SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"dard-e-dil soz-e-jigar yaad aaya jab tiraa tir-e-nazar yaad aaya khaana-barbaad vahaan ab kyaa hai kaun si baat pe ghar yaad aaya jiite ji aap ne puchhaa mujh ko li kabhi khair-khabar yaad aaya yaad aaya hamein ik naqsh-e-qadam haasil-e-raah-e-guzar yaad aaya nakhl-e-ulfat ki jo yaad aai hamein jo milaa thaa vo samar yaad aaya mujh se ho jaaegi ulfat ik din baar baar us ko agar yaad aaya main qafas mein bhi chunungaa tinke aashiyaan mujh ko agar yaad aaya jab gayaa sar se khudi kaa saudaa ham ko allaah kaa ghar yaad aaya haath uThaate hi milaa dil ko sukun kyaa duaaon kaa asar yaad aaya be-khud-e-shauq rahe ham jab tak khair yaad aai na shar yaad aaya apni be-raah-ravi par 'khushtar' sheva-e-ahl-e-hunar yaad aaya"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"hai koi mai-kash na baada hai na paimaane kaa naam muft mein badnaam kar rakkhaa hai maikhaane kaa naam dusraa kyaa aur hotaa aise viraane kaa naam dasht-e-vahshat hai munaasib mere kaashaane kaa naam gham hai meri zindagi ghamnaak meri zindagi is liye zindaan-e-gham hai mere viraane kaa naam but gae dil se magar yaad-e-butaan to dil mein hai saath kaabe ke chalaa jaataa hai but-khaane kaa naam baad-e-sarsar le uDi jo chaar tinke the bache miT gayaa gulshan se aakhir mere kaashaane kaa naam yaad kartaa hai zamaana ab bhi dasht-e-najd ko qais kaa qissa liye phirtaa hai viraane kaa naam saaqi-e-badmast kaa tarz-e-nazar hai baada-rez ab kahaan chaltaa hai maikhaane mein paimaane kaa naam ahl-e-irfaan ke liye hotaa hai ye saamaan-e-vajd jhumte rahte hain le kar tere divaane kaa naam jaan-sitaani chhoD zaalim jaan-nisaari kar shiaar aaj shaahin se kahin baDh kar parvaane kaa naam hote hote ho gai divaangi farzaangi ho gayaa hir-phir ke divaana hi farzaane kaa naam mujh par us mai-khaana-e-qudrat kaa 'khushtar' hai karam lete hain tasnim-o-kausar jis ke paimaane kaa naam"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"nizaam-e-har-do-aalam intizaam-e-vusat-e-dil hai ye jo kuchh hai vahi sab kuchh hai sab kuchh is mein shaamil hai mujhe aataa hai har mushkil ko aasaani banaa lenaa mujhe mushkil nahin mushkil baDi mushkil ye mushkil hai talaash-e-manzil-e-maqsud hai ik shaghl-e-bekaari bahut kuchh ham ko apni sai-e-laa-haasil se haasil hai maqaam-e-aafiyat miltaa hai kab bargashta-qismat ko ham aa pahonche to yuun samjho balaa manzil pe naazil hai bachaa le jaae tu kashti ko maujon ke thapeDon se abhi to duur hi aafiyyat-e-saahil se saahil hai tire pas-maandagaan-e-raah bhi hain rahbar-e-aalam yahaan to jo koi naaqis bhi hai kaamil se kaamil hai hujum-e-hasrat-o-armaan se ghar khaali nahin rahtaa jahaan ham hain vahaan har-vaqt ik mahfil ki mahfil hai jahaan khuddaar bantaa hai vahaan khuddaar bantaa hai yahi to haal 'khushtar' hai jahaan saail hai saail hai"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"naa vo masarrat gunaah mein hai na vo kashish ab savaab mein hai kharaab-e-saamaan-e-zindagi sab jahaan ki bazm-e-kharaab mein hai hasin be-shak hai bazm-e-anjum qamar bhi haan kuchh hisaab mein hai magar yahaan tu hi tu hai yaktaa savaal tere javaab mein hai yahaan hai bekaar us ki hasrat yahaan ki vo chiiz hi nahin hai kare vo raahat ki justuju kyuun jo is jahaan-e-kharaab mein hai paDi hai bebaak jis pe us ko pilaa diyaa ek jaam-e-masti balaa ki masti bhari hui us nigaah-e-mast-e-shabaab mein hai badal gai hai nigaah-e-saaqi to rang-e-mahfil badal gayaa hai na ab vo pahli si mai-kashi hai na vo mazaa ab sharaab mein hai sunaa thaa ham ne ki hashr mein vo dikhaane vaale hain apnaa jalva magar jo dekhaa to aaj bhi vo jamaal-e-rangin naqaab mein hai dikhaa rahaa hai uchhal uchhal kar ye sab ko josh-e-numud-e-ghaafil ki goyaa dariyaa-e-be-karaan ik nihaan jahaan-e-habaab mein hai kahaan vo naghmon mein soz-e-mutrib kahaan vo aish-o-tarab ki duniyaa kahaan vo pahlaa saa kaif baaqi sadaa-e-chang-o-rabaab mein hai hazaaron ranginiyaan bhi dekhin hazaar jalve bhi ham ne dekhe magar jo phir ghaur kar ke dekhaa to husn-e-mutlaq hijaab mein hai jahaan ke sab ranj-o-gham miTaa de mire muqaddar ko phir jagaa de ilaahi 'khushtar' ki iltijaa ye mudaam teri janaab mein hai"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"matlab na subh se na gharaz koi shaam se apni to zindagi hai faqat daur-e-jaam se vaaqif hai kaun ghuncha-o-gul ke maqaam se sehn-e-chaman mein phaile hue hain jo daam se hoti nahin hai jin ko mayassar shab-e-nashaat subh-e-bahaar ke liye rote hain shaam se duniyaa samajh gai hai ki hai ye fareb-e-zist Darne lage hain log mohabbat ke naam se taar-e-nafas ki lai pe hai aavaaz-e-zindagi naghme baraste rahte hain saaz-e-davaam se azm-e-samim le ke nikaltaa huun jab kabhi manzil dikhaai deti hai do-chaar gaam se hoti chali hai jab se tabiat junun-navaaz rahne lagaa huun duur khirad ke maqaam se saada-dili nahin to ise aur kyaa kahein ham gham uThaa rahe hain masarrat ke naam se 'khushtar' mileinge sab mire haalaat-e-zindagi khud aap jaanch lijiye mere kalaam se"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"rasm-o-niyaaz-e-naaz se ek maqaam par gayaa husn se jo na ho sakaa ishq vo kaam kar gayaa dair gayaa haram gayaa aur kidhar kidhar gayaa main bhi talaash-e-yaar mein had se pare guzar gayaa saaf hudud-e-zist ko dekhiye paar kar gayaa girte hi bahr-e-gham mein main maut ke ghaaT utar gayaa shaan-e-numud thi vahi rang-e-vajud thaa vahi ik vahi thaa nazar-navaaz main to jidhar jidhar gayaa kaam tamaam kar diyaa is gham-e-zindagi ne to talkhi-e-baada se miraa jaam-e-hayaat bhar gayaa saath jo mil gayaa mujhe ishq-e-junun-navaaz kaa un ki harim-e-naaz mein aaj to be-khatar gayaa naghma-e-zindagi mein ab soz kahaan se laaun main taar-e-nafas ko chheD kar saaz miraa bikhar gayaa meraa hi hausla rahaa meri hi justuju rahi manzil-e-ishq tak miri kab koi raahbar gayaa ijz-o-niyaaz se milin donon jahaan ki rifatein chhoD di jis ne khud-sari baam-e-uruj par gayaa 'khushtar'-e-khush-bayaan ko thaa naam-o-numud se gurez phir bhi sukhan ki bazm mein naam vo apnaa kar gayaa"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"bazm-e-nashaat-o-aish kaa saamaan liye hue aai sabaa bahaar-e-gulistaan liye hue uDtaa phiraa junun ye saamaan liye hue yaani hamaare jeb-o-garebaan liye hue kab tak jiyegaa daar-e-fanaa mein bataa to de sar mein ghurur-e-aalam-e-imkaan liye hue mere junun-e-ishq ki vusat na puchhiye hai zarra zarra zor-e-bayaabaan liye hue jis ko uThaa sake na pahaaD aur na aasmaan vo baar-e-gham hain hazrat-e-insaan liye hue mere liye to bahr-e-alam kaa ye haal hai jo mauj uThi vo aai hai tufaan liye hue ik majma-e-bahaar-o-khizaan hai miraa vajud phirtaa huun saath gardish-e-dauraan liye hue aasaan ho kyuun na ahl-e-tajassus ko raah-e-shauq hain apne saath zauq-e-faraavaan liye hue pheri lagaa rahaa huun kharidaar ki hai fikr phirtaa huun sar pe main gham-e-dauraan liye hue bahar-e-niyaaz-e-naaz ham aae hain le ke dil dil mein hujum-e-hasrat-o-armaan liye hue 'khushtar' mujhe hai naaz ki allaah ke huzur jaaungaa dil mein daulat-e-imaan liye hue"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"masarrat kaa hamesha ek hi aalam nahin hotaa karam hotaa to hai un kaa magar paiham nahin hotaa khushi kaa gham jinhein hotaa hai samjho gham-nasib un ko jinhein gham ki khushi hoti hai un ko gham nahin hotaa na le jaataa jo majnun aalam-e-divaangi ham se to us kaa zikr-e-khair afsaana-e-aalam nahin hotaa kahaan hai tu buraai se buraai miT nahin sakti are ghaafil andhere se andheraa kam nahin hotaa yahi vo vaqt hai jab aadmi ko hosh aataa hai khudaa ki yaad se ghaafil Dil-e-pur-gham nahin hotaa buraa jab vaqt aataa hai to is duniyaa-e-ulfat mein koi monis nahin hotaa koi hamdam nahin hotaa tasalli se kabhi taskin-e-khaatir ho nahin sakti junun-e-shauq baDh jaataa hai is se kam nahin hotaa fazaa-e-baagh-e-hasti mein khizaan bhi hai bahaarein bhi kahaan khushiyaan nahin hotin kahaan maatam nahin hotaa nibaah aasaan nahin duniyaa ki rasm-e-dost-daari kaa koi dam-saaz hotaa hai to ham mein dam nahin hotaa fanaa ke baad miltaa hai sukun-e-raahat-e-manzil jahaan shiraaza-e-hasti kabhi barham nahin hotaa koi miltaa hai jab raah-e-talab mein rahbar-e-kaamil to ham ko duri-e-manzil kaa bhi kuchh gham nahin hotaa hamaare ek dam par ek dam jo kuchh guzarti hai mohabbat mein kabhi aisaa to ai hamdam nahin hotaa tumhin imdaad ko 'khushtar' ki aa jaate ho mushkil mein sahaaraa jab koi ai sarvar-e-aalam nahin hotaa"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"kaar-e-junun ki chaaraagar kuchh tujhe aagahi nahin daaman-e-taar-taar mein kaar-e-rafu-gari nahin naaz-o-niyaaz mein kahaan aalam-e-sarmadi nahin husn bhi aarzi nahin ishq bhi aarzi nahin teri talaash mein mujhe aur talaash hi nahin tere sivaa koi miraa maqsad-e-zindagi nahin jis se surur dil mein hai jis se ghurur sar mein ho aalam-e-bekasi mein vo daulat-e-zindagi nahin shaan-e-vaqaar-o-jaah agar bas ki nahin to kyaa huaa ijz se kaam lijiye is mein to aajizi nahin aish ki sarkhushi vabaal bazm-e-tarab kaa rag rog mahfil-e-soz-o-saaz mein naghma-e-zindagi nahin naam hi naam rah gayaa aap ki bazm-e-naaz kaa ab koi is ko kyaa kahe chaand hai chaandni nahin sar pe khaDi hai shaam-e-gham bujh gae aql ke charaagh tirgi-e-hayaat mein ab koi raushni nahin ghuncha-o-gul fasurda hain saari fazaa khamosh hai khaatir-e-gham-navaaz se ziist mein taazgi nahin seri-e-zauq-e-did ko ab vo maqaam chaahiye aalam-e-hosh hai jahaan aalam-e-be-khudi nahin apni ravish se mutmain 'khushtar'-e-khush-khiraam hai apnon se ghairiyat nahin ghair se dushmani nahin"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"kab zamaana saazgaar-e-khaatir-e-naa-saaz thaa kis kaa dam bharte hamaaraa dam hi jab dam-baaz thaa kyaa bataaun bazm kaa un ki ajab andaaz thaa aashnaa-e-raaz bhi naa-aashnaa-e-raaz thaa apne matlab ki har ik suntaa thaa bazm-e-dahr mein kis se kahte haal-e-dil apnaa koi hamraaz thaa ham hi ham the ham se thi duniyaa-e-ishrat ki bahaar zindagi mein vo bhi din guzre hain jin par naaz thaa vahshat-e-zauq-e-talab mein jab uThe baDhte gae kis ko daamaan-e-junun-e-shauq kaa andaaz thaa apni hasti mein ulajh kar dekhtaa kyaa khud-pasand zarre zarre mein jahaan ke zindagi kaa raaz thaa be-piye bhi mai-kashon par be-khudi chhaai rahi ye nigaah-e-saaqi-e-badmast kaa eajaaz thaa vo bhi chup the dekh kar meraa sukut-e-gham-navaaz meri khaamoshi ke aalam mein bhi koi raaz thaa kis ne duniyaa ko banaayaa kis ki duniyaa ban gai yuun to kahne ke liye har ek duniyaa-saaz thaa ham hain ab aur ulfat-e-sayyaad asiri kaa lihaaz uD gayaa yak-lakht jo zor-e-par-e-parvaaz thaa kal mohabbat kaa nasha thaa aur kaif-e-be-khudi yaani main thaa aur surur-e-jalva-gaah-e-naaz thaa"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"jo vahshat ki yahi hai kaar-farmaai to kyaa hogaa khizaan aae to kyaa hogaa bahaar aai to kyaa hogaa mire taar-e-garebaan se sadaa aai to kyaa hogaa hui jaama-dari se un ki rusvaai to kyaa hogaa hai khud-bini ki vaaiz kaar-farmaai to kyaa hogaa jo ho kar aagahi bhi kuchh na kaam aai to kyaa hogaa shab-e-hijraan sitaare bhi to aankhein pher leti hain balaa ho jaaegi jab shaam-e-tanhaai to kyaa hogaa ghurur-e-husn mein aaina dekhoge to kyaa loge rahegi jab na baaqi shaan-e-yaktaai to kyaa hogaa janaab-e-shaikh maikhaane mein vaaiz ban ke aate hain nikal aae jo rindon se shanaasaai to kyaa hogaa karoge kyaa jo hir-phir kar kisi ki yaad phir aai puraani choT agar dil par ubhar aai to kyaa hogaa masarrat hai dil-e-muztar ko fasl-e-gul ki aamad par tabiat fasl-e-gul mein aur ghabraai to kyaa hogaa musavvir mahvashon mein soch le anjaam-e-kaar apnaa koi tasvir agar dil mein utar aai to kyaa hogaa nashaat-e-zindagi to raas aati hi nahin mujh ko na ki aakhir ko gham ne bhi paziraai to kyaa hogaa zaraa socho adaavat hai tumhein aisi jo 'khushtar' se kabhi 'khushtar' ke dil mein bhi ye baat aai to kyaa hogaa"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"hai koi mutrib na koi saaz hai bas miraa naghma miri aavaaz hai aadmi kaa kab koi hamraaz hai meraa apnaa to yahi andaaz hai jaa hi pahunchungaa kabhi manzil pe mein jazba-e-ulfat par-e-parvaaz hai zindagi ko jaantaa huun zindagi ye gham-e-dildaar kaa eajaaz hai gham-zada dil rah gayaa hai aur main ab na vo ghamze na vo ghammaaz hai zindagi kyaa zindagi kaa dost kyaa ek dushman dusraa dam-baaz hai hai shikast-o-rekht saamaan-e-junun aql-e-khud-bin mufsida-pardaaz hai rahne de allaah vaale hain kahaan tu bhi ai vaaiz zamaana-saaz hai 'khushtar' un kaa banda-e-naachiz ban ye bhi to ik surat-e-eajaaz hai"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"nigaar-khaana-e-bazm-e-jahaan ki baat karo sharaab-o-sabza-o-aab-e-ravaan ki baat karo qafas ke daur mein khatm aashiyaan ki baat karo yahin guzarti hai ab to yahaan ki baat karo zamaana sun ke hansi mein uDaane vaalaa hai kisi se ab na gham-e-bekaraan ki baat karo hamein bahaar nahin aati raas ahl-e-chaman hamaare saamne daur-e-khizaan ki baat karo vo bazm-e-naaz maqaam-e-sukun-e-khaatir hai to ab na shorish-e-dard-e-nihaan ki baat karo qafas mein yaad-e-bahaar-e-chaman to karte the chaman mein aatish-e-barq-e-tapaan ki baat karo dilaao yaad na piiri mein zoaf-e-piri ko hamaare saamne azm-e-javaan ki baat karo miraa khayaal lagaataa hai chaar chaand us ko bayaan-e-husn mein husn-e-bayaan ki baat karo haram bhi dair bhi hai mai-kada bhi hai 'khushtar' jo raas aae tumhein us makaan ki baat karo"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"vajud-e-be-haqiqat par na itnaa shaadmaan hotaa jo asraar-e-haqiqat kaa bhi insaan raaz-daan hotaa mujhe teri khushi thi kyon gham-e-sud-o-ziyaan hotaa tire hote jo ye hotaa to jiinaa raaegaan hotaa chaman mein in ki barbaadi pe kahiye main kahaan hotaa agar in chaar tinkon par madaar-e-aashiyaan hotaa mujhe parvaa nahin hoti to ye sab kuchh kahaan hotaa kidhar daur-e-bahaar aati kahaan roz-e-khizaan hotaa nae andaaz se kuchh shikva-e-jaur-e-butaan hotaa nai tarz-e-fughaan hoti nayaa rang-e-bayaan hotaa vufur-e-shauq-e-sajda mein kahaan sar phoDte jaa kar jo apne saamne un kaa na sang-e-aastaan hotaa khizaan kaa daur hi rahtaa to achchhaa thaa chaman vaalo na gulshan mein bahaar aati na koi bad-gumaan hotaa masaaib kaa zamaana aataa jaataa hai to achchhaa hai azaab-e-zindagi hotaa agar ye jaavedaan hotaa ye saaraa apni kamzori se daur-e-naa-tavaani hai buDhaapaa aa ke kyaa letaa agar azm-e-javaan hotaa miTaa le aasmaan be-sarparasti bazm-e-hasti hai tiri piiri nahin chalti agar pir-e-mughaan hotaa khayaal aataa hai jab duniyaa miri baaton pe hansti hai jahaan-e-zist mein apnaa bhi koi raazdaan hotaa buraai se agar daaman ko 'khushtar' ham bachaa lete to is taamir-e-nau se daur-e-khush-haali ayaan hotaa"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"kis barte par armaanon ki basti phailaai jaati hai phaili hui duniyaa kyaa jaanein kis din mangvaai jaati hai jo khun-e-jigar mein aataa hai bah jaataa hai vo aankhon se ham roz kamaae jaate hain aur roz kamaai jaati hai bardaasht ki had se baahar hai har-chand musibat ulfat ki ham is ko uThaae jaate hain jab tak ye uThaai jaati hai aashiq ki tabiat khel nahin phaTkaar hai kyaa gham-khvaaron par kis ko bahlaae jaate hain ye kyaa bahlaai jaati hai kyaa baad-e-fanaa 'khushtar' hai rakhaa maatam to jiite ji kaa thaa ab ham uThvaae jaate hain ab saf uThvaai jaati hai"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"ik haqiqat ki jhalak yuun to har andaaz mein hai phir haqiqat jise kahte hain abhi raaz mein hai saaz-baaz ahl-e-nazar jalva-gah-e-naaz mein hai ik ishaara hai jo chashm-e-ghalat-andaaz mein hai raazdaari gham-e-ulfat ki musibat hai use ik miri aag kaa shoala dil-e-hamraaz mein hai duur hai duur abhi haasil-e-duniyaa-e-hayaat fikr-e-anjaam tujhe manzil-e-aaghaaz mein hai chashm-e-pur-fan bhi dil-aaraa hai lab-e-naazuk bhi sehr mein bhi hai vahi baat jo eajaaz mein hai jis ne ji bhar ke tajalli ko kabhi dekhaa ho koi aisaa bhi tiri jalva-gah-e-naaz mein hai daulat-e-sabr-o-tavakkul mein hai eazaaz-e-bashar kuchh na daulat hi mein rakkhaa hai na eazaaz mein hai dil hilaa dene kaa andaaz gayaa ai 'khushtar' dard pahlaa saa kahaan ab tiri aavaaz mein hai"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"udaasi kyaa bataaun apne ghar ki fazaa khaamosh hai ab baam-o-dar ki talaash aur vo bhi husn-e-rahguzar ki kahaan takmil ho zauq-e-nazar ki yahi rudaad hai bas umr-bhar ki jahaan saaya milaa ham ne basar ki khirad hai roz-o-shab ki kashmakash mein junun ko fikr kyaa shaam-o-sahar ki dil-e-izaa-talab hi jaantaa hai karishma-saaziyaan husn-e-nazar ki hamesha fikr-e-saahil bahr-e-gham mein kabhi tufaan pe bhi tu ne nazar ki hamaari ehtiyaaj-e-zindagi mein duaa muhtaaj phirti hai asar ki qafas se uD ke jaaeinge kahaan ham zarurat kyaa rahi ab baal-o-par ki madaar is kaa huaa jaataa hai shar par buri haalat hai ab nau-e-bashar ki ajal sar par khaDi hai aa ke ghaafil are kuchh fikr kar rakht-e-safar ki kahaan hai aaj kal 'khushtar' vo duniyaa jahaan kuchh qadr hoti hai hunar ki"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"miri zindagi kaa ye haal thaa yahi shakl-e-raah-ravi rahi ki na gham kaa gham hi rahaa kabhi na khushi ki mujh ko khushi rahi na vo parda-daar hai raaz mein na kisi ki parda-daari rahi jo paDe the parde sab uTh gae magar ab bhi jalvagari rahi shab-e-hijr guzri hai kis tarah tumhein kyaa sunaaun ye maajraa main ajal ke saae mein thaa khaDaa miri sar pe maut khaDi rahi tiri yaad mein bahut hila-ju yunhi guzre shaam-o-sahar mire kabhi din mein aah se kaam thaa kabhi shab mein nauhagari rahi na kisi ke dushman-e-jaan hue na kisi ko dushman-e-jaan kiyaa yahi baat thi ki jo ghair se bhi hamesha apni bani rahi miri hasratein mire hausle sab hi jal ke khaak mein mil gae ye kisi ki di hui aag thi jo lagi to dil mein lagi rahi vo ghaTaa kaa zor kahaan gayaa shab-e-maah kyaa hui saaqiyaa ki na lutf-e-bazm-e-surur hai na bahaar-e-baada-kashi rahi ye navaazishein tiri baaghbaan ki kahin kaa main nahin rah gayaa na vo ranj-e-daur-e-khizaan rahaa na vo fasl-e-gul ki khushi rahi miri be-kasi se jahaan mein na huaa bhi kuchh to bahut huaa vahi bebasi to rahi magar tiri yaad dil mein basi rahi ye savaal kyuun ye khayaal kyaa hai vafaa to is kaa maaal kyaa yahi zikr vird-e-zabaan rahaa yahi fikr dil ko lagi rahi na mujhi ko apnaa pata milaa na tujhi ko DhunDh ke paa sakaa na miri khabar na tiri khabar 'ajib ek be-khabari rahi ye maqaam-e-shukr hai be-gumaan rahaa khush hi 'khushtar'-e-khush-bayaan na 'ataa vujud mein thi kasar na karam ki us ke kami rahi"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"un se zahe-nasib mulaaqaat ho gai bole bhi kuchh nahin to baDi baat ho gai aashiq fareb-e-vaada-e-fardaa mein aa gayaa jaise tumhaari baat koi baat ho gai dil par jamaa jo rang junun-e-bahaar kaa meri khirad bhi shaamil-e-haalaat ho gai ruThe hue se ham-nafas-o-ham-khayaal hain aise ki jaise ham se koi baat ho gai vahm-o-gumaan sab un ke tasavvur mein bas gae bazm-e-hayaat bazm-e-khayaalaat ho gai taar-e-nafas ne saaz-e-gham-e-dil sunaa diyaa dil ki lagi bhi shaamil-e-naghmaat ho gai karne lage gunaah bhi tauba ye kyaa huaa kyaa bazm-e-zist bazm-e-khuraafaat ho gai duniyaa kaa khel aur bisaat-e-tavahhumaat aakhir yahi huaa ki hamein maat ho gai apnaa liyaa unhon ne to aalam badal gayaa jins-e-vafaa jahaan mein saughaat ho gai 'khushtar' vo qadr-daanon mein saaz-e-tarab bani apni ghazal bhi haasil-e-naghmaat ho gai"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"ham se na puchhiye ki kidhar dekhte rahe thi dekhne ki chiiz jidhar dekhte rahe ahl-e-havas ko diid mayassar nahin hui jalve ko un ke ahl-e-nazar dekhte rahe dekhaa to kaam kaa koi din thaa na raat thi ham zindagi ke shaam-o-sahar dekhte rahe aati rahi hamin pe musibat tamaam umr ham apni aah kaa ye asar dekhte rahe din-raat ek jalva-e-didaar thaa nasib ham raushni-e-shams-o-qamar dekhte rahe jalva ba-vaqt-e-did rahaa jaazib-e-nazar ham hosh mein nahin the magar dekhte rahe naalon se aag si thi shab-e-gham lagi hui ham apne ghar mein raqs-e-sharar dekhte rahe ahl-e-nazar kahaan thi hamaari nazar kahaan ham bazm mein kahaan the kidhar dekhte rahe luTti rahi jahaan mein 'khushtar' ki zindagi ham the ki us ko shaam-o-sahar dekhte rahe"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"nazr-e-tauba ham kareinge mai-parasti ek din DhunDhti rah jaaegi ye bazm-e-masti ek din gham na kar khushiyaan na aaeingi to gham aa jaaeinge bas hi jaaegi kisi se dil ki basti ek din yuun guzaari ham ne to apni do-roza zindagi mai-parasti ek din ki faaqa-masti ek din husn ki ye garm-baazaari rahegi taa-ba-kai dekhnaa ho jaaeingi ye jins sasti ek din apni naadaani ye naazaan hain bahut ahl-e-khirad un ko le Dubegi un ki khud-parasti ek din hai jabhi se be-khudi badmast huun sarshaar huun un ke haathon se piyaa thaa jaam-e-masti ek din Thokarein khaataa rahegaa toD kar baiThegaa paanv khatm ho jaaegi teri sair-e-hasti ek din bach ke jaaeingi kahaan hasti shikast-o-rekht se sar-bulandi ke muqaddar mein hai pasti ek din dekh zaalim ki huaa karti nahin rassi daraaz aasmaan rah jaaegi ye chira-dasti ek din miTte miTte saaf miT jaaeinge ye naqsh-o-nigaar khud ayaan ho kar rahegaa raaz-e-hasti ek din TuTne vaalaa hai naata us se TuTegaa zarur chhuTne vaali hai 'khushtar' bazm-e-hasti ek din"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"kahaan sadme nahin hote kahaan maatam nahin hotaa koi aisaa bhi hai duniyaa mein jis ko gham nahin hotaa masarrat kaa hamesha ek hi aalam nahin hotaa karam hotaa to hai un kaa magar paiham nahin hotaa khushi kaa gham jinhein hotaa hai samjho gham-nasib un ko jinhein gham ki khushi hoti hai un ko gham nahin hotaa na le jaataa jo majnun aalam-e-divaangi ham se to us kaa zikr-e-khair afsaana-e-aalam nahin hotaa kahaan hai tu buraai se buraai miT nahin sakti are ghaafil andhere se andheraa kam nahin hotaa yahi vo vaqt hai jab aadmi ko hosh hotaa hai khudaa ki yaad se ghaafil Dil-e-pur-gham nahin hotaa buraa jab vaqt aataa hai to is duniyaa-e-ulfat mein koi monis nahin hotaa koi hamdam nahin hotaa tasalli se kabhi taskin-e-khaatir ho nahin sakti junun-e-shauq baDh jaataa hai is se kam nahin hotaa fazaa-e-baagh-e-hasti mein khizaan bhi hai bahaarein bhi kahaan khushiyaan nahin hotin kahaan maatam nahin hotaa nibaah aasaan nahin duniyaa ki rasm-e-dost-daari kaa koi dam-saaz hotaa hai to ham mein dam nahin hotaa fanaa ke baa'd miltaa hai sukun-e-raahat-e-manzil jahaan shiraaza-e-hasti kabhi barham nahin hotaa koi miltaa hai jab raah-e-talab mein rahbar-e-kaamil to ham ko duri-e-manzil kaa bhi kuchh gham nahin hotaa hamaare ek dam par ek dam jo kuchh guzarti hai mohabbat mein kabhi aisaa to ai hamdam nahin hotaa tumhin imdaad ko 'khushtar' ki aa jaate ho mushkil mein sahaaraa jab koi ai sarvar-e-aalam nahin hotaa"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"duniyaa vahi hai aur vahi saamaan-e-zindagi lekin badalte rahte hain unvaan-e-zindagi kyaa kaam kar rahaa hai ye mehmaan-e-zindagi bhartaa hai kyuun gunaah se daamaan-zindagi vahshat-nasib hai sar-o-saamaan-zindagi ulfat mein taar taar hai daamaan-zindagi hai dekhne ki chiiz bhi kuchh dekhtaa hai kyaa sair-e-jahaan hai khvaab-e-pareshaan-e-zindagi kaafi hai apne vaaste aaraaish-e-vajud aaraaishon se paak hai daamaan-zindagi maujon se kheltaa huaa baahar nikal na jaa aakhir ye kis liye gham-e-tufaan-e-zindagi ik din hayaat-o-maut ki is khinch-taan mein haathon se chhuT jaaegaa daamaan-e-zindagi marnaa hi jab jahaan mein hai jiine kaa maa-hasal naahaq uThaaein kis liye ehsaan-e-zindagi samjhe hue the ham jise aish-o-tarab kaa ghar zindaan-e-gham banaa hai vo aivaan-e-zindagi piiri chalegi kyaa miri piiri ke daur mein aae kahaan se pahli si ab shaan-e-zindagi hai fasl-e-gul kaa zor bahaaron pe hai shabaab kyaa pur-fazaa hai aaj gulistaan-e-zindagi kis se vafaa ki dahr mein 'khushtar' umiid hai ahd-e-vafaa se duur hai paimaan-e-zindagi"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar
Quote
"kisi ki yaad ko apnaa shiaar kar leinge fazaa-e-dahr ko ham saazgaar kar leinge ham apne gham ko khushi mein shumaar kar leinge khizaan ke daur mein jashn-e-bahaar kar leinge rasaai hogi jo is bazm mein kabhi apni nasib vaalon mein apnaa shumaar kar leinge kabhi milegaa jo izn-e-ubudiyat ham ko to ek saans mein sajde hazaar kar leinge rahaa karam jo tumhaaraa to bahr-e-hasti se ham apni kashti-e-ummid paar kar leinge tiri talaash mein aaeinge kaam daagh-e-jigar ham un se raushni-e-rah-guzar kar leinge khushi se milne lage hain vo aaj kal ham se ham apni ziist ko ab khush-gavaar kar leinge nazar hai dar pe hamaari ki dam hai aankhon mein abhi kuchh aur tiraa intizaar kar leinge ham apne khalq ki duniyaa sanvaar kar 'khushtar' husul-e-rahmat-e-parvardigaar kar leinge"
Mumtaz Ahmad Khan KhushtarMumtaz Ahmad Khan Khushtar