Quote
"jafaa-e-ahd kaa ilzaam ulaT bhi saktaa huun use yaqin na thaa main palaT bhi saktaa huun main apne ishq mein shaahin mizaaj rakhtaa huun palaT to jaataa huun lekin jhapaT bhi saktaa huun junun mein zulm ki gardan utaar letaa huun to ik nigaah-e-mohabbat mein kaT bhi saktaa huun adu-e-shahr main baarud huun mohabbat kaa hadon se baat baDhegi to phaT bhi saktaa huun bisaat-e-arz pe chaahun to phail jaaun main ho ramz-e-yaar to dil mein simaT bhi saktaa huun"







