Quote
"paarsaaon ne baDe zarf kaa izhaar kiyaa mujh ko bhi hurmat-e-zebaa kaa kharidaar kiyaa vo jo thaa khud ki numaaish kaa taraf-daar badan khud ko khvaabida kiyaa aur mujhe bedaar kiyaa baandh kar shaakh labon par vo tabassum ke gulaab meri maa'sum tamanna ko talabgaar kiyaa tum ne tohfe mein diye the jo dahakte bose un ki khushbu ne hi rusvaa sar-e-baazaar kiyaa ek lamhe ko sahi diid kaa mausam Thahre kuchh saraabon ne mujhe tishna-e-didaar kiyaa qalb aashob-zada 'isyaan se hotaa kyon hai roz-e-mahshar kaa mujhe jis ne khataavaar kiyaa apni sochon ki lakiron se taraashaa thaa tumhein khitta-e-jaan pe magar tum ne hi aazaar kiyaa dard ki dhuup mein saaya thaa sukunat kaa jo shaam aai to lipaT kar mujhe bezaar kiyaa jis ki maa'sum adaaon pe yaqin thaa 'akhtar' us ne paakizgi se mujh ko gunahgaar kiyaa"







