroz kaif-andoz-o-‘aish-aamoz hai ek sail-e-nashaat uThti javaaniyon kaa junun-e-shaa'ir shu'ur-e-'aalim riyaaz-e-‘aabid hai sab ko andaaz apni apni ravaaniyon kaa bashar ke dil mein falak ki nilaahaTon ki aahaT zamin ki halchal fusun samundar ke paaniyon kaa mujhe ye Dar hai kahin na ho shahr-shahr charchaa tiri jafaa ki miri vafaa ki kahaaniyon kaa ye aadmi aadmi ke biich unch-nich yaarab banaa hai ye tafraqa tamaashaa jahaaniyon kaa visaal mein ham the itne madhosh jaante kyaa ki soz-e-hirmaan hai maa-hasal shaadmaaniyon kaa hayaat aur maut hain tiri dilbari ke ghamze tamaashaa-gah hai jahaan tiri dil-sitaaniyon kaa ye garm aansu ye sard aahein hazin nigaahein khayaal rakhnaa miri vafaa ki nishaaniyon kaa vo kaise mere dil-e-shikasta kaa dard jaanein hujum hai jin ki zindagi kaamraaniyon kaa kahaan hai chaahat ki dilkash-o-dil-navaaz ranjish hai tazkira har jagah tiri mehrbaaniyon kaa udaas hairaan shabaab meraa hadaf rahaa hai tumhaari raaton ki dil-shikan sargiraaniyon kaa vo shor uThaa laa-shu’ur ki nannhi bastiyon mein ghurur TuuTaa shu'ur ki raajdhaaniyon kaa panaah deti hai paap ko kyon vishaal dharti vichaar aisaa samajh kaa hai pher gyaaniyon kaa ye kaisi biptaa paDi hai sansaar par ki ai dil na dhiir qaaem na dhyaan baaqi hai dhyaaniyon kaa main us pe shaidaa huaa huun muddat se 'krishn-mohan' jo dil mein ras gholtaa hai shirin-bayaaniyon kaa jadid raahon kaa shokh raahi hai 'krishn-mohan' vo ham-navaa hai nae tamaddun ke baaniyon kaa"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"ai asir-e-yaas kasrat ki hai tujh ko ehtiyaaj khubsurat auraton kaa qurb hai teraa 'ilaaj kaisi mushkil mein hai duniyaa-daar insaan kyaa kare ik taraf khvaahish ki shiddat ik taraf hai lok laaj dosto is haal mein jiinaa paDegaa kab talak zehn-o-dil par ek muddat se hai maayusi kaa raaj ham to us ko maante hain jaante hain us ko mard jo ki dushman se bhi le tausif-o-tahsin kaa khiraaj 'krishn-mohan' hiddat-e-gham se phunkaa hai tan-badan aur mere haal par hanstaa hai ye zaalim samaaj"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"yaas-o-gham mein ai milan ki aas ke aansu chamak 'aql ki zulmat mein ai ehsaas ke jugnu chamak dil rahin-e-yaas hai mahsus hoti hain udaas chaandni shokhi hayaa shabnam adaa khushbu chamak phiki phiki be-maza be-nur si hai zindagi 'aql ki shokhi damak ai husn ke jaadu chamak apni chanchaltaa se mere pyaar ko chamkaa gai tere albele nashile ruup ki dil-ju chamak haar kar tadbir ne taqdir se kah hi diyaa maan bhi jaa main to chamki huun bahut ab tu chamak zindagi mein ho kabhi to koi hangaama bapaa jazba-e-aavaara-o-shokh-e-dil-e-yaksu chamak aise chamkaataa hai qalb-e-zaar ko teraa khayaal jaise dasht-e-tira ko de dida-e-aahu chamak chirnaa hai be-hisi ki gahri zulmat ko tujhe aur abhi is taur se ai dashna-e-abru chamak tere tevar zevar-e-ehsaas hain almaas hain yaad ke kohre mein soz-o-kaavish-e-pahlu chamak ai fusun-e-raaz jalvat-saaz ai khalvat-navaaz pyaar ki aavaaz paa-e-naaz ke ghunghru chamak 'krishn-mohan' ke dukhi man par andheraa chhaa gayaa ruup ki dhuup ai birah ke dard ki daaru chamak"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"milaa ek guuna sukun hamein jo tumhaare hijr mein ro liye zaraa baar-e-qalb subuk huaa kai daagh dard ke dho liye ho nashaat-e-dil ki malaal-e-dil hamein pesh karnaa jamaal-e-dil kabhi hans ke phuul khilaa liye kabhi roke moti piro liye hai rahin gham miri justuju ye hai kaisaa gulshan-e-rang-o-bu yahaan kuchh gulo ki talaash mein kai khaar main ne chubho liye kai umr dauDte-bhaagte rahe yuun to shab ko bhi jaagte kabhi thak gae to Thahar gae kabhi niind aai to so liye sabhi log mast-e-shuur hain ki khudi ke nashshe mein chuur hain koi gham-shanaas nahin yahaan gham-e-dil kisi pe na kholiye ye unhin kaa nuur hai jis mein ham chale hausle se qadam qadam jo sarishk gham ke bahaa liye jo diye vafaa ke sanjo liye"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"maddham ho gae apne sapne be-dam ho gaiin apni talaashein viraan dil mein dafn hain kitni rangin ummidon ki laashein paiham apne ashk bahe hain dil ne kyaa kyaa jaur sahe hain aafaat-e-naagaah ke charke logon ke taa’non ki kharaashein har jaa zikr miri nikhat kaa har jaa mahrumi kaa charchaa duniyaa mein badnaam hui hain qismat se meri parkhaashein husn kaa josh na 'ishq ki garmi mahv hue saare hangaame be-jaan murda sard fasurda ziist ke lamhe barf ki qaashein kis ne meri biptaa rad ki kis ne meraa haath haTaayaa ab kyon sab apne begaane taa'ne dein ilzaam taraashein"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"dui kaa naqsh fanaa ho to lutf aa jaae anaa mein rang-e-ghinaa ho to lutf aa jaae hamaare jazb-e-darun ke liye dil-e-dauraan tamaam madh-o-sanaa ho to lutf aa jaae umang sang rahe zindagi mein rang rahe zamaana dost banaa ho to lutf aa jaae shab-e-visaal ba-roab-e-jamaal kaafir kaa anaa mein siina tanaa ho to lutf aa jaae milan ki shaam badan jaam kaam-ras ho tamaam vo ruuTh kar jo manaa ho to lutf aa jaae ghurur-e-husn mire shoK-e-fitna-saamaan kaa fanaa na ho jo fanaa ho to lutf aa jaae kaDaa safar hai kaDi dhuup hai umangon ki kahin jo saaya ghanaa ho to lutf aa jaae kisi bhi desh mein dharti ne ranj-o-gham sah kar jo koi viir janaa ho to lutf aa jaae khirad kaa ghor andheraa hai man ki chilman mein junun kaa nuur chhanaa ho to lutf aa jaae junun-taraaz koi sher 'krishn' mohan kaa fusun-e-raaz banaa ho to lutf aa jaae"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"naala-e-subh ke baghair giriya-e-shaam ke baghair hotaa nahin visaal-e-yaar soz-e-davaam ke baghair tu ne agar kiyaa na yaad shaq rahegaa naa-muraad kaise kaTegi zindagi tere payaam ke baghair hai ye miraa hi hausla kartaa huun roz saamnaa gardish-e-subh-o-shaam kaa gardish-e-jaam ke baghair arsa huaa vo fitnagar aayaa nahin kabhi idhar suuni paDi hai rah-guzar husn-e-khiraam ke baghair kaif-e-nashaat dam-ba-dam chumtaa hai mire qadam chaltaa nahin huun ek gaam aap ke naam ke baghair jab bhi mile vo naa-gahaan jhuum uThe hain qalb o jaan milne mein lutf hai agar milnaa ho kaam ke baghair mere junun ke faiz se garmi-e-shauq aa gai sard thi mahfil-e-tarab mere kalaam ke baghair"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"ham to ab jaati rutein hain ham se ye ighmaaz kyuun jurm kyaa ham ne kiyaa hai aap hain naaraaz kyuun maal-o-zar se bahra-e-vaafir na denaa thaa agar ai khudaa tu ne diyaa mujh ko dil-e-fayyaaz kyuun rishta-e-zar rishta-e-khun se hai baDh kar mo'tabar varna chaahat ke liye qarzaa bane miqraaz kyuun khesh-bini jab ki is kaa kesh-e-kam-andesh thaa dosti kaa paas kartaa banda-e-aghraaz kyuun kyaa nai tahzib hai takzib-e-aqdaar-e-salim shahr mein phaile hue hain jins ke amraaz kyuun lutf-andoz-e-riyaaz-e-dahr kyuun hote nahin daavaraa kam-zarf hote hain tire martaaz kyuun kuchh haqaaeq ko agar main ne kiyaa hai be-naqaab ho gae naaraaz mujh se sher ke nabbaaz kyuun puchhte hain de ke mujh ko dost-daari kaa fareb 'kirshn'-mohan doston se is qadar e'raaz kyuun"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"koi ummid na bar aai shakebaai ki is ne baaton mein bahut haashiya-aaraai ki ishq din-raat rahaa kaif-o-tarab mein sarshaar husn ne saltanat-e-ishq pe daaraai ki na milaa par na milaa apne masaail kaa hal aastaanon pe bahut ham ne jabin-saai ki aah ai soz-e-darun mere junun se ab tak manzilein sar na huiin baadiya-paimaai ki soch kaa loch kabhi un ko mayassar na huaa baaz logon ne faqat qaafiya-paimaai ki kaar-e-bekaar hui bus mein safar kartaa huun ye bhi ik surat-e-be-kaif hai mahngaai ki sher kahtaa rahun bahtaa rahun apni rau mein chheD chalti rahe ehsaas ki purvaai ki ek sher aur sunaa de ki zamaane bhar mein dhuum hai tere taghazzul ki tavaanaai ki tang-zarfi hai mire vahm kaa Thahraa paani Thahre paani pe jami kaai hai khud-raai ki vaa dareghaa ki zaraa qadr na ki duniyaa ne 'krishn-mohan' tire irfaan ki gahraai ki"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"niind ki goliyaan khaa ke sotaa hai vo raat-bhar kitnaa madhosh hotaa hai vo rone vaalon pe hansnaa thaa us kaa chalan aaj kyon hansne vaalon pe rotaa hai vo apne isyaan ke daaghon ko shaam-o-sahar ashk-haa-e-nadaamat se dhotaa hai vo vaahimon vasvason mein ulajh kar abas jaan khotaa hai dil ko Dubotaa hai vo meri aafaat mein apni har baat mein tanz-o-taana ke nashtar chubhotaa hai vo jhuuT bhi us kaa maalum hotaa hai sach daastaan mein haqiqat samotaa hai vo kyon na paae muraad apni mard-e-amal kisht-e-ummid mein azm botaa hai vo mahfilon kaa tamannaai hai aadmi apne jism-e-javaan ko sanjotaa hai vo 'krishn-mohan' ke azkaar ki baat kyaa sher kahtaa hai moti pirotaa hai vo"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"aarzu tadbir ho kar rah gai justuju taakhir ho kar rah gai sard sannaaTaa musallat ho gayaa be-hisi zanjir ho kar rah gai soch ki aavaaz kitni tez hai khaamushi taqrir ho kar rah gai jab bhi ki tahrir apni daastaan teri hi tasvir ho kar rah gai kaaT hai alfaaz ki kitni shadid guftugu shamshir ho kar rah gai aah ye din rain ki bechain soch jo miri taqdir ho kar rah gai said-e-takhrib-e-khirad hai zindagi hasrat-e-taamir ho kar rah gai harf-e-sanjida thi rudaad-e-khirad kitni be-taasir ho kar rah gai ahd-e-haazir ki kitaabi shaairi fikr ki jaagir ho kar rah gai mere fikr-o-fan ki azmat aakhirash shokhi-e-tahrir ho kar rah gai 'kirshn' mohan khvaab ki taabir bhi dard ki tafsir ho kar rah gai"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"apne partav hi mein khaaliq ne banaayaa hai mujhe zo'm-e-daaraai isi vajh se aayaa hai mujhe kis kaa gham huun ki mashiyyat ne manaayaa hai mujhe kis kaa dil huun ki do-‘aalam se lagaayaa hai mujhe mahv-e-hairat hai tiri sho’bada-baazi par dil ye banaayaa hai ki is taur miTaayaa hai mujhe yaas aur aas kaa ik soz-bharaa naghma huun saaz-e-ehsaas pe armaanon ne gaayaa hai mujhe chand lamhaat ki sathi si masarrat ke liye laal angaaron pe khvaahish ne nachaayaa hai mujhe hasrat-o-ranj ho yaa ‘ishrat-o-sar-masti ho ek hi rang mein ahbaab ne paayaa hai mujhe dam to lene do zaraa Thahro bhayaanak sapno thapkiyaan de ke umidon ne sulaayaa hai mujhe saahabo ku-e-malaamat mein nadaamat kaisi shauq-e-rusvaai yahaan khinch ke laayaa hai mujhe dil kahe main huun fasurda miraa hansnaa maa'lum vo kharaaba huun ki hasrat ne basaayaa hai mujhe roz-o-shab phirtaa huun aashufta-sar-o-aavaara is qadar teri mohabbat ne sataayaa hai mujhe aankhein chanchal hain magar man hai miraa bairaagi 'krishn-mohan' ye milan moh ki maayaa hai mujhe"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"albeli kaamni ki nashili ghaDi hai shaam sar mastiyon ki sej pe nangi paDi hai shaam bekal kiye hai rain ke rasiyaa kaa intizaar ghamgin hai husn-e-shokh ki hairaan khaDi hai shaam chamkaa diyaa hai is ke sharaaron ne fikr ko ehsaas-e-ishq-o-husn ki ik phuljaDi hai shaam taabaan hai teraa chehra ki hai jalva-e-sahar rakhshaan hai teri maang ki taaron jaDi hai shaam ruThe hue dilon ko bhi is ne manaa liyaa man-mohni hai kaamni chanchal baDi hai shaam jaane kab aae aaj saa hangaam-e-dil-navaaz yaaro uThaao jaam ghaDi do ghaDi hai shaam"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"bhaTak ke raah se ham sab ko aazmaa aae fareb de gae jitne bhi rahnumaa aae ham un ko haal dil-e-zaar bhi sunaa aae Kamala-e-jurat-e-izhaar bhi dikhaa aae karein to kis se karein zikr-e-khaanaa-viraani ki ham to aag nasheman ko khud lagaa aae khayaal-e-vasl mein rahte hain raat bhar bedaar tumhaare hijr ke maaron ko niind kyaa aae rahin-e-aish-o-tarab hain jo roz o shab un ko pasand kaise mire gham kaa maajraa aae kabhi hamein bhi mayassar ho ruThnaa un se kabhi hamaare bhi dil mein ye hausla aae har ik se puchhte hain haal kirshn 'mohan' kaa jise adaa-e-sitam se vo khud miTaa aae"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"manzil hai duur kuuch kaa saamaan kijiye dushvaar hai safar ise aasaan kijiye ye ‘aql ki hai baat ise maan lijiye jiinaa hai to samaaj se paimaan kijiye kasb-e-kamaal-e-fan kaa hai ye avvalin chalan har aan apne aap ko qurbaan kijiye irshaad hai ye ghaalib-e-daanaa-e-raaz kaa pindaar kaa sanam-kada viraan kijiye meraa junun hi ku-e-malaamat ki jaan hai mere fusun-e-shauq ko pahchaan lijiye rang-e-malaal ko nahin kaif-e-nashaat ko afsaana-e-hayaat kaa ‘unvaan kijiye shaayad gudaaz-e-‘ishq se ho jaae aashnaa naaseh ki nazr 'mir' kaa divaan kijiye kahti hai ramz-o-raaz se us ki nigaah-e-naaz mujh par nisaar mazhab-o-imaan kijiye aahang-o-rang-e-kufr hai is ki mataa-e-shauq urdu ko bakhshiye na musalmaan kijiye khu-e-vafaa mein ho vo azimat kaa baankpan rasm-e-jafaa se un ko pashemaan kijiye duniyaa dani hai har sag-e-duniyaa ke saamne kyon apne soz-e-ishq kaa e'laan kijiye insaan ki hast-o-bud kaa hai aur kyaa javaaz apni numud se ise hairaan kijiye turfa-sitam agar ki ho shaitaan hukmaraan hai maslahat ki taa’at-e-shaitaan kijiye ham-maa’ni-e-sitam hai ye tamkin-numaa karam ehsaan na kijiye yahi ehsaan kijiye kyaa mard-e-be-niyaaz ko e’zaaz ki havas mere liye na dil ko pareshaan kijiye"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"tufaan kaa tikhaa-pan is ke andar hai dil kyaa ye to ik mavvaaj samundar hai naach rahaa hai jis ke ishaaron par sansaar ek madaari hai vo mast qalandar hai halchal paidaa kar rakkhi hai duniyaa mein go insaan hain asl hamaari bandar hai khel rahaa hai maayaa kaa albelaa khel machlaa machlaa man to ek machhandar hai faqr-o-ghinaa mein bhi hai zuhur-e-kaif-e-anaa har darvesh ba-zo’m-e-khvesh sikandar hai har praani hai ishvar hi kaa rup-anup samjho to saaraa sansaar ik mandar hai parbat parbat DhunD rahaa hai jis ko tu vo jyoti ai jogi tere andar hai"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"samay kahaan thaa ki ham teri aarzu karte hayaat biit gai apni justuju karte talaash-e-yaar-e-tarahdaar ku-ba-ku karte taras gayaa huun tamannaa-e-rang-o-bu karte jamaal dekh ke teraa araq araq hotaa agar tujhe kabhi ham gul ke ru-baru karte ye aur baat ki main sarfaraaz ho na sakaa tamaam umr kaTi koshish-e-numu karte tumhaare dil ke bharam aur bhed khul na sake kabhi to ham se bhi tum khul ke guftugu karte agar ye jaante ham teraa dil na pighlegaa tiri talaash mein kyon apnaa dil lahu karte ba-faiz-e-hosh agar apnaa gham ghalat hotaa kabhi na aarzu-e-saaghar-o-subu karte panap na paae rivaayat-parast suukh gae qadim rang ki taqlid hu-bahu karte duaa-e-maghfirat-e-dil qubul ho jaati jo ashk-haa-e-nadaamat se ham vuzu karte adaa-e-naaz se komal badan ki khushbu se mujhe jo aap sar-afraaz surkh-ru karte hamein uruj-o-faraaz-e-junun kahaan miltaa agar na ishq mein nilaam aabru karte havas hamaari mohabbat se bhi ubhar aai kahaan tak apni kasaafat ki shust-o-shu karte ba-rang-e-'mir' chamak uThte ‘krishn-mohan’ ham jo sarf khuun ghazal mein kabhu kabhu karte"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"sambhlein to machalte rahte hain machlein to sanbhalte rahte hain ham log kaThin raahon par bhi hanste hue chalte rahte hain is kaif-o-rang ki duniyaa mein armaan machalte rahte hain nis-din apne man nainan mein kuchh sapne palte rahte hain ye hasti hai har roz nai ham aankhein malte rahte hain ye sach hai apne zehn-o-dil machlein to bahalte rahte hain ham shama ki surat raaton ko be-khvaab pighalte rahte hain siine mein aashaaon ke diye har rang mein jalte rahte hain jo har dam ranj-o-raahat ke saanchon mein Dhalte rahte hain har rang hamein raas aataa hai yuun phulte phalte rahte hain rangon kaa lutf uThaane ko ham rang badalte rahte hain pathraai hui aankhon se kyon favvaare ubalte rahte hain hairaan huun sard ehsaas se bhi kyon shoale nikalte rahte hain mere liye shital baadal bhi ik aag ugalte rahte hain kyon vaqt ki lau sanvlaane ko ham log machalte rahte hain ham to lamhon ke patangon ko din raat masalte rahte hain ham 'krishn-mohan' masti mein har aan machalte rahte hain"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"yaas kahti hai ujaale se andhere ban jaa aas kaa hukm hai chaahat kaa saveraa ban jaa husn-e-pur-kaif se kar raam dil-e-ahl-e-zamaan gher le saaraa jahaan zulf kaa gheraa ban jaa kyaa sitam hai ki mire saada-o-bekas dil ko havas-e-maal kaa farmaan hai luTeraa ban jaa main ne kab tujh se kahaa tark-e-tamannaa kar ke ai dil-e-zaar kisi bhuut kaa Deraa ban jaa thaamnaa hai tujhe ik dushman-e-bad-tinat ko parcham-e-hind shujaa'at kaa phareraa ban jaa be-niyaazaana guzar jaada-e-rang-o-bu se ai mire jazba-e-dil jog kaa pheraa ban jaa zarb duniyaa pe lagaa kar ise taabe' kar le is kaa dil jiit andhere mein saveraa ban jaa zakhmi naagin ki tarah maarti hai phan duniyaa is se bachne ke liye ek saperaa ban jaa machhliyaan DhunDte moti bhi mayassar honge ghuum dariyaaon mein bebaak machheraa ban jaa 'krishn-mohan' ke dukhi man sabhi bandhan taj kar jis mein sukh-chain ho vo rain-baseraa ban jaa"
Krishna MohanKrishna Mohan
Quote
"muqaavamat hai tiraa ghurur aur bad-kalaami mufaahamat hai hamaari hujjat ki naa-tamaami huruf-e-kuchak mein garche likkhaa hai naam-e-naami magar hai phir bhi jarida-e-shaaeri giraami darun to us kaa nashaat-khez-o-fusun-asar hai muzaaiqa kyaa agarche hai sar-varaq mein khaami nae mazaamin nae asaalib sujhte kyaa ki teri qismat mein hai rivaayaat ki ghulaami ajab chalan hai ki log bachche ko gaaliyaan dein agarche hain vaaldain bachcha nahin haraami sharaara-pardaaz hai tiri barhami kaa aalam ghusaile abru hain tiir teghon ki be-niyaami karein na kyon tere husn par naaz sabza-o-gul ki zinat-afroz baagh hai teri khush-khiraami sitam mujhe baat baat par sher sujhte hain balaa-e-jaan ban gai miri qaadir-ul-kalaami ye mujh se naqqaad-e-be-khabar puchhtaa hai aksar nahin hai kyon meri shaaeri mein gham-e-avaami azal abad par muhit huun main basit huun main vajud meraa na ibtidaai na ikhtitaami koi na samjhe koi na jaane tire fasaane ajab ye maayaa ajab ye sansaar hai suvaami hamesha rakhti hai dil ko betaab 'krishn-mohan’ ajiib ehsaas hai miri hairat-e-davaami"
Krishna MohanKrishna Mohan