SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMukhlis Musavviri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tu paaedaar aalam-e-naa-paaedaar mein baaqi fanaa nasib hain is khaak-zaar mein kaise kahun kyaa haal huaa khaar-zaar mein dil ki patang jab se gai dast-e-yaar mein apnaa samajh ke liije mujhe eatibaar mein lag jaaein chaar chaand tumhaare vaqaar mein duniyaa baDi hasin hai maashuq ki tarah degi fareb le ke tumhein eatibaar mein tamhid baandhne kaa zamaana guzar gayaa matlab ki kahiye vo bhi magar ikhtisaar mein mukhlis zamaane bhar ki havas ho to kis liye jab ki mamaat-o-zist nahin ikhtiyaar mein"
Mukhlis MusavviriMukhlis Musavviri
Quote
"hai kaun jo bataae tumhaaraa hai ghar kahaan DhunDegi tum ko shams-o-qamar ki nazar kahaan ruknaa paDegaa raah mein ai ham-safar kahaan kyaa jaane apni shaam kahaan aur sahar kahaan ai ahl-e-kaarvaan ye tumhein hai khabar kahaan manzil kidhar hai le ke chalaa raahbar kahaan parvaana sadqe hone lagaa shama par magar mearaaj-e-ishq kyaa hai use ye khabar kahaan ik saath kah uThe hain sabhi bazm-e-naaz mein aalam mein koi aur sahi tu magar kahaan ham ko sanam ke husn mein husn-e-khudaa milaa phir ye bataao ham saa koi dida-var kahaan divaana kah rahaa hai bagulon ko dekh kar phirne lagi bahaar chaman chhoD kar kahaan ham to chaleinge saath zamaane ke umr bhar chaltaa hai apne saath zamaana magar kahaan 'mukhlis' havas ko chhoD do meraa hai mashvara dekhaa hai aap ne ye shajar baarvar kahaan"
Mukhlis MusavviriMukhlis Musavviri
Quote
"jab talak gham javaan nahin hotaa sabr kaa imtihaan nahin hotaa chheD mat jazba-e-mujaahid ko ye kabhi naa-tavaan nahin hotaa jaantaa huun qarib se us ko be-gharaz mehrbaan nahin hotaa aise andaaz se vo miltaa hai dushmani kaa gumaan nahin hotaa ho mahal yaa gharib ki kuTiyaa gham kabhi be-makaan nahin hotaa ham mein shaamil koi munaafiq hai dost yuun bad-gumaan nahin hotaa laakh taalim-yaafta hi sahi kam nazar nukta-daan nahin hotaa band kar ab to shughl-e-nasl-kushi dekh vaqt ek saan nahin hotaa azm ko aazmaa liyaa 'mukhlis' raaegaan imtihaan nahin hotaa"
Mukhlis MusavviriMukhlis Musavviri
Quote
"bijliyon ko paalaa hai main ne ik zamaane se raushni nikalti hai mere aashiyaane se jaantaa huun us ko main hai vo maslahat-andesh haath to milaa legaa dil rahaa milaane se kis qadar ye behtar hai qaul ahl-e-daanish kaa jurm aur baDhte hain jurm ke chhupaane se ye hadis bhi dekho haq hai har zamaane mein umr ghaTti jaati hai jhuTi qasmein khaane se kitni hi bulandi par baiTh jaaein gidh saare aaali ho nahin jaate unchi kursi paane se zehn-e-ahl-e-daanish mein paai hai jagah 'mukhlis' har adab ki mahfil mein sirf aane-jaane se"
Mukhlis MusavviriMukhlis Musavviri
Quote
"gosha-e-gul hi nahin baagh thaa maskan apnaa jab se aazaad hue ghar huaa madfan apnaa fikr-o-aalaam ke saae se bahut duur thaa ye yaad kyunkar na hamein aaegaa bachpan apnaa ye zar-o-maal ye duniyaa ki tamanna ye havas in mein har koi hai taa-hashr hi dushman apnaa ghuncha-o-gul mein tabassum hi tabassum dekhaa Daali Daali pe nazar aayaa hai bachpan apnaa lutf lete hue zakhmi se masihaa ne kahaa qaabil-e-did hai har zakhm kaa joban apnaa apne aslaaf ke ajdaad bhi hain dafn yahaan kyon na ho jaan se pyaaraa hamein gulshan apnaa hai yaqin khuun shahidon kaa hai is miTTi mein tab hi khushbu se bharaa phulon ne daaman apnaa ham bhi aflaak-nashinon mein hain shaamil 'mukhlis' kyon na chamkegaa sitaaron ki tarah fan apnaa"
Mukhlis MusavviriMukhlis Musavviri
Quote
"insaan jab se zar kaa parastaar ho gayaa duniyaa mein garm qatl kaa baazaar ho gayaa kaise kahun ki aalaa hai us kaa hasab-nasab kam-asl ko jo aaina-bardaar ho gayaa phailaa rahaa hai haath reaayaa ke saamne majbur kaisaa vaqt kaa mukhtaar ho gayaa sohbat kisi faqir ki milne ki der thi gumraah shakhs saahib-e-kirdaar ho gayaa qaatil ko mil bhi jaae sazaa maut ki to kyaa viraan to gharib kaa ghar-baar ho gayaa baTvaaraa ghar kaa hote hi qismat bhi baT gai koi gharib aur koi zardaar ho gayaa jab shaairi ki shiin se vaaqif talak nahin 'mukhlis' kaa phir bhi turra ki fankaar ho gayaa"
Mukhlis MusavviriMukhlis Musavviri
Quote
"rang laayaa hai umar teraa musalmaan honaa varna mushkil thaa bahut gul kaa gulistaan honaa kaun phir us ko bahaaron ki qabaa pahnaae jis ki taqdir mein likkhaa ho bayaabaan honaa ham ne dekhaa hai faqiron ki duaaon kaa asar ham ne dekhaa hai muqaddar kaa pashemaan honaa har pareshaani vahaan aa ke pareshaan hui jaantaa hi nahin jo kyaa hai pareshaan honaa kyon nahin jaante is baat ko duniyaa vaale vajh-e-iflaas bhi hai chaak-garebaan honaa teri qudrat kaa karishma hai samajh se baahar yaani ik biich se paude kaa numaayaan honaa haj ki paai hai zarur us ne saaadat mukhlis jis ki qismat mein likhaa paaki-e-isyaan honaa"
Mukhlis MusavviriMukhlis Musavviri
Quote
"gulshan mein rang-o-nur ke paikar mein kaun hai khushbu mein konpalon mein gul-e-tar mein kaun hai ye kaun saa maqaam hai khidmat kaa ai khudaa jaarub-kash ye khaana-e-be-zar mein kaun hai maujein taDap rahi hain kinaare hain zer-e-aab mazlum ab jahaan-e-samundar mein kaun hai qaaem tujhi se jab ki uruj-o-zavaal hai ai vaqt tu hi bol ki chakkar mein kaun hai nazron ki siDhiyon se utartaa hai dil mein kaun khushbu ki tarah ruuh ke paikar mein kaun hai 'mukhlis' tum us kaa naam bataate nahin ho kyon bartar hai ham mein kaun baraabar mein kaun hai"
Mukhlis MusavviriMukhlis Musavviri
Quote
"baaton ko meri chhoDiye jo aap ko jachi nahin lekin ye dil se puchhiye kyaa dil bhi qimti nahin aadat buri to jaaegi ik din to jaaegi nahin vo aadmi buraa nahin fitrat agar buri nahin gulshan ke phuul phuul mein kis ki mahak hai ye bataa nazron se tu chhupaa magar khushbu teri chhupi nahin tu ne nazar jo pher li saaqi ye teraa zarf hai lekin khudaa kaa shukr hai saaghar miraa tahi nahin kis ne uDaai baat vo kyunkar uDaai sochiye jo baat mere aap ke vahm-o-gumaan mein thi nahin socho mariz-e-ishq kaa us vaqt haal kyaa huaa jab chaaraagar ne ye kahaa ummid-e-zindagi nahin taarikh kaa varaq varaq shaahid hai is usuul kaa jab tak na jaage aadmi qismat bhi jaagti nahin chalne diyaa na do qadam manzil qarib aa gai bakht-e-rasaa ki baat hai 'mukhlis' hansi hui nahin"
Mukhlis MusavviriMukhlis Musavviri
Quote
"bichhDe hue dilon ko milaane se rakh gharaz aapas ki nafraton ko miTaane se rakh gharaz taale zabaan pe apni lagaane se rakh gharaz imaan har qadam pe bachaane se rakh gharaz rah dushmanon se apne khabar-daar har ghaDi aur doston ke aib chhupaane se rakh gharaz dangon ke khauf se na dikhaa buzdili kabhi amn-o-amaan ki bel chaDhaane se rakh gharaz na dekh zaat-paat razaakaar hai agar jalte hue gharon ko bujhaane se rakh gharaz har gaam par buland azaaem kaa de sabaq aandhi mein bhi charaagh jalaane se rakh gharaz laazim nahin ki har koi ho jaae muttafiq 'mukhlis' tu fan ke moti luTaane se rakh gharaz"
Mukhlis MusavviriMukhlis Musavviri