Quote
"puraane ahd ke sikke kahaan chalaa rahe ho vafaa khulus mohabbat ye kyaa sunaa rahe ho bhalaa tum itne aziyyat-pasand kab se hue jo baat baat pe yuun qahqahe lagaa rahe ho safar hi khaana-ba-doshon ko zeb detaa hai saraae kaafi hai ghar-baar kyon banaa rahe ho kiran kiran ko taraste hain mere gaanv ke log aur ek tum ki nadi mein diye bahaa rahe ho tumhaari aankh mein ik be-kanaar hasrat hai tum is se pahle kahin aur mubtalaa rahe ho koi to ho jo gale se lagaa ke puchhe mujhe bataao 'badr' miri jaan kyaa chhupaa rahe ho"







